Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.h) Ki Mukhtasar Sirat aur Irshadaat (Sayings and Quotes)

Hazrat Abdul Qadir Jilani R.A Ki Mukhtasar Sirat and Quotes

Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.h) ki Mukhtar seerat, aapki Wilayat wa Buzurgi aur aapke Akidatmand muridon ke aqeede ka muazna aap hi ke irshadaat ki roshni mein.

 इस पोस्ट को हिंदी में यहाँ पढ़े :
शेख अब्दुल कादिर जीलानी रह. (मुख़्तसर सिरत व इरशादात)

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

“Allah ke Naam se Shuru jo Nihayat Reham Wala hai aur Durudo Salam ho uske Aakhri Nabi Tajadare Madina RasoolAllah (ﷺ) par”


Hazrat Abdul Qadir Jilani R.A Ki Mukhtasar Sirat and Quotes

Mukhtasar Seerat:

» Hasab Nasab: Aapka Naam Abdul Qadir, Aapki kunniyat “Abu Muhammad” aur Laqab “Muhayyudin” tha, walid sahab ka Naam Musa aur dada ka yahya tha,. walida ka naam fatema tha.

» Wiladat aur Wafat:  Aap 470 Hijri me Bagdad ke qarib Jeelan me paida hue ,. Aapke Bachpan hi me Walid Ka Inteqal ho gaya. 488 Hijri me 18 Saal ki umr me Ilm Hasil karne ki garaj se Bagdad hi me Deen-e-Islam ki Dawat dete rahe aur tablig karte rahe. Rabbi Ussani 561 Hijri me 91 Saal ki umr me aap fout hue.

“Allah Ta’ala Shaykh Abdul Qadir (Rehmatullah Alahi) Ki Qabr ko noor se munwwar kare aur apko jannatul firdos me aala maqam ata farmaye,. Ameen…”

Shaykh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alahi) ne kayi kitabe likhi, unme Gunya tu Talibeen Urf Gunya aur Fatuhu al Gaib jyada mash’hoor hui. Is article ke jyadatar hissa aapki mash’hoor tasnif “Gunya” hi se makhuj hai.

Apki wafat ke baad aapke Aqeedatmand aapko mukhtalif Alaqab jaise “Mehboobe Subhani” , “Gouse Azam“, “Kutube Rabbani” , “Peerane Peer wa dastagir” Wagairah se pukarne lagey jabki aapki majlees me Sunnat-e-Rasool (ﷺ) ki sakhti se pabandi ki jati thi. Sirf Allah aur uske Rasool (ﷺ) ki ita’t ka daras diya jata tha. Khankahi andaz ke rasum aur bidda’at ke liye waha koi jagah nahi thi.

Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) aksar farmate:
“Sunnate Rasool (ﷺ) ki pairvi karo, Biddat se bachkar raho. Allah aur uske Rasool ki ita’at karo, Allah ko ek jano aur kisi ko uska Shareeq na tehraho, Aapas me Biradraane Muhabbat rakho aur Dushmani paida na hone do, Apni Zindagi ko Gunaho se aaluda na karo. Apne Rab ki bandagi karo, Tauba karne me der na karo, Agar tum Allah ke alawa kisi aur se kuch mangte ho ya us se jara bhi darte ho tou  yeh samajh lo ki tumhara iman kamjor aur deen adhura hai.”

Fatah al Gaib

Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) ne jo tablig logon me ki , jo Aqaaid Shagirdo ko talim farmaye, baad ke kum ilm aur Sada Dil musalman unn baato se la’ilm rahe aur aapki apni zindagi se kuch sabak nahi liya.

– Agar kiya to yeh ki aapke naam ki Nazre-Niyaz dena Shuru kar di, Unki Gyarhvi karne ko fayeda hasil karne aur nuksan se bachne ka jariya bana liya , Mushkilat aur pareshani me Allah ko Chorrkar unhe pukarne lage,.. unhi ko Hajat pura karne wala aur Musibato ko talne wala maan liya ,.. hatta ki unke naam ki namaz “Namaz-e-Ghousia” aur unke naam ka Wajifa “Ya Shaykh Abdul Qadir Jilani Shai’an lillahi” padhne lage. Jabki Madarij al Salikin me Salate Gousiya ke padhne ko kufr kaha gaya hai.

Iske Alawa Shaykh Abdul Qadir Jilani (Rehmatullah Alahi) ke naam par Farzi Karamat gadh kar logon ko sunane wa batane lage ,.. garaj yeh ki wo saare kaam jo Ibadate Ilahi ke liye khaas hai , wo aap Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) ke liye kiye jane lage:
– jin kaamo ko Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) ne kiya ya karne ki talim di, unke Karib na gaye aur
– jin kaamo aur baato se aapne mana kiya , unhe karne lage.

Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A) ke malfuzaat wa irshadat nakal karne ki wajah kisi ki dil azari nahi balki yeh batana hai ki Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A.) ka paigaam wa talimat kya they ? aur unke naam lewa hazraat aaj kya kar rahe hai ?


Malfuzaat Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.A)

Hazrat Abdul Qadir Jilani R.A Quotes

1). Allah Bujurg wa bartar ka khauf rakho, uske siwa kisi se na daro, na uske siwa kisi se ummid rakho, apni saari jarurate usi ko sounp do. Na uske siwa kisi par bharosa karo, jo mangna hai usi se mango. Uske siwa kisi ki madad par bharosa naa karo, Uski Touhid ko majbut pakdo.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 156


2). Jab tu Allah ke Siwa kisi aur ke Aage Jhuka tou tuney jarur Shirk kiya.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 491


3). Allah hi ko pukarne se sab Ranj, Gham aur Pareshaniya door hoti hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 150


4). Allah ke siwa (Fouk al Asbab taur par) koi Madadgar wa Mushkil Kusha nahi.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 491


5). Dil ke Irado, Niyato aur Chipe Bhedo ko sirf Allah hi janta hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 451


6). Jo Kuch Allah ne Taqdeer me likh diya hai, koi us se bach nahi sakta. tamam makhlukh milkar agar kisi ko nafa pahuchana chahe jo Allah ne uski kismat me nahi likha to wo sab milkar usey fayeda nahi pahuncha sakte aur agar saari makhlukh milkar kisi ko nuksan pahuchana chahe jo Allah ne uski taqdeer me nahi likha to yeh unki taqat nahi ki wo sab milkar koi nuksan pahuncha de.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 197


7). Rozi Allah hi Taqseem karta hai aur Andaze se deta hai. Wo (Roziya) kisi ke rokne se nahi rukti. Unki Buhtat ko koi rokne wala nahi aur kami ko koi bharne wala nahi.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 154


8). Allah ke siwa koi Gaib nahi janta. lekin baaz Gumrah logo ko yeh bhi Aqeeda hai ki Imam har cheez ka ilm rakhte hai. Jo ho chuki aur jo hogi.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 206

Jabki Aap (ﷺ) ne Qayamat kab wakay hogi?
Sawal ke jawab me farmaya tha “puchne wale ki tarah mujhe bhi iska ilm nahi” 

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 149

Isi tarah jab Suleman (Alaihi Salam) ne kaha “Hood Hood nazar nahi aata” fir kuch der baad hood hood ne hazir hokar kaha “mujhe ek aisi baat ka ilm hai jo ab tak aapko maloom nahi.” (Surah Naml, Aayat 20,22).

Is se Sabit hota hai ke Ilm-e-Gaib siway Allah ke koi nahi janta. Isiliye bhi ki irshade bari Taala hai “(Aye Paigamber ﷺ Aasmano aur Zameen me Allah ke siway koi Gaib nahi janta” (Surah Naml, Aayat 68)


9). Us Shakhs par Allah ki Lanat hai jo apni jaisi Makhlukh par bharosa rakhe.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 489


10). Haram hai aise Alqab aur Naam Rakhna jo Allah ke naamo ki barabari kare.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 361


11). Allah ke siwa kisi se Sawal na karo yaani uske alawa kisi ke Aage Hath na failaao.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 422


12). Allah apne Bando ke tamam kaamo ke liye kaafi hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 451


13). Allah ke siwa kisi ke Aage apni Haajat pesh na karo.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 463


14). Agar tum Iman wale ho tou Allah hi par bharosa rakho.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 465


15). Allah ke siwa kisi se na daro aur na hi uske siwa kisi se koi ummid rakho.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 467


16). Sirf Allah hi se lou (Ummid) lagao aur baaki se mooh pher lo.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 465


17). Karsaaz hone ke aitbaar se tumhare liye Allah hi kaafi hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 361, Jild 2, Safa 468


18). Gous yaani fariyadaras sirf Allah hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 451


19). siway Allah ke kisi ko apna Madadgar naa jano aur na kisi aur ke bas me apni Rozi wa Rizq samjho.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 150


20). Mere Sacche Chahne walo ko yeh Layaq nahi ki wo apne Dilo ko (Musibat wa pareshani me) Allah ke Bando ki taraf Zukaye aur unse Haajate Chahe. Isiliye ki Sab kuch Allah ke hath me hai, wahi dene wala hai, lihaja usi se Dua karo.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 463


21). Khabardar! Jisne Apne jaisi makhlukh se ummid rakhi, usne Allah ke Sath Shirk kiya. Makhlookh me se koi naa Nuksan pohcha sakta hai aur naa Nafa. Naa kisi ke ikhtiyar me dena hai aur na Rokna.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 2, Safa 491


22). Agar tum Allah ke Siwa kisi se kuch mangtey ho ya us se jara bhi dartey ho tou yah samjh lo ki tumhara Iman kamzor aur Deen Namukammal hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 03


23). Biddatiyo ki Kayi Nishaniya hai, Jinse wo pahchane jate hai, unme se ek nishani yeh hai ke wo ahle asar (Ahle Hadees) ko bura kehte hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 188


24). Biddatiyo se jyada Behas – Mubahesa na karo, naa unke Munh lago aur unse Ghulna Milna to door unke paas bhi naa jao aur naa hi unko salam karo.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 188


25). Har Ummati par Jaruri hai ki Kitab wa Sunnat (Quran aur Hadees) ko majbut pakad le aur un dono par hi amal kare, Usool me bhi aur furua me bhi. Yahi Quran aur Hadees do parr(wings) hai jinke jariye Allah ki raah me parwaz karke Izzat wa jalal wale Allah tak pohucha ja sakta hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 188


26). Ummat me sabse bade fitna failane wale wo log hai jo Allah ke deen me Raay wa Qayas par amal karte hai.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 197


27). Allah ke Rasool (ﷺ) ke tareeke ko Sunnat kehte hai aur Sahaba Kiram (R.A.) ke Muttafik hone ko Jama’at kahte hai, Nijaat pane wala giroh Ahle Sunnat Wal Jama’at hi hai yaani RasoolAllah (ﷺ) ke aur Sahaba (R.A.) ke tareeke par chalne wala.

📕 Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 197


28). Sirf Quran wa Hadees ko apna Imam (Peshwa) bana lo, in dono ko gour wa fikr se padha karo. In dono par hi amal karo. Ummatiyo ki raay wa qayas par (inhe chorrkar) mat chalo, isiliye ke siwaye Muhammad (ﷺ) ke humara koi Nabi nahi Jiski hum tabedari kare aur siway Quraan ke humare paas koi (ilhami) kitab nahi jis par hum amal kare.

Logo! Agar Quran wa Hadees ke siwa tum kisi aur taraf gaye to tabah ho jaoge aur Nafs aur Shaitan tumhe halaaq kar dega.

📕 Fatuh Al Gaib

Ye Aap Shaykh Abdul Qadeer Jeelani (Rehmatullah Alahi) ke wo Aqwaal aur nasihate thi jinpar amal karke koi bhi shakhs apni Zindagi Sawar sakta hai aur Aakhirat me kamiyabi ki bhi Ummid rakh sakta hai.

Ab hum apna apna jayza le ki Shaykh Abdul Qadir Jeelani (R.A.) se Kya humari sirf Naam ki Muhabbat hai ? hum jo unki shaan me gulu karte hai aur humara aisa karna sahi hai ?

Agar nahi to aayiye unki talimat par amal kare, unke batlaaye raste par chale taaki qayamat ke din hum nuksaan uthane walo me naa ho,. Aur naa hi jahannum humara thikana bane,.

Yaha yeh baat bhi humare dhyan me rahe ki Shaykh Abdul Qadir Jeelani (R.A) ke Irshadat bataur daleel aur mohabbat ke nahi hai, daleel wa hujjat Islam me Quraan aur Sahih hadees hi hai, Aap Shaykh Abdul Qadir Jeelani (R.A) ke irshadat chunki Quraan wa hadees par madni hai,

Kitab wa Sunnat ke muawafik wa mutabik hai isiliye Aap (R.A) ke ilm wa fazl aur bujurgo ko nazar me rakhkar Aam Musalmano ke liye nakal kiye hai. Khaskar un logo ke liye jo unse behad Akidat Wa Muhabbat rakhte hai taaki wo Allah ke is wali ka kehna maan kar “Sirate Mustakim” (Sidhi Raah) ko jaan samjh le aur sirf aur sirf Quran wa Aahadise Sahiha par amal paira ho jaye.

Allah Ta’ala se dua hai ke,
Woh hum sabhi ko apne Deen ki sidhi raah dikhaye aur us par chalne ki taufik ata farmaye,
Islam ki Muhabbat  humare dilo me bhar de aur humare Gunaaho ko muaf farmaye.

Ameen ya Rabbul Aalameen ,..


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

0 thoughts on “Shaykh Abdul Qadir Jilani (R.h) Ki Mukhtasar Sirat aur Irshadaat (Sayings and Quotes)

  1. waquar husain says:

    salam
    i am from bareilly india, i found your references quite strong to change my old belief but Kindly send the original pdf of jild 1 and jild 2 from where you took these references, bcoz i need original references.
    also i have lot of people connected with me who did not accept me unless these references are matched.
    taking an example – 22) Agar tum Allah ke Siwa kisi se kuch mangtey ho ya us se jara bhi dartey ho tou yah samjh lo ki tumhara Iman kamzor aur Deen Namukammal hai.

    (Ghunyat Ut Talibeen – Jild 1, Safa 03)

    this reference is not matching from the book i downloaded, bcoz there is index on page 3, no reference.
    you can also watsapp me on +91 8279785557 or email on waquar.hussain1@gmail.com
    thanks

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *