♥ Qaul-e-Mubarak: Zindagi Saada Aur Mukhtasar Honi Chahiye Warna
Qayamat Ke Din Hisaab Me Badi Pareshani Hogi.
- Hazrate Abu Bakr Siddiq-e-Akbar (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai ke:
Sabse buri Aurte wo hai jo Bepardgi kare aur Takbbur Se Chalne wali ho,
ye us ummat ke munafiqat hai, aur ye wo hai jo jahnnum me
Kavve ki tarah chikhti hui… Read More...
♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
"Aur Jab Koi Tumhen Dua Salaam Kare TouUsko Uss Se Behtar
Dua Do Ya Phir Usi Tarah Ke Alfaz Keh Do..."
- (Al-Quraan: Surah: Nisa - Ayat: 86)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se… Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Irshad Farmate Hain -
"Jis Amal (Ibadat, Riyazat, Neki) Me Tujhe Halawat (Meethas) Na Miley,
Yun Samajh Ke Tuney Usey Kiya Hi Nahi".
- (M.Jamal Mustafaai) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Imaam Ibn Qayyim (Rahmatullah Alayh) Ne Farmaya -
"Jisey Ilm Aur Amal Saleh Mil Gaya Tou Yakin Jano Wo Kamiyab Ho Gaya!
Aur Jo Shakhs Inn Dono Neymat Se Mehroom Raha Tou Wo Badnaseeb Saare Neymat Se Mehroom Raha".
-… Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: “Logon Ko Itni Jaldi Muaf Kar Diya Karo
Jitni Jaldi Tum Allah Se Apney Liye Muafi Ki Ummid Rakhte Ho”.
- Hazrate Umar-e-Farooq (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Geebat Ki Tabahkariyo ke Talluk se
Hazarte Ali (RaziAllahu Anhu) Ka Behtareen Qoul aata hai ke:
"(Aye logon!) Tumhe Laazim Hai Ke Geebat Se Door Raho,
Ke Geebat Logon Ko Aapas me Dushman Bana Deti Hai
Aur Tumhara Acche… Read More...
» 1. Aise Shakhs Ko Dost Rakho Jo Neki Kar Ke Bhul Jaye.
» 2. Jo Log Khudgarz Hotey Hain Wo Kabhi Achhe Dost Nahi Hotey.
- (Hazrate Abu Bakar RaziAllahu Anhu)
» 3. Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Mat Karo.
- (Hazrate… Read More...
∗ Daulat Behtarin Khaadim Hai Magar Badtareen Dushman Bhi Hai.
Jin Logon Ke Khayalat Behtar Hai, Woh Kabhi Tanhaa Nahin Hote.
∗ Apni Umr Aur Doulat Pe Aitbar Mat Karo, Kyun Ke
Jo Cheez Ginti Me Aa Jaye, Usse Ek Din Jaroor Khatm Hona Hai.… Read More...
♥ Umar Ibne Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Ek Martba Sawaal Kiya Gaya Ke: ‘Ilm Kya Hai ?’
Aapne Farmaya: “Ilm Wo Hai Jo Allah Ki Kitaab Me Hai ,.. Yaani Jo Allah Ne Kaha Wo Ilm Hai” ,.
Aur Jo Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaha… Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Apne Momin Bhaiyon Ke Liye Unki Gair Mojudgi Me Bhi Dua Kiya Karo,
Iski Barkat Se Tumhare Rizq Me Izaafa Hoga.
- Hazrate Imaam Baqar (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak:
Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke:
"Jab Tumhe Mehsoos Ho Ke Tumhari Tabiyat Ko
Zikr-e-Allah Se Mohabbat Ho Gayi Hai,
Tou Jaan Jao Ke Woh Yaani Allah Rabbul Izzat Tumhe
Pasand Karta Hai.." Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Jab Tumhare Dil Me Kisi Ke Liye Nafrat Paida Hone Lage
Tou Fouran Uski Achchaiyo Ko Yaad Karne Lago.
- Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak:
"Allah Ka Zikr Kia Karo Ke Iss Me 'Shifa' Hai Aur Logo'n Ke
Aib Bayan Na Karo Ke Iss Me 'Bimaari' Hai.."
- Hazrat Umar (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Hazrat Bayzid Bustami (Rahmatullah Alayh) Farmate Hai,
"Mujhe Jitne Maratib(Martaba) Hasil Huwe Hain,
Wo Sab Meri Walida Ki Farmabardari Se Haasil Huwe Hain".
- (Tazkiratul Aulia) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Hazrate Sulaiman (Alaihay Salam) Farmate Hai Ke -
"Jis Shakhs Ne Apne Nafs Par Qaabu Paya,
Wo Uss Shakhs Se Zyada Taqatwar Hai Jo Akela Ek Shehar Ko Fatah Kar Leta Hai". Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: "Musibat Ke Waqt Aaraam Ki Talaash Na Kar,
KyunKi Iss Se Aaraam Tou Nahi Milega, Lekin Musibat Zarur Ziyada Ho Jayegi."
- Imaam Ja'afar (Rehmatulahi Alaihi) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Shaykh Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh) Farmate Hain -
"Qaul Wa Amal Ka Goodah Ikhlas Hain, Qaul Wa Amal Jab Ikhlas Se Khali Ho Jaye
Tou Bagair Goodeh Ka Chilka Reh Jayega, Aur Jaante Hi Ho Ki Chilka Siway Jalane Ke… Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Jis Ka Rabta Allah Se Ho Wo Naaqam Nahi Hota,
Naakam Tou Wo Hota Hai Jis Ki Ummidain Duniya Se Wabasta Ho."
- Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Jiski Nigahain Azad Ho Uss Ka Dil Ranjeeda Hota Hai,
Jo Baar-Baar Azadaana Nigaah Karta Hai Wo Hamesha Hasrato Me Mubtila Rehta Hai.
- Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Read More...
♥ Qaul-e-Mubarak: Insan Dunia Me Ess Qadar Mashghool Hota Hai Ke,
Usey Pata Bhi Nahi Chalta Ke
Jis Kapde Se UsKa Kafan Ban'na Hai Wo Bazar Me Aa Chuka Hai.
- Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Read More...