Purey yakin se Allah se Dua mange
Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya:
“Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki ‘Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,’ balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai.”