Roze ke Niyat ki Galat Dua se bachey

۞ Asslamo Alaikum wa Rehmatullahi wa barkatuhu  ۞

Sehri ke talluk se ek Dua jo kafi mashoor hui jo humare Rozo ko Namukammal (Incomplete) karta hai.

Aur afsos ke aaj wo Dua hum sab me aam hai Ramzan ke Calendars me.

jab ki koi iske sahih ya galat hone par tawajjo nahi deta. Aayiye gour karte hai isme aisi kya galati hai ?

• Roza Rakhne ki Niyat ki Dua

Navayatu an asu’m Gadal ……

jis ka tarjuma hota hai “Mai Roza rakhne ki Niyat karta/karti hu KAL ka”

SubhanAllah! Yaad rahe Arbi Zubaan me jo Kal (Past) gujra usey kehte hai “Al-Ams”,

Jo aaj gujar raha hai (Present) usey kehte hai “Al-Youm”

Aur jo kal Aane wala (Future) hai usey kehte hai “Gadal/Gadan”.

Tou kya tarjuma hota hai is Dua ka?

keMai Roza rakhne ki Niyat karta hu Kal ka…

Jab ke hum sabhi jante hai jis waqt yeh Dua ki jaati hai wo usi din ke liye hoti hai.

Tou yeh dua sahih kaisi hui mere azeezo ?. thoda tou gouro fiqr karo.


Tou beharhaal Niyat karne ki koi Makhsus dua Sabit nahi hoti !

bus Niyat to Dil ka Irada hai lihaja Aap dil me irada kar ley ke Mai Roza rakhta/rakhti hu khalis Allah ke liye.

Allah Ta’ala yakinan apne bando ke liye Deen me Aasani chahta hai! Dushwari nahi chahta.

• Ab raha Sawal ke aisi Galat Dua kaha se ijad hui.

Yeh bas isiliye hui kyunki bataney wale ne apna Qoul toh bataya.
lekin hum ne tasdik kiye bagair isey amal me laya.

Allah Ta’ala hume har Kism ke Gaflat se bachney ki Toufiq ata farmaye,
Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
Khatma humara iman par ho …

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

2 Comments

  1. Shukr guzar hu aapka ki aise pyare deen ki bathey batha rahe he or galathiyan hamare durust karraha he.. Allah aapko khairo barkat se nawazey ameen

Leave a Reply