Hadees Of The Day
Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Hath se
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
“Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mahfooz Rahe.”
Allah Humen Ek Dusre ki Izzat aur Ahetraam Karne ki Taufeeq ata farmaye. Aameen.
Daily Beautiful Hadith of the day in the light of Authentic Sources | Daily Hadees notification
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :
“Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mahfooz Rahe.”
Allah Humen Ek Dusre ki Izzat aur Ahetraam Karne ki Taufeeq ata farmaye. Aameen.
Hadees Of The Day
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Jab Allah Ta’ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
“Banda Apne Rab ke Sabse Zyada Qareeb Uss Haalat mein hota hai Jab woh Sajde mein hota hai, Lihaza is mein Kasrat se Dua karo.”
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
Allah Ta’ala Farmata Hai:
“Jaan Lo! Bila Shubha Allah Ta’ala Sakht A’zaab Dene wala hai aur Bila Shubha Allah Ta’ala bohot Bakhshne wala aur Nihayat Raham wala hai.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah ka Haq Bandon par yah hai ki Woh Uski Ibaadat Karen aur Uske Saath kisi bhi Cheez ko Shareek Naa karein.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Ta’ala Apne Raham Dil Bandon par hi Raham farmata hai”
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aye Imanwalo! Allah ki Ita’at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, aur (Nafarmani kar ke) apne amaal ko barbaad na karo.”
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
” Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai.”
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain :
“Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai.”
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Ta’ala Quran-e-Majid me farmata hai:
“Jis Maut se Tum Bhaagte ho Woh to Tumhein Pahunch kar Rahegi,
phir Tum Sab Chhupe khule ke Janne wale (Allah) ki taraf Lautaye jaoge aur
Woh Tumhein Tumhare kiye hue Tamaam kaam bata dega.”
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Allah Ta’ala Quran me farmata hai:
“Nasihat Karte Raho, Beshak Nasihat Iman Walon ko fayda deti hai.”
Hadees Of The Day
Abu Saeed Khudri aur Abu Huraira (r. a) se riwayat hai ke,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai:
Hadees Of The Day
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Bajamat namaz tanha namaz par 27 darje fazeelat rakhti hai.“
Aaj ki Aayat | Verse Of The Day
Allah Taala ka farman hai ke:
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Jo Shakhs Shaitani Qadmo ki pairwi kare to Behayayi aur Burey kaamo ka hee hukm karega.”
Hadees Of The Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai:
“Banda Apne RAB se Sabse Ziyada Qareeb Sajdey ki Haalat me hota hai,
Lihaza (Sajdey me) Tum log Zyada e Zyada Dua kiya karo.”
Hadees Of The Day | 22 Aug 2021
Allah rabbul izzat Quran e Karim me farmata hai.
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
‟Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo.’
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Aadmi apne Dost ke deen par hota hai. Lihaja tum me se har shakhs ko ye dekhna chahiye ke wo kis se dosti kar raha hai.”
Hadees of the Day
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
❝ Jab ek Aurat paanch (5) Waqt Namaz ada kare, Ramzan ke Roze rakhe, Sharmgaah ki hifazat kare (Zinaa se bache), Apne Shohar ki baat maane, tou Roz-e-Mehshar aesi Aurat ko kaha jayega ke Jannat ke is Darwaze se chaho dakhil ho jao.”