Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Jo Shaksh Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara… ✦ Hadith: Farishto ki Lanat ✦ Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki, “ Jo Shakhs Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara kare to farishte us par laanat karte rehte hain jab tak ki aisa karne se ruk na jaye chahe wo uska saga bhai ho. ” - (Sahih Muslim 2616 a @ www.ummat-e-nabi.com/home) अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है की रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया की “ जो शख्स हथयार से अपने भाई की…
Apne Musalman Bhai se 3 Din se Zyada Naraz naa rahey 3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: "Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de." [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Al-Quran: Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Apne Parwardigaar ki humd ke saath saath us ki tasbeeh bayaan karo aur us se magfirat maango. Yaqeen jaano woh bahot muaf karne waala hai." 📕 Surah An-Nasr 110:3
Apne Aapko aur Apni Aulad ko Boot Parasti se bachane ki Dua ✦ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ✦ " Rabbi ij'al Hadha Al-Balada Aaminan, Waujnubnee WaBaniyya Aan Na-buda Alasnama " - (Al Quran, Surah Ibrahim 14:35) ✦ Tarjuma : Roman Urdu ✦ Aye Mere Rab! is Shahar ko Aman wala bana de aur mujhe aur meri Aulad ko Boot-parasti se bacha. ✦ तर्जुमा: हिंदी ✦ ऐ मेरे रब्ब! इस शहर को अमन वाला बना दे और मुझे और मेरी औलाद को बूत परस्ती से बचा. For more Islamic messages kindly download our Mobile App [post-content id="46102"]
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Al-Quran: Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko… Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho Allah Taala Quran me farmata hai: "Tum aise (kanjus) na (bano ke) ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho aur na (aise fuzool karch ke) hath ko bilkul hi khula chdod do; ke jis ke nateeje me tumhe qabile malamat aur khali hath ho kar baithna padey." 📕 Surah Bani Israeel, 17:29
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Jahannum se Bacho Chahe Aadhe Khajur ka Sadqa hi kyu na ho Hadees of the Day Jahannum se Bacho Chahe Aadhe Khajur ka Sadqa hi kyu na ho Adi bin hatim (r.A) ne bayan kiya ki, Nabi-e-kareem (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya, Aur unse panah mangi aur chehre se e'araz wa naagwari ka ijahar kiya, Phir Aa'hajarat (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya, Aur us'se panah mangi aur chehre se e'araz wa naagwari ka ijahar kiya, shu'aba(r.A) ne bayan kiya ki do martaba Aa'hajarat (ﷺ) ke Jahannam se panah mangane ke…
Apni har hajatein apne Rab se hi mange ۞ Hadees: Thabit (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya , "Tum me se har Shakhs ko chahiye ki wo Apni tamam hajatein apne Rab se hi mange, Yanha tak ki Namak bhi usi se mange aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou Wo bhi uss (Allah) se mange." 📕 Jamiat Tirmidhi, Jild 2, 1536-Hasan