Hadees: Qabro Ki Ziyarat se aakhirat yaad aati hai
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
Contents
“Tum Qabro Ki Ziyarat kiya karo Kyunki Wo Tumhey Mout ki Yaad Dilaati hain.”
📕Sahih Muslim, Vol2, Hadees 2259
Hadees: Qabro ki Ziyarat karney Waali Aurton par Lanat
Abdullah Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki,
“RasoolAllah (ﷺ) ne Qabro ki Ziyarat karney Waali Aurton par Lanat farmayee hai aur Isi Tarah Qabron par Masjid Bananey Walo aur Uss par Chirag Karney Walon par bhi Lanat farmayee hai.”