Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel…
Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney… Acchi ibadat ki dua "Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika" (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai: "Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai." – Surah Az-Zukhruf 43:36
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 3194
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon. Deney wala to Allah hi hai Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega, yaha…
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge: Allah ka… Hadees: Suhaib (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: "Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta'ala Unse Irshad farmayenge: "Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yaani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?" Wo Kahenge: "Kya Aap ne Humare Chehre Roshan nahi kar diye aur kya Aapne Hume Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil nahi kar diya ? (Ab…
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai." 📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592
Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai Allah se darto! Allah Tumhare kaamo se bakhabar hai "Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhare tamam kaamo se poori tarah ba khabar hai." 📕 Surah Maidah 5:8
Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare : Hadees Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ki Rahmat ho uss Bande par jo Bechney, khareedne aur Apna Haq Wasool karne me Narmi Ikhtiyar kare." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2076
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…