Allah Subhanahu farmata hai ‘agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga’
۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki:
‘Allah Subhanahu farmata hai – “Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou main bhi Zameen bhar Magfirat lekar tumse milunga.”‘
Note: Baraye meharbani koi bhi hazraat is Aahdees ko gair maane me lekar Gunah karne ki daleel na banaye balki Allah ki Rehmat aur Shirk ki khabahat ka par gour farmaye.
Allah Subhanahu 60 Saal se upar wale logo ka koi… ✦ Hadith: 60 Saal se jyada umar wale logo ka koi bahana Qubul nahi hoga ✦ Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanahu ne us insan ke liye uzar(excuse,bahana) ke silsile mein hujjat tamam kar di hai jiski maut ko usne rok kar rakha yaha tak ki wo 60 saal ki umar ko pahuch gaya." (yani kisi insan ki umar 60 ki ho gayee to phir Allah subhanahu ke waha uska koi bahana nahi chalega…
Tawheed aur Shirk (Part 3) ✦ abu talib, abu lehab aur abu jehal ka hashr 1. Abu Talib: Aap wo Shakhssiyat hai jo kisi taruf ki mohtaz nahi. har seerat ka talibe ilm Abu Talib ke talluk se jaanta hai. yeh Rasoolallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Chachaon me se ek chacha they, aur yeh wo chacha hai jo imaan nahi laaye lekin Aap (ﷺ) ki har kism ki mumkin madad ki, maal se madad ki, apna jo asar aur rusooq tha uss se RasoolAllah (ﷺ)…
Agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Aur agar Allah apne Bando ki Nafarmaniyo par unhe Pakad Leta to Zameen par kisi ek Jaandar ko baaki na rakhta, magar Allah tou ek Muqarrar wakt tak un sabko mohlat deta hai fir unka wah Wakt aa pahuchega tou Na ek Ghadi pichey hat sakte hai aur na hi Aagey badh sakte hai” – (Al-Quran, Surah Nahl 16:61) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ “यदि अल्लाह लोगों को उनके अत्याचार पर पकड़ने ही लग जाता तो धरती…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro!… Dua Ibadat Hai Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, Hadees: 3372
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Al-Quran: Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai… Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai usme se khao, aur us me hadd se aage na badho, jis ke nateeje me tum par mera gazab nazil ho jaye. [Quran 20:81]
Agar Koi Bhul Gaya Aur Kuch Kha Pee Liya .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Roze Mein Bhool Kar Khana Peena 📖 Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Agar koi bhool kar kuch kha pee le to usay apna roza purna karna chahiye, kyunki Allah ne usay khilaya aur pilaya hai.”(Sahih Bukhari, Vol. 3, Hadith 1933) 📖 हदीस हिंदी अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “अगर रोज़ेदार भूलवश कुछ खा-पी ले तो उसे अपना रोज़ा पूरा करना चाहिए, क्योंकि अल्लाह…
Allah se Magfirat aur Aafyiat mangne ki Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu Ta'ala se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki Yaqeen ke baad Aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee." 📕 Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1482-Sahih ✦ Mafhum-e-Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Subah aur Shaam ko ye Dua maangna kabhi nahi chorha, yaani rozana Subah aur Shaam mein isko padha karte they: ❝Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah.❞ (Ya Allah…
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna Shirk ke baad Sabse Bada GunaahMaa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263
Allahumma Inni Zalamtu Nafsi | Magfirat ki Dua -Aye… Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Dua Hadees: Abu Bakr Siddique (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se kaha ki Mujhe aisee Dua sikha dijiye jo Main namaz me parha karu tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke ye parha karo - اللَّّهُمَّ إني ظَلمتُ نفسي ظُلمًاًًً كثيرًاًً. ولا يغفر الذنوبَ إلّّّا أَنْتَ فاغفر لي مغفرةًًًً من عندك. وارحمني، إنّّكَ أنتَ الغفورُ الرّحيم "Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Kaseeran Wala Yaghfiruz-Junuba Illa Anta, Faghfirli Maghfiratan Min Indika War-Hamni, Innaka Antal Ghafur-Ar Rahim." (Aye Allah mainey apni jaan…
Badshaguni Shirk hai Badshaguni Shirk hai Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah-bin-Mas'ud (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya, "Badfaeli (Badshagooni Me Yaqeen Karna) Shirk hai, Kisi Ko Badfaeli Ki Waham ho tou (Usey Chahiye) Allah Subhanahu Wa Ta'ala par bharosa kare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Uss Bharose ki wazah se Usko door farma dega." 📕 Sunan Ibne Majah, Jild : 3, Hadees: 419📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 511-Sahih Badshaguni se bachne walo ka inaam Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ)…
Sayyidul Istighfar : Allah se Magfirat Maangney ka… "Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana 'Ala Ahdika Wa Wa'dika Mastata'tu, A'udhu Bika Min Sharri Ma Sana'tu, Abu'u Laka Bini'matika 'Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta." Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - Sayyidul Istighfar (Allah se Magfirat Maangney ka sabse accha Tariqa) ye hai : "Aye Allah ! Tu mera Rab hai, Tere siwa koi Maabud nahi, Tuney hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi banda hu, Main…
Shirk Zulm Azeem : Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (R.Au) ne farmaya ke: 'Jab yeh aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!"…
Tawheed aur Shirk ki Haqeeqat Content TAWHEED Tawheed-e-ruboo’biat Tawheed Ulu’hiat Tawheed Asma’sifaat SHIRK Shirk ke Nuqsanat Shirk Karne wale ko Uske Nek Aamal fayda nahi denge Kya Musalman bhi Shirk kar sakta hai? Kya Qabr-Parasti ko Bootparasti kaha jayega? Mushrikeen Makka Gairullaah Ki Ibadat kyon kiya karte ? Wajahat ۞ TAWHEED Tawheed ka matlab hai “Ek” janna aur “Ek” man'na. Tawheed se muraad Allah ko uski zaat, sifaat, uski ibadat aur uske huqooq me munfarid, yakta aur bemisaal maan’na. Quraan-o-Hadees ki roushni me Tawheed ki…