Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Hadith: Qataa Rahmi (Rishte todne) wala Jannat me… Hadith: 27-March: Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.” -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 ✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया “कता रहमी करनेवाला (यानी रिश्ते तोड़ने वाला) जन्नत में नहीं जायेगा” -सही बुखारी, हदीस 5984 ✦ Hadith: Narrated Jubair bin Mut`im: That he heard the Prophet (ﷺ) saying, "The…
Tumhara Parwardigar farmata hai ke Mujhse Dua mango… ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur Tumhara Parwardigaar Irshad farmata hai ke Mujhse Dua Mango! mai tumhari Dua Kabool Karunga, Jo log meri Ibadat se Muuh fer lete hai wah Ankarib Zaleel wa Khawr hokar Jahannum me Dakhil Honge ” – (Al-Quran; Surah Gafir 40:60) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ “और तुम्हारा परवरदिगार इरशाद फ़रमाता है कि तुम मुझसे दुआएं माँगों मैं तुम्हारी दुआ क़ुबूल करूँगा, जो लोग मेरी इबादत से मुह फेर लेते हैं वह अनक़रीब ही ज़लील व ख्वार हो…
Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai ❝ Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey hai.❞ Roman Urdu: Hadis-e-Nabwi ﷺ Tirmizi, Jild: 1, Page: 595 ❝ बेहतरीन अखलाख वाला सबसे कामिल मोमिन है और तुम में बेहतर वो है जो अपनी औरतों के हक़ में अच्छे है।❞ हिंदी: हदीस-ऐ-नबवी ﷺ - तिरमिज़ी ; जिल्द १, पेज ५९५ ❝ The most complete of the believers in faith, is the one with the best character among…
Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne… Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne wala bhi hai Allah Ta'ala Farmata Hai: “Jaan Lo! Bila Shubha Allah Ta'ala Sakht A'zaab Dene wala hai aur Bila Shubha Allah Ta'ala bohot Bakhshne wala aur Nihayat Raham wala hai.” 📕 Surat-ul-Maaidah : 98
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821)
Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Gunaho ko Mitaane wala Amal: Hadees ۞ Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) farmaya karte thay - "Jab Insan Kabeerah (Badey) Gunahon se bach raha ho tou Paanch Namazen, ek Jumah se (doosre) Jumah tak aur ek Ramzan se Doosre Ramzan tak, ke beech mein hone wale Gunahon ko mitane ke sabab hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees no. 552 ♥ In’sha’Allah ul Azeez!!!Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,..