Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-8
57. Mard kum aur Aurtein Jyada ho jayengi
۞ Hadees: Hazrat Anas (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat ki nishanion mein se hai ke ilm utha lia jayega, Jahalat barh jayegi, Zinakari aam hogi, Sharab bakasrat pe jayegi, Aadmi thodey aur Aurtien ziada ho jayengi hatta ke 50 aurton ke liye ek (Aadmi) he nigran hoga.”
📕 Sahih Bukhari 5231
۞ Hadees: Hazrat Abu mosa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Nabi (ﷺ) ne irshad farmaya ke
“Zaroor logon per ek aisa zamana Aayega ke ek shakhs sona le kar sadqa karne niklega lekin koi isey lene wala nahi milega aur yeh bhi hoga ke ek mard ki panah mein 40 chalees aurtein ho jayengi kyon ke mardon ki qillat aur Aurton ki kasrat ho jayegi.”
📕 Sahih Bukhari 1414
Note: Mardon ki intahai Qillat aur Aurton ki kasrar Qayamat ki ek nishani hai. Mazkora nishani tahaal zahir nahi hui.
Mazkora nishani ke zahoor ki 2 soortien numayan taur par samajh aati hain, ek otu yeh ke Qayamat se pehle khonraiz jungon ka silsala shuru hoga jis ke nateejey mein mardon ki ek badi tadad jungon mein shirkat ki wajah se maqtool ho jayegi aur bachney waley mardon ke muqabley mein Aurtein Ziada hongi. doosri soorat yeh bhi ho sakti hai ke Aurton ki sharah padaish banisbat mardon ke bohat barh jaye aur mazkora paishgoye se dochar hona paray.
Yahan 40 ya 50 aurton pe nigran se murad kisi Aadmi ki biwian nahi balkay doosre Rishtadar hain.
58. Misr, Shaam aur Iraq apne paimaney aur khazaane rok lengey
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Mulk iraq apna dirham aur qafeez rok lega, Mulk Shaam apna madi (madd) aur dinar rok lega, Mulk Misr apna ardab aur dinar rok lega aur tum isi halat pe lout jaoge jis se tumne aghaz kia tha, tum isi halat pe lout jaoge jis se tum shuru huwey they aur tum isi haal pe lout jaoge jis se shuru huwey they.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2896
Note: Misar, Shaam aur Iraq ka apne paimanay aur khazanay rok lena qayamat ki ek nishani hai. Dirham chandi ke aur Dinar sone ke sikke huwa karte they jinhe bataur naqdi istamal kia jata tha. Qafeez, Madi aur Ardab mazkora ilako ke maroof paimanay they jinhe wo bae aur shara mein istamal kia karte they.
Pehle yeh mumalik Room o Iran ke bajgzar thay phir islam ke ghalbey aur fatoohaat ke baad khilafat islamia ke daira mein dakhil ho gaye they.
Misar, Shaam aur Iraq apne paimanay aur khazaane rok lenge is ke mafhoom ki tayyeen mein ahle ilm ke kai aqwal hein. Maslan in Mulkon mein islam phail jayega aur jizya mokof ho jayega. in mumalik ke Sardar o Hakim khud sar aur baghi ho kar adayigi jizya se inkar kar denge. in mumalik mein irtadad phail jayega aur log Zakat dene se inkar kar denge.
In ilaqon me khoob Fitna fasad aur kasht o khoon hoga ke Musalmano ka markaz in se faida na utha sakeyga. kuffar in ilakon par ghalib aa jayenge aur Musalmano ki hukumtein toot jayengi.
59. Maut ki Tamanna ki jayegi
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke ek aadmi dusre ki qabr se guzrega tou kahega: kash! is ki jaga main (qabar me) hota.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7115
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qasam is zaat ki jis ke hath me Meri jaan hai! Duniya khatam nahi hogi hatta ke Aadmi qabar se guzrega aur is par lait kar kahega: kash! main is Qabar mein hota aur (is waqt) deen azmaish ka naam hoga.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 157
Ek riwayat mein yeh alfaz hain.
۞ Hadees: Aadmi kahega. “Kash! main is (Qabar ki) jaga hota is liye ke isey Allah Ta’ala se mulaqat ki (Shadeed) mohabbat hogi.”
📕 Masnad Ahmad 702/2
۞ Hadees: Hazrat Huzaifa (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Logon par aisa zamana aayega ke wo Dajjal (ke khurooj) ki tamana karenge. main ne kaha: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Mere Maa Baap Aap par Qurban Wo kyon? farmaya: is liye ke inhe is waqt Shadeed Musayeb-o-aalaam ka samna hoga. (is liye wo tamana karenge ke Dajjal nikley phir Isa A.S aa kar isey qatal karein aur Azmaishon se jaan khalasi ho).”
📕 Majma al zawaid 284-5/7
Note: Logon ka Maut ki tamana karna Qayamat ki ek nishani hai. Nabi Kareem (ﷺ) ne maut ki tamana se mana kiya hai.
۞ Hadees: Irshad-e-Nabwi (ﷺ) hai ke:
“Tum mein se koi shakhs maut ki tamanna na kare kyon ke agar wo neik hai tou shayed wo mazeed acchay amal anjam deyga aur agar wo bura hai tou shayed touba kar ley.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul marz 5673
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai: “Tum mein se koi shakhs maut aaney se pehle is ki tamana na kare aur na hi maut ki dua mangey.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul ziker wa dua 2682
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai:
“Tum mein se koi shakhs agar kisi takleef mein mubtala ho tou (phir bhi) maut ki tamanna hargiz na kare agar majbooran karna hi chahta hai tou iss tarah keh le: ilahi! jab tak zindgi mere liye behter hai muje zinda rakh aur jab maut mere liye behter ho tou muje utha ley.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul marz 2680
Khudkushi bhi Haram hai. Irshad-e-bari Ta’ala hai
“Apne aap ko qatal na karo.
📕 Surah nisa 29
Mojoda dour mein beshumar aisey log dikhaye detey hai jo qasdan ya bila qasad o irada maut ki tamana kerte hain, maut ke liye duayen mangtey hain. Ahadees ki roshni mein maut ki tamana ya Dua mana hai magar qabal az Qayamat log bari sanjheedgi se maut ki tamana karenge.
is ka ek mafhom tou wazeh hai ke jis tarah jhoot, qatal, fahashi aur doosri buraion se roka gaya magar Qayamat se pehle in ka waqoo aam ho jayega isi tarah maut ki tamana o khuwahish sey roka gaya hai magar Qurb-e-Qayamat ke waqt la mahala is ka waqoo aam hoga. doosra mafhom yeh hai ke Fitney is qadar taizi se hamlaawar hongy ke maut ke siwa bachao ki soorat nahi hogi.
Shahadat ki dua is se mustasna hai.
60. Baitullah par charhai kerne wala lashker zameen me dhans jayega
۞ Hadees: Hazrate Ayesha (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat ke qareeb ek lashker kabbah par charhai karega. jab wo muqam e baidaa me pohanchega tou inhe awal se aakhri tak sab ko zameen mein dhansa dia jayega.”
Hazrate Ayesha (R.A) farmati hai ke maine kaha ya RasoolAllah (ﷺ)! Wo shuru se aakhri tak saarey ke sarey kyon dhansa diye jayenge halankay wahan in ke bazar bhi hongey aur wo log bhi hongey jo in lashker walon mein se nahi hongey? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Haan shuru se aakhir tak saarey ke saarey zameen mein dhansa diye jayenge phir apni apni niyat ke mutabiq har koi uthaya jayega.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul buyoo 2118
۞ Hadees: Ubaidullah bin Qabtiya se marvi hai ke haris bin Rabiya aur Abdullah bin Safwan Hazrat Umme Salma (R.A) ke paas gaye aur main bhi in ke hamrah tha. Unho ne Umme Salma (R.A) se is lashker ke mutaliq daryaft kiya jo zameen mein dhansa dia jayega aur yeh in dino ki baat hai jab Abdullah bin Zubair (R.A) makkah ke hakim they.
Umme Salma (R.A) ne farmaya ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya hai:
“Ek Aadmi baitullah mein panah lega (yaani imam mehdi r.h) tou in ki taraf ek lashker bejha jayega jab wo lashker baida nami jaga par pohanchega tou zameen mein dhansa diya jayega. maine kaha: ya Rasool Allah (ﷺ)! jo zabardasti se is lashker ke sath (majboor ho kar) shamil huwa ho? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Wo bhi lashker ke sath zameen mein dhansa dia jayega magar Roz-e-Qayamat apni niyat ke mutabiq uthaya jayega.”
۞ Hadees: Abu jafar (ravi e hadees) farmatey hai ke: Baida madinay ka ek Maidan hai.
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2882
۞ Hadees: Ek riwayat mein hai ke is lashker mein sirf ek Aadmi ki jaan bakhshi hogi jo logon ko in (ki halakat) ke baarey mein agah karega.
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2883
۞ Hadees: Hazrat Hafsa (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Kuch log jo qaleel tadad aur qaleel hathyar honge wo is Baitullah mein panah leinge. in ki taraf ek lashker bhejha jayega jo ek maidan (baida) mein dhansa dia jayega.”
Yousaf (Rawi-e-Hadees) ne kaha: Aaj kal shaam waley makkah walon se larnay ke liye aa rahay hain. (yaani hajjaj bin yusuf ka lashker jo Abdullah bin Zubair (R.A) se larnay ke liye aata tha).
Abdullah bin Safwaan (tabee) ne kaha: Allah ki Qasam! yeh wo lashker nahi.
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2883
۞ Hadees: Hazrate Ayesha (R.A) farmati hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) khwab se beidar huwey tou farmaya:
“tajjub hai ke meri ummat ke kuch log ek qureshi aadmi ke liye baitullah (par charhai) ka qasad karenge kyon ke is ne baitullah me panah li hogi aur jab wo baida me pohanchienge tou sab dhans jayenge. hum ne kaha ya Rasool Allah (ﷺ)! rastey me (muqabla dekhne ke liye) tou har tarah ke log jama hotey hain?
Aap (ﷺ) ne farmaya: haan! in mein is iradey se aaney waaley, majbooran aaney waley aur safar karney waaley (har tarah ke) log hongey jinhe halak kar dia jayega phir (roz e qayamat) wo apni apni niyaton par uthaye jayenge.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2884
Note: Qayamat ke qareeb ek lashker kaba par charhai ke liye paishqadmi karega magar wo saara ka sara zameen mein dhans jayega. is lashker ki baitullah ki taraf paishqadmi ka sabab ek aadmi hoga jo na maloom wajuhaat ki bina par Baitullah mein panah lega. doosri Ahadees se maloom hota hai ke wo Imam Mehdi R.H hongey.
Jab matlooba Shakhs baitullah mein panah lega tou is ke sath kuch aur log bhi hongey jo thodey bohat hathyaron se laish hongey.
Kuch log majboran is lashker ke hamrah chalienge, kuch waisey hi tamasha dekhne ke liye aa jayenge aur kuch inke rastey mein moujood bazaron me khareed o farokht ke liye aaye hongey jabkey baaki lashker bagharz jung aaya hoga magar in sab ko ek janbish me zinda dargor kar dia jayega phir Roz e Qayamat har ek ko apni niyat par uthaya jayega.
Allah Ta’ala hume is lashker ka hissa banney se mehfooz farmaye.
61. Ek Qahtaani hukmaran hoga
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi hatta ke qahtaan se ek aadmi niklega jo logon ko apne Asaa se hankega.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7117
۞ Hadees: Muhammad bin jubair farmatey hai ke main quraish ke ek wafad ke sath muawiya (R.A) ke paas tha ke inhe maloom huwa ke Abdullah bin Umro (R.A) bayan karte hai ke Anqareeb Qabeela Qahtaan ka ek badshah hoga.
Hazrat Muawiya (R.A) Ghazabnak ho kar kharey huwey aur Allah Ta’ala ki Shayan e Shaan humd o sana karne ke baad farmaya: “Amma ba’ad! Mujhe maloom huwa hai ke tum mein se kuch log aise Aahadees bayan karte hai ke jo kitab Allah me hai na Aahadees Rasool (ﷺ) mein. Aisay log jahil hai lihaza tum aise ikhtalafaat se guraiz karo jo tumhe Gumrah karne ka sabab hon.
Maine tou Rasool Allah (ﷺ) ka yeh irshad garami suna hai ke yeh amar (khilafat) Quraish me rahega jo koi in (Qureshion) se dushmani karega Allah Ta’ala isey zaleel o ruswa kar dega magar jab tak wo (qureshi) deen ko qayem rakheinge.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab ul Fitan 7139
Note: Qahtani aadmi ka khurooj jo logon par badshahat karega Qayamat ki ek nishani hai.
Wo qahtani apne dandey se logon ko hankega is ke 2 mafhoom ho saktey hain. ek tou yeh ke wo hakim nafarmano aur baghion ko apni lathi se seedha kar dega aur in par sakhti kar ke aman o amaan qayem karega aur doosre yeh ke sab log is ke hukam par labaik kahienge aur is ki itaat guzari o farmanbardari karenge.
Yeh ek neik badshah hoga jaisa ke Ibne Abbas (R.A) se marvi hai:
✦ Ek Qahtani aadmi hoga aur tamaam qahtani saleh log hain.
📕 Fatah al bari 535/2
is nishani ka waqoo abhi tak nahi huwa. Amir muawiya (R.A) ne khurooj Qahtani par inkar kyon kia? is ke kai jawab diye gaye hain. Maslan:
- Amir Muawiya (R.A) ne hadees ka inkar nahi kiya balkey is ke mafhom ko wazeh kerne ki koshish ki hai kyon ke baaz log samajhte they ke wo islam ke ibtadai dour mein zahir hoga jabkey is ka Zahoor Qayamat ke qareeb hoga.
- Hazrat Amir Muawiya (R.A) ne khud yeh Irshad e Nabvi (ﷺ) paish kiya. jab tak Qureshi deen ko Qayem rakhienge Allah Ta’ala inhe khilafat par qayem rakhenga. lihaza Qureshion ki khilafat mein deen qayem tha magar jab yeh deen qureshion se nikal gaya aur khilafat para para hogi tou qahtani ka zahoor qareeb al mumkin hai.
- Hazrat Amir Muawiya (R.A) ne is liye inkar kiya ke mubada ke koi yeh na samajh bethey ke khilafat ghair Qureshion ke liye bhi jaiz hai.
- Yeh Mafhoom bhi ho sakta hai ke qahtani ameer khilafat aalmiya qayem nahi karega balkey kisi makhsoos ilakay mein islami imarat ka nifaz karega.
- Qahtani aur jhajah nami badshah alag alag shakhsiyat hongi.
62. Ek Jhajah naami Badshah hoga
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: “Din Raat khatam nahi hongi yahan tak ke (Ghulamo mein se) Ek aadmi jieay jhjaah kaha jayega wo badshah ban jayega.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Fitan 2911
Note: jhajah nami badshah ka zahoor Qayamat ki ek nishani hai.
Yeh aadmi qahtani nahi hoga balkey koi aur hoga is liye ke yeh Ghulamo mein se hoga aur qahtani shakhs azad hoga chunkey qahtani yaman ke hameer, hamdan aur kundah waghaira qabail ki taraf mansoob hai jin ka azad hona muslim hai.
📕 Fatah al Bari 545/6
Is nishani ka zahoor tahaal waqoo mein nahi aaya. jhjaah nami badshah ahle hal o aqad aur shoora ka muntakhib nahi hoga balkay azkhud musalat ho kar hukmaran ban bethega.
is hadees ka yeh mafhoom nahi ke wo saarey musalmano ya saari zameen ka badshah ban jayega balkey kisi makhsoos ilaqay mein makhsoos afrad aghlab gumaan hai ke ahle arab ka badshah ban jayega.
Maqsood yeh hai ke quresh ka roab o dabdaba aur ihtaraam o martaba jata rahega aur doosre log hatta ke ghulam qisam ke log hukumtein sambhalna shuru kar denge.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega