♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me)
*Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta’ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge.
– (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki Allah Taala ne Tumpar Maa ki Nafarmani Tum Par Haraam ki Hadees: Al-Mughira (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur ( walidain ke haqooq ) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna ( bhi haraam qarar diya hai ) aur Kil wa qail ( fuzool bateen ) kasrat se sawal (Unnecessary Demand)…
Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Allah ke Rasool (ﷺ) farmatey hai :“Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga? Jab Tumhare Naujawan Badkaar (Characterless) ho Jayenge aur Tumhari Ladkiyan aur Aurtein Tamaam Hadood Phallaang (Limit Cross) kar jayeingey. Sahaba Karaam ne Arz Kiya:"Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa bhi Hoga?" Aap (ﷺ) ne farmaya:"Haan! Aur Uss se Badh kar, Uss Waqt Tumhara kya Haal hoga,Jab Na tum Bhalayi ka Hukm Karoge, Na Burayi par Aitraaz karoge!" Sahaba ne arz…
Uss Qayamat ke din se Daro ... Uss Qayamat ke din se Daro Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Us Qayamat ke din se Daro jab na koi jaan kisi jaan ke kaam aayegi." 📕 Al-Quran; Surah Baqrah 2:48
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees:…
Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare : Hadees Rahmat ho uss Bande par jo Narmi Ikhtiyar kare Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ki Rahmat ho uss Bande par jo Bechney, khareedne aur Apna Haq Wasool karne me Narmi Ikhtiyar kare." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2076
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega".…
Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon Ke Darmiyaan Sulah ke… Wo Shakhs Jhoota Nahi jo Sulah ke liye Jhuth bole RasoolAllah(ﷺ) ne farmaya: "Wo Shakhs Jhoota Nahi Jo Logon ke Darmiyaan Sulah karwaane ke liye Jhoot boley." 📕 Abu Dawood 4920 (Sahih) Sabaq: Logon ke darmiayan Sulah karwaneki niyat se bola gaya jhuth muaf hai.
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge? Allah ki Madad Qareeb hai "Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke "Allah ki madad kab aayegi ?"(phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai." 📕 Al Quran…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh Tum tak pahunch kar rahegi Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: “Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.” 📕 Quran, 62:8
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274