Shohar par Biwi ke Huqooq
Ek Hi Biwi hai Magar Mard Uske Paas nahi rehta, balki Namaz wa Roze me Mashgul Rehta hai tou Aurat Shohar par Mutalbah kar sakti hai. aur Usey (Mard Ko) Hukm diya Jayega ki Aurat ke Paas bhi raha kare ki Hadees me farmaya Gaya hai ki:
“Tumhari Biwi ka Tum par Haq hai.”
📕 Mafhoom-e-Hadees (ﷺ)
📕 Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Nikah,Hadees 5199
Roz Marrah ki Shab-Bedari aur Roze Rakhne me Uska haq talaf hota hai, Raha ye ki uske paas rehne ki kya mi’ad hai uske Muta’allik ek eiwayat ye hai ki, “Char Din me Ek din uske (Aurat ke) liye aur Teen din ibadat ke liye. aur Sahih ye hai Ki Usey Huqm Diya Jaaye Ki Aurat ka bhi Lihaz Rakhe, Uske Liye bhi Kuch Waqt de, aur Uski mikdar Shohar ke Muta’allik hai.”
📕 Johra Al-Nirah, Kitab-Ul-Nikah, Page:33,
📕 Bahar-e-Shari’at, Jild 1, Hissa 7, Page:96