“Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai.”
Nek Dost aur Burey Dost ki misaal ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya tou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu tou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum…
Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan Mafhoom-e-Hadees: Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: (Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki 'Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?' Main ne kaha : 'Allah Ta’ala…
Islam me Naye-Naye Kamo ke Ijad karne se Bachtey Rehna ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye aur ek Nasihat Farmayi, Usey sun kar Humari Aankho se Ansoo Jaari ho Gaye aur Dil dahal gaye, Ek Shakhs Ne Kaha - "Ya RasoolAllah ! Yeh Nasihat tou Aisi hai Jaise kisi Wida Hone Waley ki Hoti hai (Isliye) Hum ko (Khaas) Wasiyat Farmayiye" Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne…
Quran aur Namaz se Gaflat ka Anjam Quran aur Namaz se Gaflat ka Anjam Aap (ﷺ) ne Khawb bayan karte hue farmaya: "Jis ka Sir Pattar se kuchla ja raha tha wo Quran ka Hafiz tha, magar wo Quran se Gafil ho gaya, aur Farz Namaz padhey bagair so jaya karta tha." 📕 Sahih Bukhari; Hadith 1143
Namaz Ki Niyat Ka Tarika | Qurano Sunnat ki Roshni me Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya: ❝ Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.❞ [ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907] is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega. Wuzu karte waqt dil me ye niyyat karei’n ke Allah ke huzur (Namaz me) hazir hone ke liye Taharat (Wuzu) karne laga hu’n aur phir jab Namaz padhne lagein tou…
Fajar ki Namaz ki Fazilat by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=cycAb5b03aE Fajar ki Namaz ki Fazilat Fajar Ki Namaz Ki Kitni Ahmiyat hai aur iski kya Fazilat janne ke liye is mukhtasar se video ko jarur mutala kare, aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare. Namaz e fajar ki fazilat, fajar ki do rakat sunnat ki fazilat, fajar ki namaz ki fazilat, fajr namaz ki fazilat in urdu,fajar ki rakat, fajar ki namaz rakat, namaz ki fazilat, fajar ki sunnat ki dua
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
♫ Qaza e Umri ki Hakikat aur Qaza Namaz kaise Ada kare ? Qaza e Umri Ki Namaz Padhna Kaisa Hai ? Kya Qaza e Umri Qurano Sunnat se Sabit hai? tafsili jankari ke liye audio clip ka mutala kare,. jazakAllah khairan kaseera ♫ Qaza-e-Umri Ki Hakikat ♫ Qaza Namaz Kaise Ada Karey ? [vc_wp_custommenu nav_menu="30670" el_class="clean_m also_2clm"]
Behayai Phailane wale ke liye Dardnak Azaab ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Jo Log yeh Pasand karte hai ke Behayaee Musalmano me Khoob Phaile tou Unko Duniya aur Aakhirat me Dukh dene waala Azaab hoga, Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantey" 📕 Al-Quran; Sureh-Noor 24:19
Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai Roman Urdu : Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai ۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai: "Aye eman walo! Jab tum Namaz ke liye utho tou apne munh ko aur apne haathon ko kohniyon samet dho lo aur apne siron ka masah karo aur apne paaon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat me ho to Ghusul ker lo." 📕 Surah-e-Maidah 5:6 हिंदी : नमाज़ के लिए पाकि हासिल करना फ़र्ज़ है ۞ कुरआन में…
Sara Waqt Namaz padhne ka sawab milta rahega Janiye kis Shakhs ko sara wakt Namaz padhne ka sawab milta rahega Hadees ki roshni mein Hadees: Abu hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi shakhs Namaz ki wajah se jab tak kahi par ruka rahega uska ye sara waqt Namaz me shumar hoga aur farishte uske liye dua karte rahenge ki - Aye Allah! iski magfirat farma aur iss par apni rehmat nazil kar (Farishte tab tak ye dua karte hain) jab tak wo namaz…
Juma ki Namaz kis par Farz hai? Hadees of the Day | Jumuah Series 4 logo ke Alawa har Musalman par Farz hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jumuah ki Namaaz Jama'at se Ada Karna har Musalman par Farz hai Siwaye 4 Logon: Ghulaam, Aurat, Nabaligh Bachcha aur Bimaar ke." 📕 Abu Dawood: 1067 (Sahih)
Namaz Jannat ki Chaabi hai Jannat ki Chabi Namaz hai Hadees: Jabir Bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya – “Jannat ki Kunji ( Key / Chaabi ) Namaaz hai aur Namaaz ki Kunji Wuzu hai.” 📕 Jami at Tirmidhi, Hadees-04 (Sahih) Ek aur riwayat me Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhas Namaz padhne ko zaruri samjhe woh Jannat me dakhil hoga." 📕 Muntakhab Hadees Safa :135 in sha Allah ul Azeez! Allah Taala Hume kehne Sun'ne se jyada amal…
Nabi ﷺ ke Aakhri Alfaz Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna Namaz aur Gulamo ka Khayal rakhna ۞ Hadees: Ali Ibne Abu Talib (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ke Zubane Mubarak ke Aakhri Alfaz they: "Namaz, Namaz; aur un logo ke baare me Allah se daro jo tumhare dahine hath me hai. (Namaz aur Gulaamo ka khayal karo)" 📕 Sunan Abu Dawud 5156📕 Book 43, Hadith 384-Sahih