Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-9
63. Haiwanat o jamadaat insan se humkalam hongey
۞ Hadees: Hazrat Abu saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qasam is zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai Qayamat qayem nahi hogi hatta ke darindey insano se guftugu karenge aur aadmi ka kora aur is ke jootey ka tasma bhi is se baatein karega neez aadmi ki raan isey is ke ahle khana ki naqal o harkat se agah karegi.
📕 Masnad Ahmad 105/3, Hakim 514/4, Ibne Hibban 418/14
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke ek bhediye ne ek bakri per hamla ki aur utha kar chalta bana. charwahay ne bhediye ka taqub kia aur is se bakri churaney mein kamiyab ho gaya. bhediya apne andaz mein baith kar kehne laga: Tujhe Allah ka khoaf nahi ke tu mujse aisa rizq cheen raha hai jisay Allah Ta’ala ne mera muqadar thehra rakha hai? charwahay ne tajjub bharey andaz se kaha, bhediya! aur mujh insano ki tarah baatein kar raha hai? bhediye ne kaha: kya main tumhe is se bhi ajeeb baat ki khabar na doon! Muhammad (ﷺ) tou Yasrab (madinay) me logon ko maazi ki baaton se aagah kar rahe hain. (yeh sun kar) charwaha fouran Bakriyan hankta Madina ja pohancha aur Nabi Kareem (ﷺ) ko apna waqia sunaya. Aap (ﷺ) ne irshad farmaya: “is ne sach kaha hai, qasam is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hai Qayamat qayem na hogi hatta ke darinday insano se batein karenge, aadmi ka kora aur jootey ka tasma is se humkalam hoga ilawa azeen is ki raan isey is ki adam mojodgi me is ke ghar hone waali baton se bakhabar karegi.”
📕 Sunan Tirmizi 2181, Ibne Hiban 6494, Ibne Abi Shaiba 101
Ek riwayat mein hai ke wo aadmi (charwaha) yahoodi tha aur is waqiye ke baad iman le aaya.
📕 Masnad Ahmad 404/2
mazkora waqia bilikhtasar bukhari o muslim mein bhi hai is mein yeh alfaz bhi hai ke is ajeeb o ghareeb waqia par Sahaba Karaam (R.A) hairan ho kar Subhan Allah pukarney lagey tou Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: “Main, Abu Baker (R.A) aur Umer (R.A) is par iman laatey hain.”
📕 Sahih Bukhari 3663; Kitab fazail ashaab al Nabi(ﷺ)
📕 Sahih Muslim 2388
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke ek martaba Nabi Kareem (ﷺ) Namaz fajar se farigh huwey tou Sahaba (R.A) ki taraf rukh e anwar kar ke irshad farmaya: “Ek aadmi (khaiti baari ke liye) gaay haank raha tha tou achanak is par sawar ho kar isey maarney laga. gaay ne kaha ke hume is (sawari) ke liye paida nahi kia gaya balkey hume tou khaiti baari ke liye paida kiya gaya hai. is par log tajjubana andaz me Subhan Allah pukarney lagey kya gaay guftugu karti hai! tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Main, Abu Baker (R.A) aur Umer (R.A) is par iman rakhte hain.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab Aahadees al Ambiya 3471
Note: Haiwanat o jamadaat ka insano se hamkalam hona Qayamat ki ek nishani hai. Haiwanat ka Hamkalam hona tou Ahad Nabwi (ﷺ) se sabit ho chuka hai albata jamadaat ka hamkalam hona bhi zahir ho kar rahega.
Jaisa ke ek doosre hadees mein hai ke patthar aur darakht bol bol ke kaheinge ke “Aye Musalman! mere peeche yahoodi chupa hai aa is ko qatl kar.”
Sahaba karaam (R.A) hairan huway ke haiwan bhi guftugu kar sakte hai tou Nabi Kareem (ﷺ) ne musbat jawab detay huwey farmaya ke “mera tou iman hai ke aisa mumkin hai.”
Jis Zaat Bari Ta’ala ne insan ko quwat goyai bakhshi hai wo jab chahey haiwanat o jamadat ko bhi quwat goyai bakhsh sakta hai.
64. Shajar o Hajar pookar utheinge
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke musalman yahoodion se jung karenge aur inhe qatal karenge hatta ke agar koi yahoodi darakhat ya pathar ki aad lega tou wo darakhat aur pathar pukar uthega, aye musalman! aye Allah ke bandey! yahan aa, yahoodi meri aad mein hai isey qatal kar daal, albata Gharqad (kantey daar darakhat) nami darakht (nahi bolega) kyon ke yeh yahodion ka darakhat hai.
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul jihad 2925
Note: Haiwanat ki tarah Shajar o Hajar ka bolna bhi Qayamat ki ek nishani hai.
- Yeh nishani is waqt zahir hogi jab Musalman Hazrat Isa A.S aur Imam Mehdi R.H ki nigrani mein Dajjal aur is ke (yahoodi) lashker se qital karenge aur yeh aakhri jung hogi.
- Shajar o hajar mein Quwat e Goyai ka zahoor qudrat ilahi se kuch baeed nahi.
- Jis darakhat ke peeche yahoodi chupega wohi darakhat bol kar is ki nishandahi karega albata gharqad ka darakht nahi bolega.
- yeh paishgoye sapeeda saher ki tarah ronuma ho kar rahegi aur bila taweel o tankeer is par iman rakhna chahiye.
- yahoodi is paishgoye se is qadar khayef hai ke israeli rayasat mein wasee paimanay per gharqad nami darakhat ki kasht kar rahe hain.
65. Momin ka har khwab saccha hoga
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Aakhri Zamaney mein momin ka khwab jhoota sabit nahi hoga aur sab se sacha khuwab esi ka hoga jo guftugu mein bhi sab se saccha hoga aur khwab 3 tarah ke hotey hain.”
(1) Neik khuwab jo Allah ki taraf se khushkhabri aur basharat hain.
(2) Nafsayati khuwab.
(3) Shaitan ki taraf se ghamzada karne waley khuwab.
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul tabeer 7017
Note: Har khuwab ka sapeeda saher ki tarah ronuma hona Qayamat ki ek nishani hai.
Is nishani ka zahoor tahaal waqia nahi hoga magar qabal az Qayamat is ka waqoo qat’ae o lazmi hai. Mazkora nishani ke waqt e zahoor ke mutaliq mukhtalif aqwal bayan kiye gaye hain. Maslan:
- Yeh nishani is waqt zahir hogi jab deen o shariyat ko bhula dia jayega, ilm ka khatma ho jayega aur har taraf fitna o fasad aur kasht o khoon barpa hoga.
- is ka zahoor is waqt hoga jab ahle iman nihayat qaleel tadad mein reh jayenge taa ke inhe sacchey khuwabon ke sath Allah ki rehnumai hasil ho aur wo deen par sabit qadam rahien.
- is nishani ka zahoor Hazrat Isa A.S ke dour ke sath mukhtas hai kyon ke is waqt kizab o fisq, bughaz o hasad aur Kufar o Shirk se paak musalman baaki reh jayenge tou in ki sacchai in ke khuwabon par barah raast asarandaz hogi.
66. Madina wiraan ho jayega
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qasam is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hai kuch log madiney se bayraghbati se nikal jayenge halankey agar inhe maloom hota tou Madina hee in ke liye behtar tha.”
📕 Masnad Ahmad 398/2
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: logon per aisa waqt aane wala hai jab aadmi apne chacha, chacha zaad aur qareebi rishtadaron se kahega ke Aao kisi khushhaal mulk ki taraf nikal chalein, aao kisi khushhal mulk ki taraf nikal chalein. halankey agar inhe maloom ho tou Madina hee in ke liye behtar hai.
Qasam is zaat ki jis ke hath mein meri jaan hai jo shakhs madiney se bayraghbati karte huway nikal jaye Allah Ta’ala is ki jagah is se behtar shakhs ko madiney mein la basata hain. khabardar! Madina bhatti ki tarah hai jo khabees shakhs ko nikal phenkta hai,
Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Madina apne burey logon ko is tarah nikal phenkega jis tarah aag lohey ki mail kuchail utar phenkti hai.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul hajj 1381
۞ Hadees: Hazrat jabar (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas ek dehati shakhs aaya aur islam per bait ki phir wo dusre din aaya tou isey bukhar tha kehne laga ke meri bait tod dijiye (main islam chorta hoon) Aap (ﷺ) ne inkar kar diya. wo 3 martaba loat loat kar aaya aur yehi taqaza karta raha. phir wo (madina se) nikal gaya tou Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Madinay ki misaal bhatti ki si hai jo mail kuchail door kar ke khalis johar ko nikhar deti hai.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul hajj 1381
۞ Hadees: Hazrat Anas bin malik (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Madina aur makkah ke siwa koi Shaher bhi Dajjal ke pamaal hone se mehfooz nahi rahega. in (dono) ke har raastey par saf basta farishtey khadey hongey jo in ki hifazat karenge. phir Madine ki Zameen 3 martaba kanpegi jis se Allah Ta’ala har kafir o munafiq ko (Makkah o Madina se) nikal bahir karega.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab fazail al Madina 1881
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Tum log Madina ko behter halat mein chor jaoge aur wo aisa ujaar ho jayega ke phir wahshi janwar, darindey aur parind wahan basney lageingey aur aakhir mein mazeena ke 2 charwahay Madina aayengey taa ke apni bakrian hank le jayen lekin wahan inhe sirf wehshi janwar nazar aayengey. aakhirkar jab wo Saneeta al Wida tak pohancheinge tou apne moonh ke bal gir pareingey.
📕 Sahih Bukhari; Kitab fazail al Madina 1874
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke
“Madina ke log Shaher Madina ko achi bhali halat mein darindon ke liye chor jayengey.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul hajj 1389
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Madina ke log Madina ko intehai acchi halat mein chor jayenge ke har taraf tayar maiwajaat hongey. pucha gaya ke koun in maiwajaat ko khayega? farmaya: parindey aur darindey.”
📕 Masnad Ahmad 514/2
۞ Hadees: Hazrat aof bin malik (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Madina walo! Allah ki qasam tum Madina ko 40 saal tak drindon ke liye chorey rakhoge.”
📕 Masnad Ahmad 3/2
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke
“Allah ke Rasool (ﷺ) ne muje Qayamat tak hone waali sab baaton se aagah farmaya tha aur maine har cheez ke mutaliq Aap se poochgech kar li thi magar mein Aap (ﷺ) se yeh sawal na puch saka ke Ahle Madina ko konse cheez madiney se nikalne par ubharenge.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2891
Note: Mazkora aahadees se sabit huwa ke madiney ka wiraan hona Qayamat ki ek nishani hai.
- Nabi Kareem (ﷺ) ne madiney mein rihayash ikhtayar karne aur isey aabad karne ko pasand kiya hai.
- Jo log madinay se nikal jayengey Allah Ta’ala in ki jagah in se behter logon se pur farma dega.
- Jab Yaman, Shaam, Iraq aur Room o Iran ki fatohaat hote gayen log bhi maal o doulat aur khushhali ki hirs o tama liye madiney ko khair abad keh ke mazkoora muqamat ki taraf nikalte gaye.
- Kisi Zaroorat ke paish nazar madinay se bahir rihayash ikhtayar ki ja sakti hai jaisa ke Jaleel ul Qadar Sahaba Karaam (R.A) (Maslan muaaz bin Jabal R.A, Abu Ubaida R.A, Abdullah bin Masood R.A, Hazrat Ali R.A, Zubair R.A, Amaar (R.A) waghaira) ne bagharz Zaroorat doosre ilakon mein maskanat ikhtayar kar li thi.
- Madina ke wiraan hone ke kai marahil hain.
- Fatohaat Shaam o Iraq ke baad logon ka maftooha ilaqon ki taraf hijrat kar jana aur yeh soorat e haal waqia ho chuki hai.
- Kafir o munafiq qisam ke logon ka khurooj aur yeh is waqt hoga jab dajjal nikal chuka hoga magar is se bhi Madina majmoe tor par wiran nahi hoga.
- Qayamat se mutasil pehle log majmooi tor pe madiney se nikal jayengey hatta ke wahan kisi bashar ka naam o nishan bhi baki na rahega aur mumkin hai ke yeh soorat e haal is waqt paish aaye jab Ahle Islam Hazrat Isa A.S ki nigrani mein Yajooj Majooj se bachney ke liye bahukam ilahi Koh-e-toor par basera karenge.
67. Arab ke dasht o sehra baghaat me badal jayenge
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Arab ki zameen baghon aur daryaon waali ho jayegi mazeed braan sawar iraq se makkah tak safar karega magar isey rasta gum ho jane ke ilawa aur koi khatra na hoga.”
📕 Sahih Muslim 157, Masnad Ahmad 488/2
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem na hogi hatta ke maal o doulat ki rail pail hogi. Aadmi Zakat ka maal lekar niklega magar koi isey qubool karne wala (mustahiq) nahi hoga aur yahan tak ke Arab ki sarzameen bagh o bahar aur naher o darya me badal jayengi.”
📕 Sahih Muslim 2339
۞ Hadees: Hazrat Muaaz (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) tabook ke safar par rawana huwey. Aap (ﷺ) ne farmaya ke
“Kal insha Allah tum tabook ke chashmay par pohancho gey magar din charhne se pehle na pohanchna aur jo wahan pohanch jaye wo merey pohanchney tak (is chashmey key) paani ko hath bhi na lagaye.”
Jab hum wahan pohanchay tou hum se pehle hi 2 aadmi wahan pohanch chukey they aur is chashmey se jootey barabar qaleel miqdar mein paani jari tha. Nabi Kareem (ﷺ) ne in se pucha: “Tum ne paani ko chuwa hai? Unho ne Kaha: Ji haan! tou Nabi Kareem (ﷺ) ne in ki dant dapat ki phir logon ne apne chuluon ke sath is paani ko ek bartan mein jama kia. Aap (ﷺ) ne is bartan mein apne hath aur chahra dho kar isey wapis chashmey mein daal dia tou is chashmay se (wafar miqdar mein) paani phootney laga hatta ke sab log is se sairaab huwey phir Aap ne irshad farmaya: “Aye Muaaz (R.A)! agar teri Zindgi ne wafa ki tou tu dekhega ke yeh jaga bagh o bahar mein badal jayegi.”
📕 Sahih Muslim 1391, Abu Dawood 1206
Note: Arab ki Sarzameen paharon, registano aur sahraon par mushtamil thi magar Aap (ﷺ) ne farmaya ke Qayamat se pehle yeh raigastan gulzaron aur chamno mein badal jayegi. Aur mazi qareeb mein yeh paishgoye bari sar’at se puri ho rahi hai.
Arab ke raighistano aur sahraon aur bagh o bahar aur naher o darya mein badal jana Qayamat ki ek nishani hai.
Filwaqe arz e arab mein bohat se chashmay daryaft ho rahe hain, Zara’at khajoor se taraki karte huway bohat se doosri paidawar tak ja pohanchi hai.
68. Qayamat ki 10 Badi Badi Nishaniyan
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Qayamat hargiz qayem nahi hogi jab tak ke tum 10 Nishanian na dekh lo phir Aap ne (inhe) shumar kiya: (1) Dhuwan, (2) Dajjal, (3) Daba (janwar), (4) Suraj ka maghrib se tuloo hona, (5) Hazrat Isa A.S ka nazool, (6) Yajooj Majooj ka Khurooj, (7) Mashriq, (8) Maghrib aur (9) Jazeera tul Arab me 3 muqamaat par (kuch logon ka) Zameen me dhansna. (10) Aur sab se aakhir me yaman se aag niklegi jo logon ko Maidan-e-Mehshar ki taraf haank le jayegi.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2901
69. Qayamat ki Alamaat e Kubra ka tasalsul
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin umro (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Alamaat (Qayamat goya) ek haar mein piroyi hui hai ke agar is haar ko kaat diya jaye tou wo (waqia hone mein) tana bandh lein.”
📕 Hakim; Kitab al Fitan wal Malahim 520/4
📕 Masnad Ahmad 288/2, majma al Zawaid 622/7, Ibne abi Shaiba 617/8
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega