♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir bin Abdullah (Razi Allahu Anhum) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:
“jab tum raat mein Kutto ka bhonkna aur Gadhon ki Aawaze suno,
tou Allah ki panah mango! kyun ke wo aisi chizen dekhte hain jinhen tum nahi dekhte,..” – Sunan Abi Dawud 5103-Sahih
– In-book refe: Book 43, Hadith 331
*Yaani wo Shaitan ko Dekhte Hai,.
“Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim ..”
(Allah ki Panah Mangta/Mangti hu Shaitan Mardud ke Sharr se)
Allah ka hukum sirf Mujhse Mango / Allah says that… !!! Bismillah hir-Rahman nir-Rahim !!! ♥ Hadith-Qudsi: Allah Subhanahu ne farmaya Mujhse Raah mango, Mujhse khana mango, Mujhse kapda Maango, Mujhse bakshish Maango Abu Dhar (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihey wasallam) se suna ki Allah taala ne farmaya: "Aye Mere Bando! mainey Zulm ko apney upar Haram kiya hai aur tum par bhi Haram kiya, Tou Mat Zulm karo aapas mein ek dusrey par, Aye mere bando! tum sab Gumraah ho magar jisey main raah batlauu…
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
99 Names of Allah with meaning in Roman Urdu / Hindi 1 الرَّحْمَنُ Ar-Rahmaan Allah ka ye naam Allah ke apni makhlooq ke liye kushaada rehmat wala hone par Dalaalat karta hai, jis ki Rehmat tamaam makhloqaat ko Shaamil hai, aur ye naam Allah Ta’ala ke liye khaas hai, Allah ke siwa kisi (bhi makhlooq ko Rehman kehna jaez nahi hai) 2 الرَّحِيمُ Ar-Raheem woh zaat ke jo apne mu’min bande bandiyon par Baroz-e-Qayaamat Rahem karne wala hain, aur inhein bakhsne wala hain, chunanche Allah ne inhein apni Ibaadat ki taufeeq bakhshi, aur Aakhirat mein…
Allah ke Qalaam ki Pairwi karo Allah ke Qalaam ki Pairwi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Nabi (ﷺ) ! Keh do ke Logon Mai Tum Sab ki taraf Allah ka bheja hua Hoon Yaani Uss ka Rasool Hoon. Wo Jo Aasmano aur Zameen ka Baadshah hai. Uss ke Siwa koi Mabood nahi Wohi Zindagani Bakhashta hai aur Wo Hi Mout deta hai. Tou Allah par aur Uss ke Rasool Paigambar Ummi par Jo Allah par aur Uss ke Tamaam Qalaam par Emaan Rakhte hai Emaan Laao…
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega:… 3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi | (1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki ...
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karim (ﷺ) Ne Faramaya, "Saari Halaal Cheezo Me Allah Ta'ala ke Nazdiq Sabse Napasandida Cheez Talaaq (Divorce) Hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 2096
Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi karni Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi Hadees: Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ki -RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Lashkar Rawana farmaya aur Ek Shakhs ko Uska Sardar bana diya aur Logo ko Uski Itaat karne ki Taqeed ki. Uss Shakhs ne Aag Jalayee aur Logo ko kaha ki Aag me Kud Jao. Kuch Logon ne Uski ye baat Man'ne se Inkar kar diya aur kaha ki - "Hum Tou Aag se Bhaagkar Islam me Aaye Hain" Aur Kuch…
Jo Shakhs Shab e Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh ... ۞ Hadees about Shab e Qadr ki Raat: Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Is (Shab-e-Qadr ki) Raat se Mehroom raha woh har tarah ki Khair aur Barkat se Mehroom raha." 📕 Ibne Majah : 1644-Sahih
Jab tum Murghe ki Aawaaz suno tou Allah Ta'ala se… ۞ Hadees: Abu hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tum Murghe ki (baang)Aawaaz suno tou Allah Ta'ala se uska fazl mango, kyun ke wo farishta dekh kar Aawaaz lagata hai aur Jab tum Gadhe(Donkey) ki Aawaaz Suno tou shaitan se Allah ki panah mango, kyun ke wo shaitan ko dekh kar Aawaaz nikalta hai." 📕 Sunan Abu Dawood 5102-Sahih 📕 In-book refe:Book 43, Hadith 330 ❝ Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim ❞ (Allah…
Juma ke Din ya Raat Surah Al-kahf padhne ki Fazilat Hadees of the Day | Jumma Series Juma ke Din Surah Al-kahf padhne ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Jumah ke Din Surah Kahf padhta hai uske liye ek Jumah se Dusre jumah tak noor roshan ho jata hai." 📕 Saheeh al-Jaami, 6470 Juma ki Raat Surah Al-kahf padhne ki Fazilat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jisne Juma ki raat Surah kahf padhi uske aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai." 📕 Saheeh al-Jaami,…
Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai Allah ki Rehmat Allah ke Gusse se badhkar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : “Jab Allah Ta'ala ne Makhlooq ko Paida kiya tou Arsh ke Upar Apne Paas apni Kitab me likh Diya ki Meri Rehmat mere Gusse par Galib hai.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 3194