✦ Mafhum-e-Hadees:
Abdullah Ibne Mas’ud (RaziAllahu Anhu) ne farmaya ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Taweez, Jhar-Foonk Sab hi Shirk hai.”
Ye Sunke Jainab (Razi’Allahu Anha) (Abdullah ki Biwi) ne kaha, ‘Aap ye kya keh rahe ho? Allah ki qasam! mere Aankh ki Beemari ke waqt, Main ek yahudi ke paas jaati thi aur wo mujhe Taweez deti thi aur Uss se meri beemari door ho jaati thi.’
Tab Abdullah (RaziAllahu Anhu) ne bataya: ‘Wo tou Shaitani aamal tha. Dar’asal Shaitan aapne hath se tumhare aankh ko daba ke rakhta tha. jab yahudi tumhe Taweez pahenne ko detey, tab Shaitan wo kaam chhor deta.
Beshaq tum wohi bayan karo jo Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Allahumma Rabbin Nas Azabal Ba’asa Asfi Anta Shafi La Shafi Illa Anta Shafi La-Yugadiru Sakma”
#Tarjuma: “Ya Allah saarey Aalam ka Rab, Taqleef door karnewala, Shifa ata farma, Sirf Tu hi Shifa deney wala hai, tere bagair koi Shifa dene wala nahi hai, aisi Shifa ata kar taakey Beemari ekdum hi naa rahe.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek aur riwayat me Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” jisne “Taweez” latkai usne Shirk kiya.
📕 Musnad Ahmad (4/156) No. 17458
📕 Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513
Ab Aksar log kehte hai ke humare badey tou aisa hi karte hai, yaani Taweez ko sahi kehte hai, isey Ikhtiyar karte hai. Ab kya humare badey itne Saalo se Galat ho Saktey hai kya?.
Tou Mera #Sawaal hai aise logon se – ke hume apne bado ke tareeko par chalna hai ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke?
☆ ye Aap hi tay kijiyega aap apne Amaal ke jawab-deh hai Rab ke paas aur Aapke badey apne Aamal ke jawab-dehi honge.
* * * * *
*Allah hume haq kehne, Sun’ne aur samajh ke saath amal ki taufik ata farmaye.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
• ummat-e-nabi.com/home | • Fb.com/HadiseNabwi