Behtreen Din Jumma ka Din hai Hadees of the Day | Jumma Series Behtreen Din Jumma ka Din hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai." 📕 Sahih Muslim: 854 (1976)
Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa Sabse… Sabse Badtareen Jhoot hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Badtareen Jhoot Yeh hai ki Insaan Khwaab mein Aisi Cheez ko Dekhne ka Daawa kare Jo Uski Aankhon ne na Dekhi Ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 7043
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Jumma ke Din Ek Ghadi Aesi Aati hai Jis me Hadees of the Day | Jumuah Series Abu Huraira (R.A) riwayat karte hain ki.RasoolAllah (ﷺ) ne Jumme ke Zikr me Ek martaba farmaya - "Jum'ma ke Din Ek Ghadi aesi aati hai Jis me agar koi Musalman Banda Namaz padh raha ho aur koi Cheez Allah se mange tou Allah Rabbul Izzat Usey woh Cheez zarur deta hai. RasoolAllah (ﷺ) ne haath ke Ishare se bataya 'Woh Ghadi bahut thodi si hai.' 📕 Bukhari Sharif, Kitabul Jum'ma, Hadees 935
Afzal Zikr 'La ilaha illAllah' aur Afzal Dua 'Alhamdulillah' ✦ Hadith: Afzal Zikr aur Afzal Dua ✦ 📖 Hadith Roman Urdu Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Afzal Zikr La ilaha illAllah hai aur afzal Dua Alhamdulillah hai.”(Sunan Ibn Majah, Jild 1, 681 – Hasan) 📖 हदीस हिंदी जाबिर बिन अब्दुल्लाह (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “अफ़ज़ल ज़िक्र ‘ला इलाहा इल्लल्लाह’ है और अफ़ज़ल दुआ ‘अल्हम्दुलिल्लाह’ है।”(सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 681 – हसन) 📖 Hadith English Jabir bin…
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna Shirk ke baad Sabse Bada GunaahMaa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Jis se Log Bhalai ki Umeed Na rakh paye wo Sabse… ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Tum mein sabse badtareen shakhs wo hai, jisse log na bhalaai ki umeed rakhein, aur na hi uske shar se mehfooz ho." 📕 Tirmizi, Hadees : 2263 ♥ मफहूम-ऐ-हदीस (Hindi) अबू हुरैराह (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: "तुम में सबसे बद्तरीन शख्स वो है, जिससे लोग भलाई की उम्मीद न करें और उसके शर्र से महफूज़ न हों।" 📕…
Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai Lalach aur Buzdili Insan ki sabse buri aadatein hai Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Insan me paayi jaani waali sabse buri aadatein; intehayi darje ka lalach aur buzdili hai. 📕 Abu Dawood, Hadees 2511
Hadees: Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanhu Ta'ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar." 📕 Al SilSila As Sahiha, 2809, 📕Al Baihiqi,601-Sahih
Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ... Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054
Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Allah ke Nazdeek (insani) Aabadiyon ka sabse Napasand Hissa unke Bazaar hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 671 (1528)