♥ Mafhoom-e-Hadees: Eyaaz Ibne Himaar Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke,
Allah Ta’ala Ne Mujhe Wahi Farmayi Ki Inkisar Karo Hatta Ki Koi Kisi Par Fakr Na Kare Aur Koi Kisi Par Zulm Na Kare.
– (Mishkatul Masaabih. Al Hadees: 4898, Jild 2 Safa 202)
* Wajahat: Iss Hadees Me Hatta Ke Mayne Hai Ke Ejja Wa Inkisari Ikhtiyar Karo Taaki Koi Musalman Kisi Musalman Par Fakr Na Kare Na Maal Me Na Nasab Wa Khandan Me Na Izzat Ya Jatthe Me Aur Koi Muslman Kisi Bande Par Zulm Na Kare Na Momin Par Na Kafir Par, Kyunki Zulm Sab Par Haram Hai, Magar Kibr Va Fakr Muslman Par Haraam Hai Aur Kuffar Par Fakr Karna Ibadat Hai Ke Yeh Neymat-e–Emaan Ka Sukr Hai.
– (Miraatul Manahij , Jild 6, Safa 506-507)