Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-10
70. Imam Mahdi (A.S.) ka Zahoor
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood se marvi hai ke,
Nabi Kareem (ﷺ) ne irshaad farmaya: “Qayamat qayem nahi hogi hatta ke mere ahle bait se ek aadmi Arab ka hakim ban jayega jis ka naam mere naam jaisa hoga.”
📕 Sunan Tirmizi; Kitab ul Fitan; Baab Ma ja’a fil Mahdi 2230
📕 Ahmad 471/1, Abu Dawood 4282, Hakim 488/4
📕 Ibne Hibbaan 236/15, Tibrani Kabeer 133/10
📕 Sahih Jami al Sagheer 5180
۞ Hadees: Hazrat Abdullah bin Masood e Mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshaad farmaya:
“Dunia mein ek aisa din baaki hai (jisey Allah Ta’ala taveel kar dega aur) is mein mere Ahle Bait me se ek aadmi ko (Imam bana kar) zahir karenga jis ka naam mere naam jaisa aur jis ke baap ka naam mere baap ke naam jaisa hoga.”
📕 Abu Dawood; Kitab ul Mehdi 4283
📕 Masnad Ahmad 120/1
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke
Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshaad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Roo-e-Zameen Zulm o Zayadti se bhar jayegi”, kaha phir. Aap (ﷺ) ne farmaya: “phir meri nasal ya Ahle Bait mein se (Ek aadmi) niklega jo Zameen ko iss tarah adal o insaf se bhar dega jis tarah yeh Zulm-o-Jor se bhari pari thi.”
📕 Sunan Tirmizi; Kitab ul Fitan; Baab Ma Jaa fil Mehdi 2232
📕 Abu Dawood; 2485, Ibne Majah; 4134, Hakim; 600/4
۞ Hadees: Hazrat Abu saeed (R.A) farmatey hai ke,
Hume Nabi Kareem (ﷺ) ki wafaat ke baad hadsaat (ke zahoor) ka khadsha lahaq huwa tou hum ne Allah ke Rasool (ﷺ) se pucha tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Mahdi meri Ummat mein Zahir honge jo panch saal ya saat saal ya 9 saal tak (Zinda) raheinge.”
📕 Masnad Ahmad 27/3
۞ Hadees: Hazrat Ali (R.A) se Marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshaad farmaya:
“Mahdi mere Ahle Bait se hoga jis ki ek hi raat mein Allah Ta’ala islah farma dega.”
📕 Masnad Ahmad 102/1, Ibne Abi Shaiba 678/8
📕 Ibne Majah; Kitab ul Fitan; Baab Khurooj al Mahdi 4136
۞ Hadees: Hazrat Umme Salma (R.A) farmati hai ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) ka yeh irshaad garami suna hai ke “Mahdi meri nasal mein (Hazrat) Fatima (R.A) ki aulad mein se hoga.”
📕 Abu Dawood; Kitab al Mehdi 4278
📕 Ibne Maja 4086
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Meri Ummat mein Mahdi ka zahoor hoga. Allah isey barish se sairaab farmayega, Zameen apni nabataat ugayege, wo maal ki sahih sahih taqseem karega, muwashi (janwar) bakasrat hongey, ummat azeem ho jayegi aur wo (musalsal) saat ya 8 saal (tak zinda) rahega.”
📕 Mustadrik Hakim; Kitab al Fitan wal Malahim 557-8/4
📕 Silsala al Saheeha 336/2
۞ Hadees: Hazrat jabar bin Abdullah se marvi hai ke maine Rasool Allah (ﷺ) se suna,
Aap (ﷺ) farmatey they ke “Meri ummat ka ek giroh Qayamat tak haq par ghalib (qayem) rehtey huway qital karta rahega. neez farmaya: phir Isa Alaihi Salam nazil hongey tou musalmano ka ameer (mahdi) kahega aaeiye Namaz parhayen. Magar Isa Alaihi Salam farmayenge, Nahi bila shubba Ameer tum se hi hoga. Yeh Allah Ta’ala ne is Ummat ko sharf bakhsha hai.”
📕 Sahih Muslim; Kitab ul Iman; Baab Nuzool Isa Ibne Mariyam Hakima 390
۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A) se marvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Tumhara kya haal hoga jab (Namaz e fajar ke waqt) Isa A.S tum mein nazil hongey aur tumhara imam tumhe mein se hoga.”
📕 Sahih Bukhari; Kitab al Ahadees Al Ambiya; Baab Nuzool Isa Ibne Mariyam Alaihe Alsalaam 3449
۞ Hadees: Hazrat Abu Saeed (R.A) se marvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Hazrat Isa Alaihi Salam jis imam ki iqtada mein Namaz perhengy wo (imam) hum (Ahle Bait) mein se hoga.”
📕 Sahih Jame Al Sagheer 219/5
✦ Note:
1. Imam Mahdi ka zahoor Nabi Kareem (ﷺ) ki sachi peshangoyi ki roshni mein ek muslma haqeeqat hai jo tahaal waqia nahi hui magar qabal az Qayamat is ka waqoo ho kar rahega.
2. Imam Mehdi ke Zuhoor ke waqt sari duniya Fitna Fisaad, Qatal o Gharat aur Kasht o Khoon ki aise lapait me hogi ke waisi Aaj tak Ahle Zameen ne dekhi na hogi.
3. Imam Mehdi ka naam Khatim ul Nabiyeen (ﷺ) ke naam jaisa aur in ke walid ka naam Nabi Kareem (ﷺ) ke walid ke naam jaisa hoga aur yeh yaad rakhiye ke Nabi Kareem (ﷺ) ke maroof naam 2 they Ek Muhammad aur Doosra Ahmad (ﷺ) aur yeh dono Quran Majeed mein bhi mazkoor hai lihaza Imam Mehdi mosof ka naam Muhammad ya Ahmad bin Abdullah hoga.
4. Imam Mehdi Nabi Kareem (ﷺ) ke ahle bait yaani Hazrat Fatima (R.A) ki Aulad (Hazrat Hassan (R.A) ya Hazrat Hussain R.A) se hongey.
5. Imam Mehdi ka zahoor Hazrat Isa A.S se pehle hoga aur Hazrat Isa (A.S.) in ki iqtada mein Namaz ada karenge.
6. Sahiheen mein isharatan jabkey deegar kutab ahadees mein sarahatan imam mehdi ka ziker moujood hai jis ke iqrar se mufar nahi. lihaza jis tarah Quran ka baz hissa baz ki tafseer karta hai isi tarah baaz aahadees baaz ki tashreeh karti hain.
7. Allah Ta’ala achanak ek hi raat mein imam mehdi ki islah farma dega. is hadees ke 2 mafhoom ho sakte hain.
8. Imam mehdi mein kuch Ayuub o naqoos hongey jin ki ek he raat mein Allah islah farma dega. hafiz ibne kaseer R.H ne isi ko ikhtayar kia hai. aur yehi rajeh maloom hota hai.
9. Khilafat ka tasawar in ke wahem o guman mein bhi na hoga magar Allah Ta’ala ek hi raat mein inhe khilafat ke liye tayar kar ke manzar aam par le aayega.
10. Zahoor Mahdi ke baad har taraf khair o barkat, Maal o Doulat, Aman o Amaan aur khushhali ka aisa Suhana Saman hoga ke tareekh insani is ki misal paish karne se qasir hogi.
11. Imam Mehdi zahoor ke baad ziada se ziada 9 saal aur kum az kum 5 saal zinda raheinge.
12. Imam mehdi koi Nabi ya Rasool nahi honge balkey Ek Neik Saleh aur Mujahid Hukmaran hongey jo Manhaj e Nabwi (ﷺ) ke mutabiq Shariyat Muhammadi ka ahya aur khilafat islamiya ko qayam karenge.
13. Hafiz ibne Kaseer (R.A) farmatey hain Imam Mehdi ka zahoor mashraqi mumalik se hoga samra ke ghaar se nahi. jaisa ke baaz (Shion) ka khayal hai. Ahle Mashriq in ki musa’adat karenge aur in ki hukumat qayem karenge. baitullah ke nazdeek in ki bait ki jayegi.
14. Imam Mehdi jis din zahir hongey wo din Aam dino se khasa taveel hoga aur yeh bhi zahoor Mehdi R.H ki ek nishani hogi.
15. Imam mehdi baitullah mein panah lengey kyon kuch log bagharz jung inki taraf paish qadmi karenge magar Allah Ta’ala in sab ko baitullah pohanchne se pehle baidaa mein zameen ke ander dhansa dega.
16. Mazkora lashker ka zameen mein dhans jana imam mehdi ki mehdviyat ke liye jalti par tail ka kaam dega aur log mazkora nishani dekh kar in ke mehdi hone ko tasleem kar lengey aur joq dar joq in ki bait ke liye niklienge.
17. Baitullah me Imam Mehdi bait lengey jaisa ke Ek hadees me is ki taraf ishara hai ke Hazrat Abu Qitada farmatey hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya “Rukan Yamani aur Muqam Ibraheem ke darmayan ek aadmi (Imam Mehdi) ki bait ki jayegi.” [Masnad Ahmad 291/2]
18. Nabi Kareem (ﷺ) ne Imam Mehdi ki bohot si Sifaat o Alamat bayan farma di hai jin ki roshni mein imam mehdi ki pehchan ummat ke liye asan hai.
19. Tahaal zahoor Mehdi ki nishani zahir nahi hui agarchay tareekh mein bohat se logon ne mehdi mosoof se mutaliq ahadees ko ghalat pehnawa dekar mehdviyat ka dhong rachaya magar Allah Ta’ala ne dunia mein he in ke kizab o iftara ko numaya kar dia aur aaj bhi agar koi khuwahmkhuwah aisi jurrat karne ki koshish karega tou duniya mein hi zaleel o ruswa hoga.
Albata awam ko chahiye ke jaali mehdion se bachney ke liye ahadees ki roshni mein asli imam mehdi ki alamat o sifaat yaad rakhein.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega
Related Posts: