Peeth Piche Apne Bhai ke liye Duwa karne ka Faida Peeth Piche Apne Bhai ke liye Dua karne ka Faida RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shakhs ne Apne Bhai ke liye Uski Peeth piche Dua ki tou jo Farishta uske Sath Muqarrar hai, Woh kehta hai: "Aameen! Tumhein bhi Uske Jaisa miley." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2732 (6928)
Koi Shakhs Imanwala nahi ho sakta jabtak Nabi (ﷺ) ko… Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Beshak Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Qasam hai Us Zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, Tum mein se koi bhi imanwala nahi hoga jab taq Main uske Waalid aur Aulaad se bhi Ziyada Uska mehboob nah ban jaoon." 📕 Sahih al-Bukhari, 14 ♥ SubhanAllah! Beshaq Humari Dunia aur Aakhirat ki kamiyabi ke liye Allah Ta'ala ne humey Sabse Azeem Rasool Ata kiya, Humey Aap (ﷺ) ka ummati hone ka sharf ata…
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Yahood Wa Nasara Ki Tarha Apne Ulema Ki Ibadat Na Karna Allah Rabbul Izzat Yahudiyo aur Nasraniyo ke Hathdharmi ke Sabab Ummat-e-Muslima ko Nasihat karte hue Farmata hai ke: ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Inn Logon Ne Allah Ko Chor Ker Apne Aalimon Aur Darweshon Ko Apna Rab Banaya Hai Aur Mariyam Ke Bete Maseeh Ko Halaan Ke Unhe Sirf Ek Akele Allah Hi Ki Ibadat Ka Hukm Diya Gaya Tha Jiss Ke Siwa Koi Mabood Nahi Woh Paak Hai Unkey Shareek Muqarrar Kerne Se." - (Surah Tauba, Aayat: 31) Iss Aayat…
Apne Walidain ke sath accha sulook karo ... Apne Walidain ke sath accha sulook karotumhari Aulad bhi accha sooluk karegi ۞ Hadees: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Apne Walidain ke sath accha sulook karna, tumhari aulaad bhi tumhare sath accha sulook karengi. 📕 Mustadrak, Hadees 7258
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he…
Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ..... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Jo Log Sagirah Gunaaho Se Aur Behayayi Ki Bato Se Bache Rehte Hai Beshaq Tumhara Parwardigar Badi Bakshish Wala Hai, Wohi Tumko Khub Jaanta Hai *Jab Usney Tumko Mitti Se Paida Kiya Aur Jab Tum Apni Maa Ke Pait Me Bacche They *Tou Takabbur (Pride) Se Apne Nafs Ki Pakeezagi Na Jataya Karo, Jo Parhezgar Hai Usko Allah Khub Janta Hai". - (Surah Najm, Ayat 32) » Tafseer 1: Iss Aayat-e-Kareema Ke Tahat Mufti Ahmed…
Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna Al-Quran: Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Majid me farmata hai: Aur tere Parwardigaar ne huqm de rakha hai ke Mere Alaawa kisi ki Ibadat na karna aur apne Maa Baap se Acchha Sulook kiya karna, Agar Unme ka ek ya dono teri maujoodagi me Budhaape ko pahunche (toh unki khidmat karte hue) Tum unko 'Uff' tak bhi na kahna aur na unko zhidakna aur na unko taqleef dena Aur Muhabbat se…
Apne Mehman ki Izzat kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jo shakhs Allah aur Aakhirat ke din par yaqeen rakhta ho usko apne Mehman ki Izzat Karni Chahiye" - (Sahih Bukhari, Jild 7, Hadith no. 6135) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: रसूलअल्लाह (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "जो शख्स अल्लाह और आखिरत के दिन पर यकीन रखता हो, उसको अपने मेहमान की इज्ज़त करनी चाहिए" - (सहीह बुखारी, जिल्द 7, हदीस 6135) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou Hadees: Muaz bin jabal (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Dunia mein jab koi Biwi apne Shohar ko takleef deti hai tou, Jannati hooron mein se uski Biwi kehti hai: "Allah tujhe barbaad kare! usey takleef na de. Ye tou tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh kar hamare paas pahunch jaye." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha, Hadees 2012📕 At-Tirmidhi; Book 1, Hadees 287
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7