Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Ramadan Day 12 | Iftar ke Waqt Jahannum se Aazadi Ramadan Quotes: 12th Ramzan ✦ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:Allah Taala har Iftar ke Waqt Jahannum se kuch logon ko Azad ...
Aye Imanwalo ! Sach ko Lazim Jaano... Aye Imanwalo ! Sach ko Lazim Jaano "Aye Imanwalo! Allah ka Darr (Taqwa) Ikhtiyar karo, aur Sacchi aur Sidhi baat karo, tou Allah Ta'ala Tumhare Aamal ki Islah kar dega aur Tumhare Gunaho ko Muaf kar dega, Yakinan Jisne Allah aur uske Rasool ki Ita'at ki Usne Bohot badi Kamiyabi hasil kar li." 📕 Surah Ahzab; 33:70-71 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 ♥ In'sha'Allah-Ul-Azeez !!! Allah Rabbul Izzat Hume Haq Kehne Sun’ne aur Samjh ke Sath Amal ki Taufeeq Dey ,. Humey Jhuth ke…
Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao ... Allah Rabbul Izzat Qur’an Kareem mein farmata hain: “Beshaq jo log apne deen ke tukde-tukde kar chuke hain aur firqo-firqo mein taqseem ho chuke hain, unka aapka (Aye Nabi ﷺ) koi ta’alluq nahi. Unka mu’amla sirf Allah ke hawale hai, phir jo kuch bhi woh duniya mein kiya karte the, Allah unhein bata dega.”– (Surah Al-Aan’am: Ayat 159) Tafseer aur Hadees ka Mafhoom RasoolAllah (ﷺ) ne is ayat ka tafseer khud bayan farmaya: Umar bin Khattab (R.A) se riwayat hai…
Al-Quran: Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se… Wahi baat kaha kare jo behtareen ho ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se keh dijiye ke wahi baat kaha kare jo behtareen ho." 📕 Surah Bani Israeel 17:53
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Aye Logo! Tum kaise Allah ka Inkar kar sakte ho… ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ ‟ Aye Logo! tum kaise Allah ka Inkar kar sakte ho sakte ho jabki Tum Murda they to usi ne tumko zindagi di, aur fir wohi tumhe ek din mout bhi dega, fir wohi tumko dubara qayamat me zinda karega aur usi ki taraf tum sab lautaye jaoge. - (Al Quran, Surah Baqrah 2:28) ‟ हे मानवों! तुम कैसे इनकारी हो सकते हो उस अल्लाह के ? जबकि तुम निर्जीव थे तो उसी अल्लाह ने तुमको एक…
Aye Kash! Maine Rasool Ka Rasta Apnaya Hota ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Uss Roz Zalim (Afsos Aur Nadamt Se) Apne Hath Kaat Kar Khayega Aur Kahega “Aye Kash! Mai Ne Rasool Ka Rasta Apnaya Hota! Haye Meri Bad-Bakhti Ke Kaash Mai Falaa (Gumrah Shaks) Ko Apna Dost Na Banaya Hota...” – [Surah:Furqan (25) Aayat No:27-28] *Mere Azeezo ! Iss Ayate Mubarak Me Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Rastey Se Muraad "Kitabo Sunnat" Ki Pakiza Rehnumayi Hai,.. - Na Ki Kisi Mafadparasto Ka Tareeka Jo Kitabo Sunnat…
Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane… Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilatPuraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki…
Qarzdar ko mohlat do ya Qarz muaf kar do Hadees of the Day Tangdast ko Muaf kar diya karo Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,Nabi-e-Kareem ((ﷺ) ne farmaya - "Ek shakhs (zamane-e-guzistah me) logo ko Udhaar(Qarz) diya karta tha, woh apne ghulaam ko kaha karta kisi tangdast madiun(Karz lene wale) ke paas jana, usko muaf kar dena, uss ummid par ki Allah hum ko muaf kar de, jab uska inteqal ho gaya tou Allah Ta'ala ne usko muaf kar diya." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3480 Qarzdar ko mohlat…
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183