♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdur Rahman-bin-Abi Bakrah (Rahmatullah Alaihe) Se Riwayat Hai:
“Mere Waalid Ne Ubaidullah bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) Jo Ki Qazi (Judge) They Unko Likha:
“Gusse Ki Haalat Me Do Insano Ke beech Me Faisla Na Karna, KyunKi Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmaate Huye Suna: ‘Qazi Ko Gusse Ki Haalat Me Do Insaanon Ke Bich Me Faisla Nahi Karna Chahiye.'”
– (Jami At-Tirmidhi , Hadith No.1334)
‘
#Takhreej: Gusse Ki Haalat Me Sahih Faisla Kar Paana Mushkil Hota Hai , Is Liye Aisi Haalat Me Faisla Nahi Karna Chahiye ,..
Qazi (Judge) Kabhi Gusse Ki Haalat Me Koi Faisla Na Karey ….
Leave a comment
Leave a comment