Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 3194
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
Apne Walidain ke sath accha sulook karo ... Apne Walidain ke sath accha sulook karotumhari Aulad bhi accha sooluk karegi ۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi. 📕 Mustadrak, Hadees 7258
Zamane ko Bura Na Kaho, Zamana Allah Hai ✦ Hadees: Zamana Allah hai. Bohot Saare log Kehte Hain ke Bura Zamaana Agaya hai , Jabki har Zamana toh Allah hi ka Zamana hai. Tou kya Zamane ko bura kehna durust hai ? Aayein Qurano Sunnat ki Roshni se Wazahat karte hai. Zamane Jaheliyat me Jab Mushreekeen Arab ko koi Dukh , Ghum , Shidat Wa Bala pohnchti toh Woh kehte (Haye Zamane ki Barbadi) Woh in Afaal ko Zamane ki taraf Mansoob karte aur Zamane ko bura bhala…
Ibn Aadam Allah ko Gaali deta hai, Jab wo kehta hai ... ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ko Gaali na do Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Farmata Hai: Ibn Aadam Mujhe Gaali Deta hai, Halanki Uska Yeh Haq Nahi hai. Uska Mujhe Gaali Dena Yeh Hai ki Woh Kehta Hai ki Allah ne (Isa Alaihis Salam ko) Apna Beta Banaya Hai, Halanki Main Ek Hun, Beniyaaz hun, Na Mere liye koi Awlaad hai Na Main kisi ki Aulaad hun aur na Koi Mere Barabar hai. 📕 Sahih Bukhari: 4974
Jo Allah par bharosa kare toh Allah uske liye kaafi hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ 📖 Roman Urdu "Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai"📕 Al-Quran: 65:03 📖 हिंदी अनुवाद "जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है"📕 कुरान: 65:03 📖 मराठी अनुवाद "जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे"📕 कुरान: 65:03 📖 English Translation "If anyone puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him."📕 Quran: 65:03 👉 Lesson / Paighaam:Har mushkil me Allah par bharosa rakhna hi sabse bada…
Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that… !!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!! ♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya: "Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu…
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro!… Dua Ibadat Hai Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, Hadees: 3372
Mehman ke Sath Khao, Kyunki Wo Sharmata hai Mehman ke Sath Khao, Kyunki Wo Sharmata hai Hadees: Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Apne Mehman ke Sath khao, kyunki wo tanha khane me Sharm karta hai." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 9633