Khana Khane ka Sunnat Tarika

Khana Khane ke Adab aur Sunnat Tarika

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Deen-e-Islam ek mukammal deen hai, yah dunia aur aakhirat ke tamam shobo ke humari rehnumayi farmata hai, usi tarah humare Khane Pine ke muamle me bhi hume adab aur salika sikhata hai. is post me hum Khana Khane ki Dua, Khane ke Adab aur Ahtraam wa Sunnat ka tazkira kar rahe hai.

Aap tamam hazrat se iltija hai ke isey padhe aur jitna ho sake share kar Sawab hasil kare.

Khana khane ke Adab wa Sunnat

1. Seedhe Haath se khana

Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab tum me se koi khae to seedhe(Right) haath se khae aur jab piye to seedhe hath se piye isliye ke shaytan ulte (Left) hath se khata hai aur ulte hath se peeta hai.”

🔰 Sahih Muslim 2020


2. Khane se pehle Bismillah padhna

Khana Khane ki Dua

Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Tum me se jab koi khana khaye to chahiye ke wo «Bismillah» kahein, agar wo shuru mai Bismillah kehna bhool jaein to yun kahey: « Bismillah fi awwalihi wa akhirih ».

🔰 Ibn Majah 3264 | Sahih


3. Jo Saamne ho usey Khana

Hadees: Sayyidina Umar Bin abi salmah (رضي الله عنه‎) se riwayat hai:

“Mai Aap (ﷺ) ki nigaah mai tha aur mera hath piyaale mai sab taraf ghoom raha tha.

Aap (ﷺ) ne farmaya: “Aye ladke ! Allah ka naam lo aur seedhe haath se khao aur jo paas ho udhar se khao.”

🔰 Sahih Muslim 2022


4. Khane ki cheez gir jaane par utha kar khana

Hadees: Rasool Allah (ﷺ) jab khana khatey to apni teeno unglia chaat tey aur farmatey:

“Tum me se kisi ka niwala agar gir jaae to usko saaf karke khaley aur shaytan ke liye na chodey. Tum ko malum nahi konse Lukme me barkat hai.”

🔰 Sahih Muslim 2034


5. Ungliyaan aur Bartan Chaatna

Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jab tum mai se koi khana khae to apni ungliyaan chaat le. Kyunke usko malum nahi konse khane me barkat hai.”

Aur pyaale Saaf karne ka bhi hukm kiya.

🔰 Sahih Muslim 2033


6. Allah Ta’ala ka Shukr ada karna

Hadees: Nabi Akram (ﷺ) ne farmaya:

“Khana khaa kar Allah ka shukr adaa karne wala Sabr karne wale Rozedaar ke tarah hai.”

🔰 Ibn Majah 1764 | Hasan


7. Khane ke Baad ki Dua padhna

Hadees: Nabi Akram (ﷺ) ne farmaya :

“Jo shaqs khana khaakar ye dua padhein:

«الْحَمْدُ للَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا، وَرَزَقَنِيهِ، مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلَا قُوَّةٍ»

(Hamd o sana aur tareef hai us Allah ki jisne mujhe ye khilaya, aur baghair meri kisi taaqat aur zor ke usne mujhe ataa kiya.)

To Allah Ta’ala uske pichle gunaah maaf farma dega.”

🔰 Ibn Majah 3285 | Hasan


8. Khane me aib naa nikaalna

Hadees: Hazrat Abu Hurayrah (رضي الله عنه‎) ne bayan kiya ke:

Nabi kareem (ﷺ) ne kabhi kisi khane mai koi ayb nahi nikala. Agar pasand ho to khalia aur agar naa pasand hua to chodh dia.”

🔰 Sahih Bukhari 5409


9. Hadh se Zyada naa khana

Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Kisi aadmi ne koi bartan apne pait se zyada bura nahi bhara, aadmi ke liye chand luqme hi kaafi hai jo uske paet ko seedha rakhein aur agar zyada hi khana zaruri ho to paet ka ek tihaai hissa apne khane ke liye, ek tihaai paani peene ke liye aur ek tihaai saans lene ke liye baaqi rakhein.”

🔰 Tirmidhi 2380 | Sahih

In sha Allah ul Azeez ! Allah taala hume kahne sun’ne se jyada amal ki taufiq de. Ameen!




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *