Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye ….

☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf ..
Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Palta Dey ,.. Yaani Quraano-Hadees ko Insaf Ka Mayar Banaye ,..

Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai –
♥ Al-Quraan: “Aye Emaanwalo !
Ita’at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki,
Aur Ita’at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai
(Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil Hai),
Lekin Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye
Tou Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf
Agar Allah Aur Roze Aakhirat Par Iman Rakhte Ho”.
– [Surah Nisa(4); Ayat(59)] – @[156344474474186:]

* Aaj Kitni Baar Aisa Hua Ke Jis Baat Me Humne Ikhtelaaf Paya Aur Usko Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Paltaya ?
Afsos Ki Baat Hai Ke – Aaj Tou Humara Yeh Mu’amla Hai Ke Jis Ikhtelaaf Me Hum Log Mulawwis Hai Usme Aur Gehrayi Tak Pohochkar Aur Ikhtelaaf Karna Chahte Hai Ummat Me.,. Islah Ke Bajay Mu’ashre Ko Bigad Dena Chahte Hai. Yehi Tou Humari Halat Hai Aaj.

* Aur Ikhtelaaf Hota Hai,.. Kyu Na Ho ?
Insan Hai! Humari Samajh, Akl Me Ikhtelaaf Hona Mumkin Hai..
Lekin Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Baat Aaney Ke Baad Sir Kham Kar Dijiye, Ke Bus Mu’amla Khatm Hua…

*Sababao (RaziAllahu Anhu) Ka Bhi Yahi Usool Tha ….
Jab Tak Koi Baat Na Hoti Tou Ikhtelaaf Hota ..
– Lekin Jab Allah Aur Uske Rasool Ki Baat Rakh Di Jaati Tou Fouran Pichey Hatt Jatey Aur Jaan Letey Hai Ke – Haa! Mujhsey Khata Ho Gayi, Ab Mai Apni Islah Kar Leta Hu …

* Lekin Aaj Humara Muamla Yeh Hai Ke
Bus!!! Humne Keh Diya Na Ab Hum Adey Rahenge !
Fir Chahey Yeh Allah Ke Khilaf Ho,
Uske Rasool Ke Khilaf Ho,
Shariyat Aur Deen Behar’haal Wo Cheez Jane Dijiye ,
Humne Keh Diya Muamla Tay Ho Gaya ….. (Nauzubillah)

* Jara Soch Lo Bolne Se Pahle! Kisi Giroh Ke Khilaf, Kuch Logon Ke Khilaf Jinhe Hum Apna Mukhalif Samjhte Rehte Hai, Unko Rokne Ke Chakkar Me Hum Log Yeh Baatey Muhh Se Keh Detey Hai Aur Samjhtey Bhi Nahi Ke Iska Asar Kaha Tak Hota Hai,…
* Shariyat Par, Allah Ke Deen Par, Rasool’Allah Ki Taalimat Par Kitna Gehra Ilzam Lagate Hai Hum…
Allah Ke Liye Aisa Mu’amla Naa Ikhtiyar Kijiyega…

* Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Ikhtilaaf Ho,, Allah Aur Uske Rasool Ki Taraf Uss Cheez Ko Fauran Palta Dijiye,..

– Sahi Daleel Kitabo Sunnat Se Hasil Karey
– Agar Unme Bhi Na miley Tou Fir Imaamo Ke Qoul,
Ya fir Ulemaa-e-Haq Ke Fatwo ki Taraf Ruzu Kare,..
– Aur Apni Aur Apne Momin Bhaiyo Ki Islah Karey.
– yahi Allah Aur Uski Hidayat Se Kareeb Hai…

# In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *