Allah Hates: Allah Ta’ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaaz ho: Hadees
Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke –
“Allah Ta’ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan’ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho.”
Uss Qayamat ke din se Daro ... Uss Qayamat ke din se Daro Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Us Qayamat ke din se Daro jab na koi jaan kisi jaan ke kaam aayegi." 📕 Al-Quran; Surah Baqrah 2:48
Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Allah ke Rasool (ﷺ) farmatey hai :“Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga? Jab Tumhare Naujawan Badkaar (Characterless) ho Jayenge aur Tumhari Ladkiyan aur Aurtein Tamaam Hadood Phallaang (Limit Cross) kar jayeingey. Sahaba Karaam ne Arz Kiya:"Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa bhi Hoga?" Aap (ﷺ) ne farmaya:"Haan! Aur Uss se Badh kar, Uss Waqt Tumhara kya Haal hoga,Jab Na tum Bhalayi ka Hukm Karoge, Na Burayi par Aitraaz karoge!" Sahaba ne arz…
7 (Saat) Aise Azkar Jinka Jawab "Allah Ta'ala" Khud Deta Hai ✦ Mahfum-e-Hadees: Anas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ek Aairabi Sahabi (Bedouin) RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kahne laga "Ya RasoolAllah (ﷺ) Mujhe khair (wale Kalimat) seekha dijiye. RasoolAllah (ﷺ) ne uska Hath pakad kar farmaya kaho "Subhanallah Walhamdulillah Wala Ilaha Illallah Wallahu Akbar" Uss Aarabi ne in kalimat ko apni Ungliyoh par Geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta tou RasoolAllah (ﷺ) Muskurane lage aur Uss se farmaya "Tum kyu ek Naummeed shakhs ki tarha…
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai." 📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone… Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood, Hadees 3597
Aulaad ka Qatl bohot sakht Gunaah hai 💠 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 💠 ❌ Garibi ke Dar se Aulaad ka Qatl Mat karo Allah Ta'ala Qur’an-e-Kareem mein irshad farmata hai: “Aur logo! Muflisi (Garibi) ke khauf se apni aulaad ko qatl na karo. Kyunki unko bhi aur tumko bhi rozi hum hi dete hain. Beshak aulaad ka qatl karna bohot sakht gunaah hai.”— Surah Bani Israel, Aayat 31 👧👦 Allah har kisi ko Aulaad Apni Hikmat se deta hai Allah Qur’an mein farmata hai: “Saare Aasmaan aur Zameen ki hukumat…
Uss Bujurg ke liye Qayaamat ke Din Noor hoga : Hadees Hadees of the Day Uss Bujurg ke liye Qayaamat ke Din Noor hoga Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: "Jo Haalat-e-Islam mein (Zindagi Guzarta hua) Boodha hua Uske liye Qayaamat ke Din Noor hoga." 📕 Tirmizi, Hadees 1634 Sahih
Farishte ki dua uss Namazi ke Maghfirat ke liye Hadees: Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Farishte Tum me se Uss Namazi ke liye Uss Waqt tak Yu hi Dua karte rehte hain Jab tak (Namaz Parhne ke Baad) Wo Apne Musalley par baitha rahe aur Hadas (Hawa Kharij) na karey ki Aye Allah! Iski Maghfirat farma, Aye Allah! ess par reham farma. Tum Main se wo Shakhs Jo sirf Namaz ki wajah se ruka hua hai ghar jane se siwa Namaz ke aur…
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…