Ramadan Day 13 | Rozadaar ke liye do khushiya hai Ramadan Quotes: 13th Ramzan ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:❝ Rozadaar ke liye do khushiya hai, Ek “Iftar” ke Waqt aur Doosri apne Rab se milne ke Waqt (Aakhirat me) hogi to apne Roze ka Sawab pa kar khush hoga. ❞ [Sahih al-Bukhari 1904]
Ramadan Day 19 | Rozedar ke samne jab khaana khaya Jaye ... Ramadan Quotes: 19 Ramzan ✦ Hadees: Umm ‘Umarah (R.A.) se riwayat hai ke: RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Rozedar ke samne jab khaana khaya Jaye aur wo sabr karen to Farishtein Uske liye Dua...
Bulandi par chadte waqt Allahu Akbar kaho aur utarte… ۞ Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki ❝ Jab hum (kisi Bulandi par) chadhte tou "Allahu Akbar" kahte aur jab (neeche ki taraf) utarte to "SubhanAllah" kahte.❞ 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 2993
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Ramadan Day 5 : Ramzan me Jannat ke Darwaze khol diye jatey 05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
Ramadan Day 26 | Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton… Ramadan Hadees: Day 26 Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liye Sadqa e Fitr ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, "RasoolAllah (ﷺ) ne Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liyeaur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Jo Mushkil Waqt me bhi Allah Ki Raah me Kharch Karte Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch Karte ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch karte aur Apne Gusse ko roktey hai, Allah Ta'ala Unsey Mohabbat rakhta hai." 📕 Surah: Al-Imran; 3:134
Ramadan Day 12 | Iftar ke Waqt Jahannum se Aazadi Ramadan Quotes: 12th Ramzan ✦ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:Allah Taala har Iftar ke Waqt Jahannum se kuch logon ko Azad ...
Al-Quran: Neki aur Buraai baraabar nahi hoti Quran: 29 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Aur Neki aur Buraai baraabar nahi hoti, is liye turn buraai ka jawaab aise tariqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tumh me aur jis me dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.❞ 📕 Surah Fussilat 41:34
Ramadan Day 4 : Ramzan me Quran Nazeel hua saari… 04th Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝ Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.❞ 📕 Surah Baqrah 2:185
Ramadan Day 6 : Rozedar ke liye Roza aur Quraan… 06th Ramzan ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞📚 Musnad Aḥmad 6589
Museebat ya Pareshani ke Waqt Padhne ki Dua ۞ Hadith: Hazrate Asma bin Umays (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne mujhse farmaya ki 'kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum Museebat (ya pareshani) ke Waqt padha karo' (Wo kalimat ye hain) ? ❝ Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa ❞ (ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta) [ Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih ] ♥ हिंदी हदिस : मुसीबत या परेशानी के वक्त पढ़ने की दुआ ♥…