Contents
Sunnat-e-Rasool ko Tark karne Waley ka Duniyawi Anjaam:
» Aayiye Aagey aur Kya Nuqsaan Hoga Duniyawi Aitbaar se Agar Sunnat-e-Rasool Ko Hum Chorr Dengey …
• Allah Rabbul Izzat Surah Anfal ki Ayat Number 46 me Farmata Hai:
۞ Al-Quran ۞“Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! Ita’at Karo Allah ki aur Ita’at karo Uskey Rasool ki aur Aapas me Ikhtelaf Paida na Karna! Agar tum aisa karoge tou Tum Buzdil bana diye jaoge aur Tumhara Iqbaal jata rahega aur Sabr se kaam lo, ke Allah Sabr karne walo ke sath hai.”
Surah Anfal 8:46
– Tou Allah Duniya Me Buzdili Ata Kar Dega Aur Hawa Ko Ukhad Dega Humari ,.. Yaani Humara Dabdaba Aur Roub Khatm Kar Dega Duniya Se… Lihaja Sabr Karte Raho Ke Beshaq Allah Sabr Karne Walo Ke Sath..
Tou Ye Bhi Wo Nuqsaan Hai Jo Duniya Me Hoga.
• Ab Aayiye Gour Karte Hai Ke Aakhirat Me Kya Khassara Uthayenge Hum Sunnate Rasool Ko Chorrkar,..
Sunnat-e-Rasool ko Chorrne ka Aakhirat me Nuqsaan:
Allah Rabuul Izzat Quraan me Farmata Hai Unn Logon Ke Talluk Se Jo Allah aur Uskey Rasool Ki Ita’at Nahi Kartey.
۞ Al-Quran ۞
“Jo Allah aur Uskey Rasool Ki Naframani Karey aur Unki Hado Ko Farlang Kar Jata hai, Dakhil kar diya jayega Jahannum ki Aag me, Usmey rahega Humesha Humesha ke liye aur kya hi Sakht Azaab hai.“
Surah Nisa 4:13
– Tou Wo Log Jo Allah Aur Uskey Rasool Ki Baat Nahi Mantey ! Aakhirat Me Jahannum Me Jaaney Waley Hai,..
• Aayiye RasoolAllah (ﷺ) ki Ita’at Ke Talluk se Chand Aa-Hadeese Dekh Letey Hai,..
“Jisne Meri Sunnat se Mohabbat ki Usney Mujhse Mohabbat ki aur Jisne Mujhse Mohabbat ki Wo Jannat me Mere Saath hoga.”
Mishkaat Hadith no.165
– Ye hai Sunnate Rasool!! Jannat me Jaaney ki Zaamin hai ye,…
• Aagey RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai:
“Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaye Uskey Jisney Jannat Me Jaaney Se Inkaar Kar Diya.”
Sahaba ne Pucha – “Aye Allah Ke Rasool! Jannat Me Jaaney Se Tou Koi Bad Bakht Hi Inkaar Karega”
Aap (ﷺ) ne farmaya – Jisne Meri Ita’at Ki Wo Jannat me Gaya aur Jisne Meri Nafarmani Ki Usney Jannat me Jaaney se Inkaar kar diya”. [Sahih Bhukhari, Kitaab Ahkam]
– Tou RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat ka Inkaar kar ke Hum Duniya me Hii Jannat ka Inkaar Kar Dey Rahe Hai, ye hai RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnat Ahmiyat.
# In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Parhne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq Ata Farmaye!!!
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.