“Jab darakhton, zarron, jaanwaron aur tamaam tarr-o-khushk cheezon ke haal se Allah waaqif hai to bhala yeh kaise mumkin hai ke un bandon ke aamaal se woh be-khabar ho jinhein Rabb ki ibadat karne ka hukm diya gaya hai.”
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul… ✦ Hadith : Jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge RasoolAllah (Sallallahu Alalhi Wasallam) ne farmaya: "Namaz teen hisso mein taqseem hai Pakeezgi ek tihayee hai aur ruku ek tihayee hai aur sajde ek tihayee hai Jisne Iss tarha adaa kiya to uski namaz qubul ki jaegi aur uske sare aamal qubul honge aur jiski Namaz Qubul nahi hogi uske koi bhi aamal qubul nahi honge." 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha - 643
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Goongi ho Gai aaj kuch Zubaan kehte kehte: Dr. Allama Iqbal Goongi ho gai aaj kuch Zuban kehte kehte, Hichkicha gaya me khud ko Musalman kehte kehte. Ye baat nahi ke Mujhko Rab par yaqeen nahi, Bas darr gaya khud ko Sahib-e-Emaan kehte kehte. Tofeeq na hui mujhe ek waqt ki Namaz ki, Aur chup ho gaya Moazzin Azan kehte kehte, Kisi kafir ne jo poocha ke ye kya hai maheena, Sharm se paani hath se gir gaya Ramzan kehte kehte, Meri Almari me gard se aati Kitab ka jo poochha, Mai gaddh gaya Zameen me Quraan kehte kehte, Ye sun ke chuppi…
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Jis Seene me kuch bhi Quraan na ho wo Wiraan Ghar ki… Wiraan Ghar ki Misaal Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Seene me kuch bhi Quraan majeed na ho, Wo wiraan ghar ki misaal hai." 📚 Tirmizi J:4 S:419, Hadees:2922
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to ... Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya : "Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,Woh tumhari hifazat karega,Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna. Hatta…
Allah se kare door to Taleem bhi Fitna : Dr. Allama Iqbal 📖 Allama Iqbal ka Paighaam Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna,Imlaq bhi, Aulad bhi Jagir bhi Fitna. Nahaq ke liye Uthey to Shamsheer bhi Fitna,Shamsheer hi kya Nara-e-Taqbeer bhi Fitna. 📕 Dr. Allama Iqbal ✦ Wajahat (Explanation) Iqbal kehte hain ke jo bhi cheez Allah se door kar de, wo insaan ke liye fitna ban jaati hai. Chahe wo ilm ho jo Allah ki yaad se ghaafil kare, Ya imaalq (khandani rutba) ho, Ya aulad aur jaaydaad hi…
Achchi Baaton ka Hukm do magar khud bhi Amal karo ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Usama Bin Zaid (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *"Qayamat ke din ek shakhs laya jayega aur usay Jahannum me dala jayega. Uske pait ki aantain (intestines) bahar nikal aayengi, aur wo gadhe ki tarah chakki ghoomne wala chakker lagayega. Jahannum wale uske paas aakar kahenge: ‘Aye falan! Kya tum logon ko nek amal ka hukm nahi karte they aur burai se nahi rokte the?’ Wo jawab dega: ‘Main zaroor hukm deta…
Jo kuch duniya me hai wo lanat kiya hua hai siwaye… Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Duniya maloon (yaani lanat ki huyee ) hai aur jo kuch duniya mein hai wo bhi maloon hai, siwaye Allah Subhanahu ke Zikr ke aur jisko Allah subhanahu pasand farmata hai (yaa jo uske zikr ke liye mufeed ho) aur siwaye Aalim ke, aur ilm sikhne wale ke ( in sabke siwa jo bhi hai wo maloon hai)" 📕 Sunan Ibn Majah, Jild 3, 993-Hasan
Bina soche samjhe kuch bhi bolne se bachiye Hadith: Bina soche samjhe kuch bhibolne se bachiye RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Allah Subhanahu Nafrat karta hai tad-tad bolne waleaise Mardo se jo apni Zuban ko harkat dete rahte hainjaise Gaay (Ghas khane mein) apni zuban koharkat karti rahti hai (yani bina soche samjhejo jee mein aata hai bak jate hain)." 📚 Sunan Abu Dawud, Jild 3,1568-Sahih
Kisi ka Samaan Uthaane me Madad karna bhi Sadqa hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Kisi shakhs ka samaan uthaane mein madad kar dena bhi sadqa hai” – (Bukhari; 2989) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “किसी का सामान उठाने में मदद कर देना भी सदका है” – (बुखारी; 2989) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85