Badey Gunaho se bachne ki Fazilat:
Chotey Gunaho ki Magfirat
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
“Agar tum Un Bade bade Gunaahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya tou hum tumharey (chotey) Gunaah muaf kar dengey aur tumhe Ezzat ke Maqam mein dakhil karengey.”
Sabse bada Gunaah
Hadees: Abu Bakr (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“kya main tumhe sabse bada Gunaah na batauu,
” humne arz kiya “Zarur bataeeye.”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“ALLAH ke saath Shirk aur Waldain ki Nafarmani karna (bade Gunaah hain),
aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi,
aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade Gunaah hain)
Aap (ﷺ) isey baar baar dohrate rahe yahan tak ki
humne socha Aap (ﷺ) khamosh nahi honge.”
♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
– Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sunne se Jyada Amal ki taufik dey,
– Hume Tamam kism ke Kabira aur Sageera Gunah se bachaye.
Ameen.. Summa Ameen