۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Fazilate Taqwa Aur Tawakkul
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
Jo Shakhs Allah Aur Roze Qayamat Par Imaan Rakhta ho aur Taqwa Ikhtiyar kar Ley tou Allah Uskey liye Nijaat ke Rastey Nikal deta hai. aur Waha se Rozi Ata Karta hai Jaha se Usney Gumaan bhi Naa kiya ho.
📕 Surah At-Talaq: 65:2-3
Iss Aayat Ke Talluk Se Abdullah Ibne Masud (R.) Farmatey Hai –
“Ghamo Ko, Musibato Ko Door Karne Wali Quraan Ki Sabse Azeem Aayat Hai”.
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) Farmatey hai –
“Jo Shakhs Astaghfar Karta Rehta hai Allah Uskey Liye har Tangi se Nijaat ke Rastey Nikal deta hai.”
– (Abu Dawood)
♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate Hai Ki –
“Umar bin Khattab (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “
Agar Tum Allah Par ess Tarah Bharosa karo Jis Tarah Bharosa Karne Ka Haq Hai Tou Woh (Allah) Tumhe ess Tarah Rizq dega, Jis Tarah Parindo ko Rizq deta hai ,
Subah ko Wo Bhukhe Nikalte Hain aur Sham ko Wo Pait Bhar kar Wapas aate hain.”
– (Jami’at Tirmidhi, Vol 2, Hadith no. 225)
# Ab Bohot se Log Ek Galatfehmi me Pad Jatey hai ke –
“Agar Allah Par Tawakkul Rakhe Tou Rizq Mil jayega Fir Mehnat Ki Jarurat hi Nahi,..”
Jabki Hadees me Saaf Bayan Farmaya Gaya Ke “Parinde Apne Gharo Se Khaali Pait nikaltey Hai”
Yaani Wo Apne Ghoslo Me Baithkar Tawakkul nahi Karte ,.. Balki Rizq Paane Ke Liye Koshish Karte hai.
Tou Beharhaal Hum Insano Ko Bhi Chahiye ke Allah Par Tawakkul Rakhtey Hue Koshish Karey .
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,….
# Hume Deen Ka Sahi Ilm Hasil Karne Aiur Uspey Amal Ki Taufeeq Dey ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!