♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥
“Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”
“Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”
Aajkal Mu’aashrey me Dekha Jata Hai Ke, Sunnat ke Naam Par Biddat ka Sikka Chalaya Jaa Raha hai ,.. aur Biddat ko Itna Aasani se Letey hai Jaise Maano Ismey koi Kharaabi hi na ho ,..
Aayiye Iss Unwan ke tehat Hum Biddat Ki Haqeeqat aur Iski Khabahat ke talluk se Mukhtasar si Roshni dalney ki koshish karte hai.
* Biddat Ke talluk se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne apni Ummat ko sakht roka. Aayiye Biddat ka Mukhtasar sa maana (Defination) aapke samne hum rakhte hai! – “Biddat Kya Hai .”
✦ Biddat kise kehte hai ?
” Har wo Amal Biddat hai Jo Sawab aur Neki ke Maksad se Kiya Jaye Lekin Shariyat me Jiski Asal ya Buniiyad na ho, Yaani Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne na kiya ho, na Hukm diya ho, na uss cheez ko karte hue dekhkar khamosh rahe ho aisa koi Amal, koi Akida jiski Asal ya Buniyad Shariyate Islamiya me nahi payi jati ho wo biddat hai “
• Biddat Ka Matlab Hota Hai “Ijad Karna” , Nayi Cheez Banana.
Ab Bohot se Logon ko Jab Biddat ki Baat kare tou kehte hai ke – “Ha! tum tou Ghadi pehan rakhe ho! Ghadi bhi Biddat hai,.. aap tou Internet par Deen faila rahe ho ye bhi Biddat hai ,..”
Tou Hum aise Logon se ye Puchna Chahenge ke –
* Kya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Wakt Na Dekha ? Beshaq Dekha Hai ,..
* Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Gaib Me Dawate Na Di ? Beshaq Aapne Khutoot Ke Jarye Gaib Me Dawat Di ,..
Tou Asal Moujud Hai Inn Cheezo Ki – “Ke Waqt Dekha Ja Sakta Hai! Gaib Me Dawat Di Ja Sakti Hai …”
*Uske Liye Jo Bhi Paimana Tha Uss Zamane Me Wo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Istemal Kiya ,..
*Aaj Jo Paimana Hai Wo Hum Istemal Kar Rahe Hai ,..
*Kal Jo Bhi Hoga Wo Istemal Kiya Jayega…
•Lekin Wo Amal Jo Buniyad Hi Na Ho Shariyat Me Usko Koi Kare Usey Biddat Kahte Hai ,..
Waise Umuman Lugat Ke Aitbar Se Biddat Kahte Hai Ijad Karne Ko ,…. Invention Ko ,.. Inkheshafat Ko …
Lekin Shariyat Ke Isthela Me Deen Me Koi Naya Akida, Naya Amal Ijad Karne Ko Biddat Kahte Hai ,..
* Aur Shareeyat me Har Nayi Biddat Gumaarhi Hai ,.. Insha’Allah Aagey Ke Parts me Isey Tafseel Se Dekhenge ,..
✦ Biddat Kisko Jyada Pasand Hoti hai ?
Sufiyan Sauri (Rahmatuillah Alaihi) Biddat Ke Talluk Se Bayan Farmate Hai Ke:
“Biddat Shaitan Ko Gunaaho Se Jyada Pasand Hai, Kyunki Biddati! Biddat ko Neki Samajh kar Karta hai, Isiliye Usey Kabhi Touba Nasib Nahi Hoti . Kyunki wo kharab Kaam Acha Samajh kar Karta hai.”
“Biddat Shaitan Ko Gunaaho Se Jyada Pasand Hai, Kyunki Biddati! Biddat ko Neki Samajh kar Karta hai, Isiliye Usey Kabhi Touba Nasib Nahi Hoti . Kyunki wo kharab Kaam Acha Samajh kar Karta hai.”
*Tou Yaad Rakhiye Deen me Biddate Bohot Sangeen Jurm Hai,..
In’sha’Allah! Agley Parts me Hum Biddat Ke Aham Khabahat ka Tazkira Karenge ,..
# Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ki Gumraahiyo Se Bachne Ki Taufiq Dey ,.
To Be Continue …