Contents
✦ Sawaal: Apne Naam ke aagey ‘Haaji‘ ka Laqab lagana kaisa?
– Jawab: Hajj ek aisi ibadat hai jo har Sahibe Istehat Musalmano par farz hai, lekin Hajj ki Niyat sirf Allah ki ibadat ho aur dikhawe se paak ho. bilkhusus Hajj wo ibadat hai jo dikh kar aati hai.
Riyaakari ka Maana(Meaning) hota hai
‘Logon me Shohrat ke wastey apne amaal ka charcha karna, aisi ibadat jo khalis Allah ke liye karni hoti hai lekin hum usey logon ko dikhawe ke liye karte hai taaki log humari tareef karey. isey Riyaa kehte hai’. in Short ‘Logon se tareef ki Ummid me amal karna Riyaa hai.’
Riyaa ki Tabah Kariya
Rasool’Allah (ﷺ) farmate hai :
📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302
“Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai.”
Ek Hadees me Aap (ﷺ) farmate hai :
📕 Sahih Bukhari; Sahih At-Targeeb, Hadith No. 43
“Jis ne dikhawe ke liye Namaz padhi usne Shirk kiya, jis ne dikhawe ke liye Roza rakha usne Shirk kiya aur jisne dikhawe ke liye Sadqa kiya usne Shirk kiya.”
Shirk Karne ka Nuqsaan kya hai ?
Hum sab Jaante hai Shirk aisa Gunaah hai Jiski koi muafi nahi. Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai –
“Jisne Allah ke sath kisi ko Shareek tehraya, Allaah ne uss par Jannat haraam kar di, uska tikhana jahannum hai aur Zalimo ka koyi madadgar na hoga.”
📕 Al-Quran 5:72
Riya Shrik-e-Asgar hai:
Hadees ka Mafhoom hai ke –
Rasool’Allah (ﷺ) farmaya:
📕 Ahmed
“(Aye Emaanwalo) Tumhare Barey Me Jis Chiz Se Me Darta Hu Wah Shirk-e-Asgar Hai” Sahaba ne pucha “ya Rasool’Allah ! yeh Shirk-e-Asgar kya cheez hai?”
Aapne farmaya: Riyaa ! yaani dikhawe ke liye kaam karna.
Aaj Humne Riyaa ka markaz Hajj ko bhi bana liya hai –
Allah Reham Karey ! Aaj Humari Namaze, Humare Roze aur Zakaat se Jyada Humaare Hajj Riyaakari ke Markaz ban chukey hai.
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne riyaa se apne Rab ki itni panah mangi ke Aap Dua karte they aur ek Dua khaas jab Aap Hajj ko gaye tou Aapne ek Dua ki aur farmaya:
“Allahumma Hajjatan La Riya’a Fiha Wa La Sum’a.” Aye Allah Humse aisa Hajj le ke is Hajj ko humare liye Riyaa aur Dikhawe se paak kar.
Is Hadees-e-Mubarak par Hum Thodasa bhi Gour Karey tou Maloom Hoga jis Riyaa ke Talluq se Rasool’Allah Dua kar rahe hai aur jis Mouke par Riyaa ke talluq se Dua kar rahe hai ke Aye Allah ! is Hajj ko Humare liye Riyaa aur Dikhawe se paak kar.”
SubhanAllah! Allah Reham karey Aaj Humare Hajj ke kya haal hai Hum Apne Haaji bhaiyon ke Naam ke Aagey dekh sakte hai.
Ellah Masha’Allah! sabhi Haaji bhai apne naam ke aagey Haaji ka Laqab nahi lagate kyunki wo jante apne amal ka dikhawa karna riyaa hai aur Riya Shikr (Shrik-e-Asgar) hai.
Mehaz Dikhawe ke Liye Aur Apne Naam Ke Aagey Haaji Jaisa Laqab Lagane Ke Wastey Hajj Karna Logon Se Tareefe Sametne Ki Khatir Kisi Bhi Amaal Ko Anjaam Dena Goya Riyaa Hai.
Lihaja Apne Amaal Ka Charcha Karne Se Parhez Karey, Aur Apne Amaal Ko Khaalis Allah Ki Ibadat Ke Khatir Kare, Riyaa (Showing Off) Ke Fitno Se Paak Rakhne Ki Koshish Kare,.
Insha Allah ul Azeez!!!
– Allah Ta’ala Hume Kehene Sun’ne Se Jyada Amal Ki Toufiq De,
– Humari Tamam Ibadato Ko Riyaakari Ke Fitno Se Paak Rakhey,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhe , Islam aur Imaan par Zinda Rakhey,
– Khatma Humara Imaan par ho,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
( Ameen ! Allahumma Ameen !!!)
Related Posts: