Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Allah ki Raah me Kharch Karne ki Fazilat

Hadees of the Day

✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota

Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta’ala farmata hai

“Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga” aur Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya “Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota.”

📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308

Read More

5/5 - (5 votes)
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Hadees of the Day

Apne Bhai ki Madad karo,
Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom

Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom.”

Tou ek shakhs ne pucha “Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?”

Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke
“Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai.”

📕 Sahih al-Bukhari 2444

5/5 - (5 votes)
Hadees : Zikr-e-Ilaahi Karne Walo ke Liye Khushkhabri

Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri …

Hadees of the Day

Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri

Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ka farman hai –

“Allah Ta’ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai,

Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai tou
Ek Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho.

Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par ‘Aameen’ Kehte hai.

Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath Milkar Durood bhejte hai, Hatta ki woh Muntashir (Yaani Idhar Udhar) ho jate hai.

Phir Farishte ek dusre ko kahte hai ki Inn Khush-Nasibo ke liye Khush-Khabari hai ki woh Magfirat ke saath wapas ja rahe hai.”

📕 Jam’ul Jawami’a Lissuyuti,J 3, Safa 125, Hadees-7750

Read More

4.5/5 - (17 votes)
Kisi ko Kafir kehna kaisa hai Hadees

Kisi ko Kafir kehna kaisa hai?

Hadees of the Day

Kisi ko Kafir kehna kaisa hai?

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Agar Koi Shakhs Kisi Shakhs ko Kaafir ya Faasiq kahe aur Woh Dar Haqeeqat Kaafir ya Faasiq na ho to Khud Kehne wala Faasiq aur Kaafir ho Jayega.”

📕 Sahih Bukhari: 6045

4.6/5 - (9 votes)
Kisi ke Aage Hath Phailane se bache (Hadees)

Kisi ke Aage Hath Phailane se bache

Hadees of the Day

Kisi ke Aage Hath Phailane se bache

Allah ke Rasool (ﷺ) ne Farmaya:

لأن يحتطب أحدكم حزمة على ظهره،خير له من أن يسأل أحدا فيعطيه أو يمنعه

“Agar Koi Shakhs Lakdiyon ka Gattha Apni Peeth Par (Bechne ke liye) Liye Phire to Woh is se Achcha hai ki kisi ke Samne Hath Phailaye phir Chahe usey (koi) Kuch de ya na de.”

📕 Sahih Bukhari: 2374

4.5/5 - (12 votes)
Hadees: Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare

Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare

Hadees of the Day

Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare

Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye.”

📕 Sahih al-Bukhari 7072

Read More

4.8/5 - (12 votes)
Hadees: 4 Cheezein Badnaseebi ki Pehchan hai

Hadees: 4 Cheezein Badnaseebi ki Pehchan hai

Hadees of the Day

4 Cheezein Badnaseebi ki Pehchan hai

Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

❝4 Cheeze badnaseebi ki pehchan hai; (1) Aankho ka khushk hona, (2) Dil ka Sakht hona, (3) Ummidon ka lamba hona, (4) Dunia ki hirs wa lalach ka hona .❞

📕 At-Targheeb wat-Tarheeb 2647

5/5 - (13 votes)
Hadees: Jisme Shaq wa Shuba ho wo Kaam chor do

Jisme Shaq wa Shuba ho wo Kaam chor do

Hadees of the Day

Jisme Shaq wa Shubha ho wo Kaam chor do

۞ Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate Hai:

“Jisme Shaq wa Shuba ho, usko chorkar uss cheez ko ikhtiyaar karo jis me shaq wa shuba naa ho.”

📕 Sunan Nasai 5711

5/5 - (11 votes)
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

Hadees of the Day

Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592

Read More

5/5 - (6 votes)
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda wo hai jo badla lene ki Quwwat ke bawajud Muaf kar de

Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Hadees of the Day

Allah ke Nazdeek Izzat wala banda

Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?

Allah Taala ne farmaya ke:
“Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de.”

📕 Sho’abul Iman 8327

5/5 - (10 votes)
Hadees Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

Hadees of the Day

Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal

۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya,
Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya
“Ya Rasool’Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain?

Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna.”

Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ”

Aap (ﷺ) ne farmaya :
“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.”

Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye!”

Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Zikr-e-Elahi ki Qasrat karna aur Mujh par Durood-e-Paak Padhna tangdasti ko door karta hai.”

Mai ne arz kiya “Kuch aur Irshaad farmaiye.”

Aap (ﷺ) ne farmaya
“Jo kisi Qoam ka Imaam baney tou Halki Namaz parhaye, Kyun ki Muqtadion me Burhay(Oldage) bhi hotey hai, Bimaar bhi, Bacche bhi aur Kaam kaaj wale bhi.”

📕 Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129
📕 Sa’adat Al-Daarain, Pg-714

4.6/5 - (14 votes)
Hadees: Nikah Meri Sunnat Hai

Nikah Meri Sunnat Hai

Hadees Of The Day

Nikah Meri Sunnat Hai

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke –

Nikah Meri Sunnat hai, aur jo koi meri Sunnat par amal na kare uska mujhse koi talluq nahi.

📕 Sunan Ibn Majah 1846

5/5 - (40 votes)
Hadees: Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai

Walid Jannat Ka Markazi Darwaza Hai

Aaj ki Hadees | Hadees of the Day

Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai

Abu Darda (R.A) farmate hai ke,
Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna,

“Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)”

📕 Jameh Tirmazi: 1900,
📕 Sunan Ibne Majah: 2089,
📕 Musnad Ahmed: 4456

Read More

5/5 - (3 votes)
Hadees : Allah Ta'ala Zalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

Hadees of the Day

Allah Ta’ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai

✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

Allah Ta’ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki:

‏{‏ وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ‏ }‏

“Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai, jab wo basti walo ko pakadta hai Jo zulm karte rehte hain, beshak iski pakad badi takleef dene waali aur badi hi sakht hai.” (Surah Hud 11:102)

📕 Sahih al-Bukhari;  © www.ummat-e-nabi.com/home | Arabic ref: Book 65, Hadith 4686

Read More

5/5 - (1 vote)
Agar tum Sabr karo aur Allah se Darte raho

Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna

Hadees of the Day

Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna

۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:

“Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai.”

📕 Sahih Muslim, Book 042, Number 7138

Rating: 5 out of 5.

Read More

5/5 - (1 vote)