Dar-haqikat 786 ke kayi maaney hotey hai. Dour-e-Jahalat me Arbo me ek tareeka hua karta tha jisey “Abjad” kehte hai. Ismey Arbi ke Alfazo me kuch Numbers lagatey they, jaise ke Alif = 1, Ba = 2 … in gintiyon ko milakar yeh log faal khola karte they.
Jaise misal ke tour par aapka naam hai Faiz, Ismey ‘Fa’, ‘Ye’, ‘Jwad‘ tou inki Value of numbering ki calculation karke total number nikaltey aur Chittiyo ko mod detey aur kehte likho koi ek number, agar yeh dono mil gaye tou tumhara kaam ho jayega. isey kehte hai Faal Kholna. jo ke Dour-e-Jahalat ka Abjad tareeka aur Shariyat ne iss cheez ko Haraam karar diya.
Ab logo ne Abjad ke aitbaar se ye matlab nikala ke 786 ka meaning ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim‘ hota hai, lekin 786 ka matlab sirf ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ nahi hota yeh baat tou tay hai. kyu ke bohot se majahib me bhi 786 ka bada aqida hai. usko bhi bada respect diya jata hai.
• Shariyat-e-Islamiya me 786 ka Istemal Kaisa ?
Sabse pahli baat Shariyat me aisi Shortcuts ka matlab Biddat(Sharayi Biddat) hai aur Sharariyat me naya Akida ijad karne ke talluk se hum sab jante hai hai ke “Qullu Biddatun Zalala“ yaani deen me Ijad kiya hua har naya akida gumrahi hai aur har gumarhi ka thikana jahannum ki aag hai.
• Biddat ke Taklluk Se Tafseeli Jankari ke liye is Link Par Jaye
Beharhaal ! Ab Andaza Lagayiye ke 786 Ki Aisi Biddat Shariyat Me Jayaj Hoti Tou Subhan’Allah Hum Ek-Ek Raat Me 1000 Rakat Nawafeel Aasani se Padh Letey ,.. Masha’Allah …
– Jaise Ke > 786 = Bismillah, 1000 = Surah Fatiha, 2000 = Surah Baqraah ,.. Subhan’Allah !!!!
– Andaza Lagayiye Kitni Aasan Hojayegi Humari Namaze.
Ekdum Shortcut Numerical Namaz ,… Masha’Allah !!!
*Kya Allah Ke Nazdeek Humari Aisi Ibadate Kabil-e-Kabul Hogi ?
Nahi Na .. Tou Fir Kyu Kar Hum 786 Ke Aadi Ho Gaye Hai Mere Azeezo ?
Kyu Hum Deen Aur Shariyat Ko Chorrkar Jahilana Aqaiyid Par Jyada Aitmaad Rakhtey Hai ..
# Allah Rabbul Izzat Humey Tamam Kism Ki Gumraahiyo Se Bachaye …
# Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey Banaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!