♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:
“Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha…”
– (Sahih Muslim, Vol 1, 1694)
✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat is tarah hain
• 2 Rakat Fajr se pahle,
• 4 Rakat Zuhar ki farz namaz se pahle ,
• 2 Rakat Zuhar ke baad,
• 2 Rakat Maghrib ke baad,
• 2 Rakat Isha ke baad.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah B. Shaqiq (RaziAllahu anhu) se Rivayat hai ki Maine Aisha (RaziAllahu Anha) se RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Nawafil (jo Ummat ke liye Sunnat hoti hain) Namaz ka hal pucha to Unhone farmaya –
RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) mere Ghar me Zuhar (ki Farz Namaz) se pahle 4 Rakat padhte they, phir nikalte aur Logo ke Saath (Zuhar ki) Farz Namaz ada karte uske baad Ghar aakar phir 2 Rakat padhte ,..
Aur logo ke saath jab Maghrib padhte to Ghar aakar 2 Rakat padhte ,
Aur Isha Logo ke saath padh kar jab Ghar aate to 2 Rakat padhte ,
Aur jab Fajr ho jati to 2 Rakaat (Sunnat) padhte they,..
– (Sahih Muslim, Vol 1, 1699)
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amam ki Taufik Dey,. Ameen ,..
Recent Posts
औ़रत का मर्द पर ह़क़
2,118
The Best among women She who pleases her husband when he looks at her
218
Haq Baato Par Amal Se Na Darro ….
807,276
Aadmi Subah Ko Momin Hoga Tou Shaam Ko Kafir
807,522
Jo Log Meri Ibadat Se Mooh Mod lete Hai ….
807,260
19th Ramzan | Rozedar ke samne jab khaana khaya Jaye aur wo sabr karen tou Farishtein Uske liye dua karte hai. [Hadees:…
808,140
आखिरत – इस्लाम की तीसरी अनिर्वाय आस्था
#इस्लाम_का_परिचय : पार्ट 4
809,734
Jahez ki Haqeeqat aur Uske Nuqsanat (Reality of Dowry)
808,214
Musalman Se Ladna Kufr Hai …
807,358
Jumma ke Din jab Imam Khutba de raha ho tou Ghutno ko Pait ke saath mila ker baithney se manaa fermaya
807,570
Tauba aur Astaghfar ki Fazilat
3,393
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ?
807,394
Momin Ka Sab se Bhaari Aamal Husn Akhlaq
807,773
Rozi Me Barkat Magar Kaise – Rizq Ki Kunjiyan by Adv. Faiz Syed
807,322
How Christians are more than Muslims ? awesome reply by Brother Imran
807,162
2
3
…
172
Next