Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-4

Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-4

33. Dil ka Doura (Heart Attack) bakasrat hoga

Hazrat Anas bin Malik (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: 
“Qayamat ki nishanion me se hai ke achanak pan ki moat bakasrat hogi.”

📕 Majma al zawaid 325/7
📕 Sahih al jame 214/5

Note:

Kisi tandrust shakhs ka bila marz achanak faut ho jana Heart Attack ki moat se mosoom kia jata hai. bakasrat heart attack se maut waqia hona Qayamat ki ek nishani hai.

mazkoora nishani moujuda dour me purey urooj per hai her roz bila mubalgha bohat se log heart attack ka shikar ho ker marr rahe hain.


34. Salam sirf maroof logon ko kia jayega

Hazrat Abdullah bin Masood se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat ke qareeb Salam sirf khaas logon ko kia jayega.”

📕 Masnad Ahmad 509/1
📕 Hakim 493/4
📕 Musanif abdul razaq 5137

Amir bin Aswad (R.A) farmatey hai ke hum Abdullah bin Masood (R.A) ke sath ek masjid me gaye tou jamat khadi thi. phir logon ne ruku kiya aur hum bhi ruku karte huwey Shamil ho gaye. Dareen Asna ek Aadmi aaya aur kehne laga Abu Abdul Rehman (Ibne Masood (R.A) ki kuniyat) Aap ko Salam. 

Abdullah bin Masood (R.A) ne halat e ruku me hi farmaya:
“Allah aur is ke Rasool (ﷺ) ne sach kaha tha.” Namaz ke ikhtatam per kuch logon ne Aap se pucha ke Aap ne fala Shakhs ke Salam per yeh kyon kaha: ‘Allah aur is ke Rasool ne sach kaha tha?’ 

ibne Masood (R.A) ne farmaya ke Maine Nabi Kareem (ﷺ) se suna hai ke Qayamat ki Nishanion me se hai ke salam sirf marfat ki bina per kaha jaye ga.

📕 Masnad Ahmad 483/1
📕 Hakim 569/4
📕Majma al zawaid 67/8

Ibne Masood (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya: 
“Qayamat ki ek Nishani yeh hai ke Aadmi sirf isi Aadmi se Salam karega jis se wo jaan pehchan rakhta hoga.”

📕 Masnad Ahmad 507/1

Note:

As salam o Alaikum ka mehdood hona aur sirf marfat rakhne walon ko bahmi salam kerna Qayamat ki ek nishani hai. Yeh Sahaba ke dour se zahir ho chuki aur batadreej barhti ja rahi hai.

Nabi Kareem (ﷺ) ka hukm aam hai ke: “logo salam ko aam karo.”

📕 Sunan Tirmizi Kitab Sifat al Qayamat 2485

Mazkoora nishani ka zahoor burey logon per hoga lihaza hume Salam aam kerte huwey in burey logon ki fahrist me shamil hone se bachna chahiye. 


35. Quran ko bheek mangney ka zariya bana liya jayega

Hazrat Jabar (R.A) farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) masjid me dakhil huwey tou kuch log Tilawat e Quran me masroof they, Aap (ﷺ) ne farmaya: “Logo! Quran parho aur Allah Ta’ala (sey is ke ajar) ko talash karo Qabal iske ke aise log aa jayen jo Quran ko is tarah seedha kerne ki koshish karenge jis tarah handiya (banatey waqt) seedhe ki jati hai aur wo Quran ke sath (husool ajar me) jaldi karenge (Aakhrat ke liye) intezar nahi karenge.”

📕 Masnad Ahmad 454/3
📕 Sunan Abu Dawood kitab ul salat 830
📕 Sahih al jame 258/1

Hazrat  imran bin hiseen (R.A) ek aadmi ke paas se guzray jo Quran majeed ki tilawat ker raha tha phir (tilawat ke baad) is ne mangna shuru kar diya tou Hazrat imran (R.A) ne ‘innah lillahi wa innah ilaihi rajioon’ pedhne ke baad farmaya: Maine Nabi Kareem (ﷺ) se suna ke Aap (ﷺ) ne farmaya: Jis Shakhs ne Quran padha wo Allah Ta’ala se mutalba aur sawal kare aur anqareeb aise log ayenge jo Quran padh ke logon se sawal karenge.”

📕 Masnad Ahmad 578/4
📕 Sunan tirmizi kitab fazail al quran 2917

Note:

Quran ko bheek mangney ka zariya bana lena Qayamat ki ek nishani hai.
Sahaba karaam (R.A) ke dour me he aise misalein manzar e aam per aa rahi thin ke log Quran padh ke logon se bheek mangtey they.

Agar aap ko railway station, bus stand ya kisi aur awami jaga se guzarney ka ittfaq huwa ho tou aap ne yeh Sharamnak manzar bhi dekha hoga ke kai log Quran ki makhsoos Surton ki ba’awaz buland tilawat kar ke bheek mang rahey hain.

Agar koi shakhs Qurani taleem o tarbiyat, khutba jumma aur imamat waghaira ke faraiz ke liye apne aap ko wakf kar dey tou isey ujrat o muawza dena, is ki zarooriyat ko pura kerna jahan awam ka Akhlaqi farz hai wahan is Aalim-e-deen ka istahqaaq bhi is ki kai ek misalein hadees me moujud hain.


36. Dua aur taharat me Ziadti ki jayegi

Hazrat Abdullah bin maghfal (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: 
“Anqareeb mere baad Meri Ummat me se kuch aise log zahir hongey jo Dua aur Taharat me ziadti karenge.”

📕 Masnad Ahmad 3/4
📕 Sunan Abu Dawood kitab ul tahara 96
📕 Sunan ibne maja 3864

Hazrat Saad (R.A) ne suna ke inka beta is tarah Dua ker raha tha: “ilahi main tujh se jannat ka sawal karta hu, is ki naimton ka sawal karta hu, is ki rounqo aur tarotazagi ka sawal karta hu wagaira wagaira…. aur main aag se teri panah mangta hu, is ki zanjeeron aur toqon se panah mangta hu…..” tou Hazrat Saad (R.A) ne farmaya: Tum ne Allah Ta’ala se khair kasrat ka sawal kia hai aur kaseer zarar se panah mangi hai jab ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) se suna ke Anqareeb aise log hongey jo Dua main ziadti karenge. phir yeh aayat tilawat ki:
“Apne Rab se aajzi se aur chupkey chupkey duaye manga karo aur wo yaqeenan ziadti karne walon ko pasand nahi karta.”

📕 Surah al Araaf 55

Tumhe yehi kafi tha ke tum yun kehte: ‘ilahi main tujh se jannat aur har is qoal o amal ka sawal karta hu jo Jannat ke qareeb kar day aur main tujh se jahanum aur har is qoal o amal se panah mangta hu jo jahanum ke qareeb kare.’

📕 Masnad Ahmad 213/1
📕 Sunan Abu Dawood kitab ul salat 1480

Note: 

Dua aur Wuzoo me ziadti Qayamat ki ek nishani hai.

Hazrat  Saad (R.A) ne jab dekha ke in ka beta dua mein ziadti ka murtakib ho raha hai tou isey napasand kia aur yeh hukm e ilahi parh kar sunaya. ‘yaqeenan Allah ziadti kerne walon ko pasand nahi kerte.’

isi tarah Wuzoo ke aza ko kam az kam ek martba aur ziada se ziada 3 martaba dhona Sunnat hai magar 3 martaba se tajawuz karna taharat me ziadti ke zumray me shamil hai jaisa ke Ek arabi ne Allah ke Rasool (ﷺ) ki khidmat me hazir ho ke wuzu ka tareeka daryaft kiya tou Aap (ﷺ) ne isey 3, 3 martaba aza dho ker wuzu ka tareeka sikhlaya aur farmaya:

“Yeh kamil wuzu hai aur jis shakhs ne is (3) se ziada martaba kia is ne bura kia aur (khud apni jaan per) zulm kia.”

📕 Sunan Abu Dawood kitab ul tahara 135

Dua aur taharat me mubalgha o ziadti se ijtanab karte huwe sirf amal masnoon per iktafa karna chahiye.


37. Na ahal Ohdey sambhal lengey

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Nabi Kareem (ﷺ) apni majlis me logon ke sath mahuv e guftugu they ke ek dehati shakhs aaya aur arz kia: ‘Ya Rasool Allah ﷺ! Qayamat kab aayegi?’
Aap (ﷺ) ne farmaya: “Jab amanat zaya ki janey lagey tou Qayamat ka intzar karo.’
is ne kaha: Ya Rasool Allah ﷺ! Amanat kaisey zaya ki jayegi?
Aap (ﷺ) ne farmaya: “jab Muamlaat na ahal logon ke supurd kiye jayengey tou Qayamat ke muntzir raho.”

📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaq 6496

Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: 
“Qayamat qayem na hoge hatta ke logon me sab se khush bakht isey samjha jayega jo sab se badbakht aur badbakht ka beta hoga.”

📕 Masnad Ahmad 482/5
📕 Sunan tirmizi 2209

Hazrat Anas bin malik (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: 
“Khurooj e Dajjal se kuch saal pehle dhokebaaz aam honge, sachey ki takzeeb aur jhootey ki tasdeeq ki jayegi, imanat daar khayen ban jayega aur khayanatdaar ke paas Amanat rakhi jayegi aur in (hukumati muamlaat) me “ruwaibza” dakhal andazi karega. pucha gaya ke “ruwaibza” koun hai? farmaya: Aisa fasiq jo umoor e aama me batien karega. (yani na ahal ko ahal bana dia jayega).

📕 Masnad Ahmad 383/2
📕 Sunan ibne maja 4085

Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke “Qayamat ki nishanion me se hai ke zaleel, kameene log, Nek Shareef logon per Ghalib (hakim) ho jayengey. kyun ibne Masood (R.A) kya tumne bhi yeh baat mere Mehboob (Nabi Kareem ﷺ) se suni hai? Ibne Masood (R.A) ne farmaya haan! Qabah ke Rab ki qasam.”

📕 Majma al zawaid 327/7
📕 Fatah al bari 15/13

Ek riwayat me hai ke,
“Zaleel, Kameene aur khabees log duniya per ghalib (musallat) ho jayengey.”

📕 Masnad Ahmad 535/5
📕 Majma al zawaid 630/7
📕 Musanif abdul razaq 316/11

Hazrat Huzaifa (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne muje 2 hadeesein sunai hai (in mein se ek yeh hai ke) phir aisa waqt aayega ke koi amanatdaar nahi rahega. kaha jayega ke fulaan logon me ek amanatdaar shakhs hai. is ke mutaliq yeh bhi kaha jayega ke wo kitna aqalmand, buland housla aur bahadoor hai, hala ke is ke dil mein raai barabar bhi iman nahi hoga.

📕 Sahih Bukhari kitab ul riqaaq 6497

Hazrat Umar bin khatab (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne alamaat e Qayamat ke baare mein ek Sayel ka jawab dete hue farmaya: “jab badan aur paon se nange, goonge, behre (ujad kisam ke) log zameen ke baadshah ban jayenge. (tou phir Qayamat qareeb hai).”

📕 Sahih Bukhari kitab ul iman 50

Ibne Umer (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya: 

“jab meri ummat ke log takkabur karenge aur faris o room ke shehzade in ke khadim honge tu Allah Ta’ala in mein badtareen logon ko in ke bahtareen logon per musallat farma dega.”

📕 Sunan tirmizi Kitab ul Fitan 2261

Hazrat Huzaifa (R.A) se marvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya :
“Qayamat is waqt tak qayem nahi hogi jab tak ke tum apne imam (khalifa) ko qatal na karoge aur apni talwaron ke sath aapas mein hee ladai karoge, iske ilawa azeen tum mein badtareen log tumhare duniya ke waris ho jayenge.

📕 Sunan tirmizi Kitab ul Fitan 2172

Hazrat Abu Huraira (R.A) farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: 
“Agar tumhari umar lambi hui tou tum aise logon ko dekhoge jo Allah ke ghaiz o ghazab aur lanat mein shab o roz basar karenge aur in ke hathon mein bailon ki dumo ki tarah (dande) honge.

📕 Sahih Muslim kitab ul jannah 2857

Note:

Na ahlon ka zimadarion per fayez hona ya fayez kiya jana Qayamat ki ek nishani hai. Moujuda dour me is alamat e Qayamat ka zahoor sapeeda sahar ki tarah ronuma ho raha hai.

jab yeh nishani ronuma hogne tou shareef logon ke liye zameen ki satah ki bajaye zameen ka pait (yaani mar jana) behtar hoga.

mazkoora nishani is waqt zahir hongi jab logon mein takabur o ghuroor, maal o doulat ki farawani, khadmo ki kasrat aur deen se berukhi paida ho jayegi.

Qayamat ke qareeb badtareen aur khabees log awam ke dildadah ban ker siyasat o qayadat sambhal lenge.

Agar aaj Musalmano ke hukmarano aur leadron ko islam ke mezan per parkha aur tola jaye tou masiwaye chand afrad ke baaki tamam badtareen hongey.

Aaj har taraf chotey aur bade har kisam ke adaron mein burey logon ka tasalut nazar aata hai.

To be Continued …

InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *