Neend se jaag kar pehle hath dhona aur 3 baar Naak Jhadna: Hadees

Hadees e Nabwi (ﷺ)

Neend se jaag kar pehle hath dhona: Hadees

Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki:

“Jab tum neend se Jaago tou Apna haath paani ke Bartan me na dalo jab tak ki Uss ko (3 Baar) na dholo, kyun ki tum nahi jaante ki uss haath ne raat kahaa guzari hai.”

📕 Sahih Bukhari, Al-Wuzu, Hadith 162
📕 Sahih Muslim, Al-Taharat, Hadith 278


Neend se Uth kar Wazu karo to pehle 3 baar Naak jhadna: Hadees

Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki:

“Jab tum neend se bedaar ho kar wuzu karne lago to paani chada kar teen baar naak jhado kyun ki shaitan naak ke baanse me raat ghuzaarta hai.”

📕 Sahih Bukhari, Bad’a Al-Khalq, Hadith 3295
📕 Sahih Muslim, Al-Taharat, Hadith 238

Note: Sone wale ke naak ke baanse me shaitan ke raat ghuzaarne ki kaifiyat aur haqeeqat Allah hi behtar janta hai. Hamara farz Iman lana hai ki waqayi shaitan raat ghuzaarta hai.


Leave a Reply