Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Allah Taala ka farman hai ke: "Jo Shakhs Shaitani Qadmo ki pairwi kare to Behayayi aur Burey kaamo ka hee hukm karega." 📕 Surah Noor 24:21
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Nek Mard ke liye Nek Aurat is aayat ka kya Matlab hai https://www.youtube.com/watch?v=ykwjEq-6pxQ Nek Mard ke liye Nek Aurat Quran-e-Majid ke mutabik Nek Mard ke liye Nek Aurat aur Nek Aurat ke liye Nek Mard is Aayat ka kya Matlab hai. Janne ke liye Ahle Sunnat Wal Jamat ke Aalim Adv Faiz Syed ki mukhtsar si video clip ka mutala kare. Aur isey jyada se jyada logon tak pohchane me humara tawoon kare. JazakAllah khair. Speaker: Advocate Faiz Sayed (Islamic Research Center Aurangabad)
Kya Allah iman walo ko bagair Aazmaye Chor dega ? Kya Allah imanwalo ko bagair Aazmaye Chor dega? Allah Taala Quran me farmata hai: "Kya logon ne ye samajh liya hai ki (sirf) itna keh dene se ki hum emaan laye chor diye jayenge aur unka imtehan na liya jayega, aur humne tou unn logon ka bhi imtihaan liya jo unse pehle guzar gaye. garaz Allah un logon ko jo sachche (Dil se Emaan laye) hain yaqeenan alahaeda dekhega aur jhoothon ko bhi (alahaeda) zarur dekhega. 📕 Surah Al-Ankabut 29:2
Murgey ko bura bhala na kaho, Wo Namaz ke liye jagata hai Zaid bin Khalid (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye jagata hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 5101-Sahih
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262
Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai - “Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai, Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai touEk Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho. Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai. Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath…
Jo Hota Hai Acche Ke liye Hota Hai - Whatever… https://www.youtube.com/watch?v=f_UYXtJ5TIU&pp=ygVNSm8gSG90YSBIYWkgQWNjaGUgS2UgbGl5ZSBIb3RhIEhhaSDigJMgV2hhdGV2ZXIgSGFwcGVucywgSGFwcGVucyBmb3IgdGhlIEdvb2Q%3D Jo Hota Hai Acche Ke liye Hota Hai Whatever Happens, Happens for the Good Topic Jo Hota Hai Achhe Keliye Hota Hai Topic Ki Ahmiyat Jab Hum Nahi Samajhte Jo Hota Hai Achhe Keliye Hota Hai To? Insan Ki Fitrat Me Jald Bazi Aur Na Shukri Hai Incidents Sabhi Ke Sath Hote Hai Achhe Aur Bure Hum Khud Decide Karte Hai Allah Janta Hai Kaunsi Chiz Tumare Liye Acchi Aur Buri Hai Kisi Bhi Halat Me Momin Mayus Nahi…
Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho." 📕 Quran; Al-Humaza 104:1
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab ✦ Mafhum-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki: Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte…
Taqwa aur iski Ahmiyat ♥ Bismillah Hirrahman Nirrahim ♥ "Inna Akramakum 'IndAllahi Atqakum" "Beshaq Allah ke Nazdik ikram wala wohi hai jo Allah ka Darr(Taqwa) rakhta ho" (Al Quran, Surah Huzrat 49:13) Allah Rabbul Izzat ne Baar-Baar is Paigaam ko Dohraaya: “Aye wo logo jo Imaan laye ho Taqwa ikhiyar karo” aur ye Aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai. Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani "Allah ka Darr" jo ki bohot hi ahmiyat wali baat hai jiska paigam hume diya gaya.…
Jhuth bolkar Hasaane wale ke liye Tabahi aur barbadi hai Jhuth bolkar Hasaane wale ke liye barbadi hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Tabahi wa Barbadi hai us shakhs ke liye jo aisi baat kehta hai ki log sun kar hasein halanki woh baat jhooti hoti hai.” 📕 Sunan Tirmizi: Hadees 2315 (Hasan)
Allah Kaafi hai Momineen ke liye Allah Kaafi hai Momineen ke liye Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Nabi! Aapko Allah Kaafi hai aur Un Mominon ko Jo Aapki Pairvi kar rahe hai" 📕 Surah Anfal 8:64
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705