Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Jo Mehmaan Nawazi na kare usme koi Khair nahi Hadees: Uqba bin Aamir (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Us shakhs me koi Khair (Bhalayee) nahi jo Mehman nawazi nahi karta." 📕 Musnad Ahmed, Hadees 17419
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta ... Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye. 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5660
Jo Shakhs Kamaata nahi aur logon se Maangta phirta… Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Jo Shakhs (logon se) maangne ka Darwaaza kholta hai, (Kamaata nahi hai aur logon se Maangta phirta hai) tou Allah Ta'ala us par Tangi (Financial Crisis) ka Darwaaza khol deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 2325
Kya Allah Sidhey Nahi Sunta? Aaj Hum'me Se Kayi Musalman Apne Rab Ki Rehmato Se Itne Gafil Ho Gaye Hai Ke Wo Yaaha Tak Keh Detey Hai Ke Allah Humari Dua Ko Sidhey Nahi Sunta,, Bich Me Marhale Chaahiye.. Subahn Allah .. Agar Rab Sidhey Nahi Sunta Tou Koun Sidhe Sunta Hai ? * Wo Rab Jiske Talluk Se Hum Khud Kehte Hai Ke Wo Humare Dil Ke Khayalat Ko Janta Hai, * Burey Khayalat Par Hum Us'sey Tauba Karte Hai .. Kya Wo Rab…
Jo Shakhs koi cheez cheen kar le Woh hum me se nahi Hadees of the Day Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum me se nahi RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum (Imanwalo) me se nahi." 📕 Ibn Majah, Hadees 3927
Allah Taala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi… Gaali Galoch karna kaisa? Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: “Allah Ta’ala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi karta.” 📕 Al Adab al Mufrad, Hadees 310
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772
Jo Shakhs Apne Betey ko apni Beti par Tarjeeh nahi dega ♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai: "Jo Shakhs Apne betey ko apni beti par tarjeeh (badhawa) nahi dega tou woh jannat me dakhil hoga" - (Abu Dawood: Hadith no. 5146) » Jannat ke liye Iman shart hai. ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "जो शख्स अपने बेटे को अपनी बेटी पर तरजीह(बढ़ावा) नहीं देगा तो वो जन्नत में दाखिल होगा" - (अब दावुद, हदीस 5146) » जन्नत के लिए ईमान शर्त है. For more Islamic messages…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
3 Tarah ke log jinki Farz aur Nawafil ibadatien… --- Roman Urdu --- Hadees: 3 tarah ke log jinki Farz aur Nafeel ibadatein Qubul nahi Hongi RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Teen Aadmee aise hai jinke Farz aur Nawafil Allah Subhanahu Qubul Nahi karega '(Maa Baap ka) Nafarman , Ehsan kar ke jatlane wala aur Taqdeer ko jhutlane wala.'' 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 1032 --- हिंदी --- हदीस : ३ तरह के लोग जिनके फ़र्ज़ और नफील इबादतें कबूल नहीं होंगी। रसूलअल्लाह (सलअल्लाहु अलैही वसल्लम) ने फरमाया "तीन आदमी…
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ... Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde…
Kin Logo ki Gawaahi Jayaz Nahi ? Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Khayanat Karne Waale Mard aur Aurat, Zina Karne Waale Mard aur aurat, Ya Apne Bhai ke Bare me Dushmani aur Qina Rakhne Waale ki Gawaahi Ja'iz Nahi." - (Sunan Abu Dawood, Hadees: 3601) हदीस ﷺ : रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "किसी खयानत करने वाले मर्द और औरत, जीना करने वाले मर्द और औरत, या अपने भाई के बारे में दुश्मनी और किना रखने वाले की गवाही जायज नहीं" - (सुनन अबू दावुद,…
Koi Shakhs Imanwala nahi ho sakta jabtak Nabi (ﷺ) ko… Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Beshak Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Qasam hai Us Zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, Tum mein se koi bhi imanwala nahi hoga jab taq Main uske Waalid aur Aulaad se bhi Ziyada Uska mehboob nah ban jaoon." 📕 Sahih al-Bukhari, 14 ♥ SubhanAllah! Beshaq Humari Dunia aur Aakhirat ki kamiyabi ke liye Allah Ta'ala ne humey Sabse Azeem Rasool Ata kiya, Humey Aap (ﷺ) ka ummati hone ka sharf ata…