Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta

Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta

Aaj ke dor me aksar log yeh samajhte hain ke kisi buzurg ya wali ki shifarish se unhe Jannat mil jayegi, chahe wo Qur’an aur Sunnat ke teachings ko chhod kar apni marzi ki zindagi guzaar rahe ho. Yehi ghalat aqeeda pehle bhi kuch qaumon ka tha, jaise Isayi samajhte the ke Hazrat Isa (Alaihi Salam) unki shifarish karke unhe Jannat me le jayenge.

Lekin Allah Ta’ala ne unke is ghalat aqeede ka jawab dete hue Qur’an me farmaya:

“Aye Nabi (Salallahu Alaihi Wassalam)! Aap keh dijiye, agar Allah Ta’ala Masih Ibn Mariyam aur uski walida aur tamam zameen walon ko halaq karna chahe, to kiski majaal hai ke usko is iraade se rok le.”
(Qur’an 5:17)

Wazahat aur Nasihat

Ye aayat har us shakhs ke liye ek sabq hai jo ye samajhta hai ke sirf kisi ki shifarish se wo Jannat ka haqdaar ban jayega. Jannat sirf aur sirf Allah ki raza aur insani aamaal par mabni hai. Humein chahiye ke har waqt Qur’an aur Sunnat ka daaman thaame rakhein aur apni zindagi ko uske mutabiq guzaarein.

– Allah Ta’ala humein tamam ghalat aqeedon aur jahalat se bachaaye.
– Humein Qur’an aur Sunnat par ikhlas ke sath amal karne ki taufiq de.
Ameen! Allahumma Ameen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *