» Quraan Kiske Liye ? –
Iss Deen Ka Yeh Sharf Hai Ke Iska Rab Rabbul Aalmin Hai,
Iski Kitaab Quraan Ka Ye Sharf Hai Ke Dunia Ki Koi Kitab Yeh Nahi Batati Ke Wo Kiske Liye Aayi Hai ? Bhejne Wala Koun Hai ? Kaha Jayegi ? Kya Muamla Hoga ?
* Lekin Quraan Ki Ye Fazilat Aur Sharf Hai Ke Wo Batata Hai Ke Wo Kiske Liye Hai,
Aur Allah Rabbul Izzat Ne Surah Baqra Ayat 185 Me Wajahat Kar Di Aur Kaha “Ramzan Wo Mahina Tha ,
Jisme Allah Ne Quraan Ko Nazil Kiya Tamam Insaniyat Ke Hidayat Ke Liye”
* Sirf Arbo Ke Liye Nahi, Musalmano Ke Liye Nahi Balki Kaha “Insaniyat” Ke Hidayat Ke Liye..
Kisi Kabiley, Kisi Giroh Kisi Makhsus Zuban Walo Ki Hidayat Ki Baat Nahi Ki Balki Kaha Insaniyat Ke Hidayat Ke
Liye Ye Kitab Aayi Hai Quraan..
* Aur Furqaan Hai Ye Farq Karne Wali Kitab Hai Acchayi Aur Burayi Ke Darmiyan..
Ab Aayiye Aagey Hum Dekhte Hai ..
» Allah Ibadat Kiski Chahta Hai ? –
Ke Koun Allah Ki Ibadat Kare? Iske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Ka Quraan Me Pahla Hukm Surah Baqrah Ayat 21
Me Allah Farmata Hai –
“Aye Logo ! Ibadat Karo Uss Rab Ki Jisney Tumhe Paida Kiya, Aur Tumse Pichlo Ko Paida Kiya, Taaki Allah Ka Darr Ikhtiyar Karo”.
* Tou Yaha Bhi Allah Rabbul Izzat Chahta Hai Ke Puri Insaniyat Uski Ibadat Karey..
Warna Digar Tamam Majahib Me Mabud Makhsus Hai, Makhsus Log Ibadat Kar Sakte Hai, Hatta Ke Unki Ibadat Gaho Me Makhsus Log Ghus Sakte Hai.. Sab Nahi Ja Sakte.,.
* Lekin Alahmdulillah ! Allah Ka Hukm Hai Ke Ibadat Sab Karey UsiKi Jo Kabile Ibadat, Barhaq Mabud Hai..
Aur Wo Tamam Aalam Ka Rab Hai, Aur Farmaya – “Quraan Tamam Insaniyat Ke Liye Bheji Gayi Hai”!!!
Tou Jab Tamam Cheeze Insaniyat Ke Liye Tou Yakinan Iss Deen Ke Andar Aalmi Paigaam Hai..
» Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kiske Liye ? –
Aagey Dekhte Hai Ke Khud Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Talluk Se Quraan Kya Kehta Hai ?
Allah Rabbul Izzat Surah Araf Ki Ayat 158 Me Farmata Hai – “Aye Mohammad Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Insaniyat Se Kehdo Ke Mai Tum Sabki Taraf Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hu,.”
SubhanAllah!!! Ye Nahi Kaha Ke Mai Arbo Ki Taraf, Mai Musalmano Ki Taraf, Mai Hind Ki Logo Ki Taraf Ya Barre Sageer Ya Chin… Aisa Nahi Kaha, Balke Aapne Farmaya Ke Mujhe Tamam Insaniyat Ke Liye Allah Ka Rasool Banakar Bheja Gaya Hai..
* Tou Iss Deen Ka Rab Bhi Aalam Ke Liye, Iska Nabi Bhi Aalam Ke Liye Aur Quraan Bhi Tamam Aalam Ke Liye Hai..
* Aur Khud Ummat-e-Muslima Yeh Bhi Aalam Ke Liye Hai.. Aur Uski Wajahat Bhi Rabul Izzat Quraan Me Kar Chuka Hai –
“(Aye Emaanwalo!) Tum Sabse Behetar Ummat Ho, Insano Ke Fayde Ke Liye Tumhe Nikala (Paida Kiya) Gaya Hai” – [Sureh Al-Imran(3): Ayat-110] – @[156344474474186:]
•» Sabak: Tou Yaha Rabbul Izzat Ne Ailan Kar Diya Ke –
Allah Rabbul Aalamin Hai ,…
Mohammad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Rehmat-Ul-Lil Aalamin Hai ,…
Aur Quraan Zikr-Ul-lil Aalamin Hai ,…
Tamam Baatey Aalam Ke Talluk Se Kahi Gayi Hai …
Lihaja Yeh Deen Apne Andar Ye Salahiyat Rakhta Hai Ke Iss Aalam Ke Andar Aman Qayam Kare …
In shaAllah-Ul-Azeez ..
# Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Tauffiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!