Shabe Qadr kya hai? iski fazilate kya hai ? ye kab aati hai? isme kaisi ibadate kare? tafseeli jankari ke liye aayiye is mukhtsar se Audio bayan ka muta’ala kare,. jazakAllahu khairan kaseera,..
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 8 Allah Hum se kab Mohabbat karega ? Aaj Hum Allah se Mohabbat ke liye Tarastey hai ke Allah Humse Mohabbat kare, Hum Uskey Mehboob Ban Jaye, tou Aayiye Dekhtey hai ke Allah se Mohabbat ka Tareeka kya hai ? Ke Allah Kab Hum se Mohabbat Karega? Allah Khud Quraan me Apne Bando se farmata hai: "Aye Nabi Kehdo In Ahle Kitaab se, (Mushrikane Makka se, Yahudiyon se, Nassaro se Jo Tamam Ke Tamam Allah se Mohabbat ka Dawa Karte hai)…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 9 Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah Farmata Hai Ke: "Nabi Jo Dey Usey Lelo aur Nabi Jis’se Rokey Uss se Rook Jao” Surah Hashr 59:7 Tou Yaha Baat Wajeh Hui Ke RasoolAllah (ﷺ) Ki Sunnat Ke Bagair Ab Koi bhi Amal Allah ke Nazdik Kaabile Kabool Na Hoga Yaad Rakhiye,*Chahey Tawheed Par Chaley Lekin Rasool Ki Ita'at Na Ho,*Chahey Namaz Padhey Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,*Chahey Roza Rakhe Lekin Rasool Ki Ita-at Na Ho,*Chahey Zakaat Dey Lekin Rasool…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 11 Allah Raabul Izzat ne Ita-ate Rasool ke Talluk se Quraan-e-Kareem me farmaya: ۞ Al-Quraan ۞ "Jisney RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at ki bus Usney Allah ki Ita-at ki.” Surah An-Nisa 4:80 Wajahat: Iss Aayate Mubarak se yeh Baat Wajeh hoti hai ke , RasoolAllah (ﷺ) Ki Ita-at Goya Allah Ki Ita-at Hai aur RasoolAllah (ﷺ) Ki Farmabardari Goya Allah ki Farmabardari Hai ,.. Aayiye Jaan Letey Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Kya Shakhsiyat hai ? aur Aapki Zaat-e-Mubarak Kya Hai? Aapka Muqaam…
Shab e Barat ki Ibadat : Shab e Barat ki Haqeeqat… Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai? Shab e Barat ki Haqeeqat Shaban Maheene me 15th Shab ko "Shab e Barat" ke naam se yaad kiya jata hai. kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain. yeh Aqeeda rakha jata hai ke is Raat poore Saal me hone wale Waqkhyat ka faisla kiya jata hai. is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai. Aatish baziya ki jati hain, Masjido…
Ramadan Day 24 | Shab-e-Qadr me Ibadat ki Fazilat... Ramadan Day 24 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jo Shakhs Shab-e-Qadr Imaan ke saath aur sirf Aakhirat ke sawab ke liye Zikr aur ...
Ramadan Day 22 | Shab e Qadr ki Dua Ramadan Day 22 ۞ Shab e Qadr ki Dua : Allahumma Innaka ‘Afuwwuntuhibbul ‘Afwa Fa’fu ‘Anni.'(Aye Allah tu muaf karne wala aur muaf karne ko pasand karta hai so mere bhi gunaah muaf farma de.)' ...
Sunnat ki Ahmiyat : Part 15 Beharhaal Jo Baatey Hum Aapke Samne Sunnat ki Ahmiyat ke Taaluk se Rakh Rahe hai Usey Pura Karenge Ek Wakiye Se,.. Jo Rasool’Allah (ﷺ) Ka Ek Mash’hoor aur Maruf Wakiya hai aur Ismey Bhi Ita-ate Rasool (ﷺ) Ke Talluk Se Baat Wajeh Hoti Hai… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Aap (ﷺ) Ek Roz Sahaba-e-Kiram Ko Waaz Aur Nasihat Farma Rahe They Aur Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Ek Taraf Khadey Hokar Tauraat Ka Nuskha Lekar Usmey Se Kuch Padh Rahey They. Yeh Dekh…
Namaz Ki Niyat Ka Tarika | Qurano Sunnat ki Roshni me Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya: ❝ Amalo’n ka Daromadar Niyyato’n par hai.❞ [ Bukhari: Bida Al Wahee 1, Muslim: Al Imaarah 1907] is liye zaroori hai ke hum apne tamam (Jayez) amaal me (sab se pehle) pur Khuloos Niyat kar liya karey kyunke jaisi Niyyat hogi waisa hi Ajar (badla) milega. Wuzu karte waqt dil me ye niyyat karei’n ke Allah ke huzur (Namaz me) hazir hone ke liye Taharat (Wuzu) karne laga hu’n aur phir jab Namaz padhne lagein tou…
Roza Iftar ki Fazilat Hadees ki Roshni me ۞ Hadees: Sulemaan Farsi (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Jis ne Halaal Khane ya Paani se kisi Musalman ko Roza Iftar karwaya tou Farishtay Maa-e-Ramzaan ke Auqaat me uske liye Astaghfar karte hai, aur Jibreel (Alaihay Salam) Shab-e-Qadr me Uss ke liye Astaghfar karte hai." 📕 Tibrani Al Mo'ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162 ۞ Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) farmate hai ke - "Jo Rozdaar ko (Iftari me) Paani Pilayega Allah Usey mere Houz…
Bheek Mangna Hadees ki roshni mein anjaam Bewajah logo se Bheek Mangna Hadees ki roshni mein jaaney. Hadees: Hazrate Abdullah ibn Masud (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "jo shakhs maaldar honey ki halat me bhi sawaal kare (maange) tou wo Qayamat ke din iss tarah aayega ki uska mooh kharocha hua ya kata ya phata hoga." Sahaba ne pucha "insan kitne maal se maaldar kehlata hai?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya "50 dirham ya uski qeemat ka sona (rakhne wala)." 📕 Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadees 1613-Sahih…
Sunnat ki Ahmiyat : Part 1 ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ke Naam se shuru jo nihayat Maherbaan aur Rahem wala hai. is Series me hum “Sunnat ki Ahmiyat” ke taaluk se kuch aham tazkira karenge. Maksad yahi hai ke aaj mu'ashre me jis Deen par hum chal rahe hai wo kis hadd tak Kitabo Sunnat se sabit hai aur Sunnat-e-Rasool ko chorrne ka jo anjaam hum bhugat rahe hai Us'se apne aqidey ka muhasba karey. Ambiya (Alaihi Salam) ka bheje jaane ka Maqsad: Allah Rabbul Izzat…
Sunnat Ki Ahmiyat: Part 5 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (ﷺ) Hai Ke - “Jo Shakhs Meri Ummat Tak Koi Islami Baat Pohchaye Ta'aki Uss Se Sunnat Qaayam Ki Jaye Ya Uss Se Bad’Mazhabi Door Ki Jaaye Tou Woh Jannati Hai.” Tirmizi Sharif Gour Karne Waali Baat Hai Ke RasoolAllah (ﷺ) Uss Shakhs Ko Jannat Ki Basharat Dey Rahe Hai Jiska Tou Hum Mazak Udatey Hai!.. Jabki Hum Sochtey Tak Nahi Ke Hakikat Me Hum Kiska Mazaq Udatey Hai ,.. # Sunnat Ka Mazak Udaney Se Ahtiyat…
Namaz chut jaye to kya kare Hadees ki roshni mein Kisi wajah se agar Namaz chut jaye to kya kare janiye Hadees ki roshni mein Namaz padhna bhool jaye aur Waqt Nikal Jaye tou kya kare ۞ Hadees: Hazrate Anas (R.A.) riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Jo Shakhs Namaz bhool jaye (ya so jaye) toh us ka kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt usey yaad aaye us Namaz ko padh le." 📕 Sahih al Bukhari, Hadees 597, Sahih Muslim: al Masaajid, 684 TAFSEER: 👆 Is hadith ki Tafseer me…
Sunnat ki Ahmiyat: Part 2 RasoolAllah (ﷺ) ki ba'asat ka maksad: RasoolAllah (ﷺ) ka mu'amla dusre Ambiya (Alaihi Salam) se mukhtaleef hai, kyunki Aapka paigaam aapki ba’asat se lekar Qayamat tak hai. Jabki digar Ambiya (Alaihi Salam) ka paigaam unke Zindagi unki Hayat ek makhsus Wakt tak hua karta tha, Jab tak ke dusra Nabi na aajaye, aur jab dusra Nabi aata tou pahle ki shariyat khatm dusre ki laagu ho jati. Lekin kyun ke RasoolAllah (ﷺ) aakhri Nabi hai! Insaniyat ki taraf aur tamam Aalam…