Khajur se Iftar kare aur Khajur na miley tou Paani se kare
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai.”