Shab e Barat ki Ibadat : Shab e Barat ki Haqeeqat… Kya Shab e Barat Manana Quran wa Sunnat se Sabit hai? Shab e Barat ki Haqeeqat Shaban Maheene me 15th Shab ko "Shab e Barat" ke naam se yaad kiya jata hai. kuch log is Raat ke liye Shab-e-Qadr jaisi fazilate bayan karte hain. yeh Aqeeda rakha jata hai ke is Raat poore Saal me hone wale Waqkhyat ka faisla kiya jata hai. is raat infiradi wa ijtimayee ibadato ka Ahtmam kiya jata hai. Aatish baziya ki jati hain, Masjido…
Poori Insaniyat kisi ko utna hi Nafa pahoncha sakti… ۞ Roman Urdu Hadees ۞ Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Poori Insaniyat mil kar kisi ko utna hi nafa pahoncha sakti hai, jitna Allah Ta’ala ne likh diya hai." 📕 Tirmizi, Hadees:2516 ۞ हिंदी हदीस ۞ अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: "पूरी इंसानियत मिल कर किसी को उतना ही नफा पोहचा सकती है, जितना अल्लाह तआला ने लिख दिया है" 📕 तिरमिज़ी; हदिस: 2516
Dua Ibadat Hai ~ Allah ka farman hai "Mujhe pukaro!… Dua Ibadat Hai Hadees: Numan Ibn Bashir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Dua hi tou Ibadat hai," phir Aap (ﷺ) ne "Surah (40) Momin" ki Aayat 60 tilawat farmayi, "Tumhare Parwardigar ne farmaya ke mujhe pukaro! Main tumhari Dua qabool karunga aur jo log meri ibadat se takabbur karte hain woh Zaleel-O-Khuwar ho kar Jahannum me dakhil honge." 📕 Jamia at Tirmizi, Hadees: 3372
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Hadees: Hazrat Umar Bin Khattab (R.A) Riwayat Karte Hain Ki, Ek Roz hum Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me haazir they. Achanak ek Shakhs humaari mehfil me aaya, uske kapde nihayat safed, baal gahre syaah they. us par safar ke kuch asraat numaya’n na they aur hum me se koi usey pahchaanta bhi nahin tha. Aakhirkaar woh shakhs Aap (ﷺ) ke saamne aake ghutne se ghutne mila kar baith gaya aur usne…
Kiski Itteba Barhaq ? Kitabo-Sunnat ya Aaba-o-Azdad… Aksar Jab Logon Se Unke Gairsharayi Amal Ke Talluk Se Pucha Jata Hai tou Wo Kehte Hai ke - "Bhai Hum Tou Falah-Falah Amal, Kunde Ki Niyaz, Qabr-Parasti Aur Digar Bebuniyadi Eidey Kayi Saalo Se Karte Aa Rahe Hai, Tou Kya Humare Aaba-o-Azdad Ka Itna Purana Riwaz Galat Ho Sakta Hai ? ... *Yaad Rakhiye Kisi Cheez Ka Puraana Hona Uskey Haq Hone Ki Hujjat Nahi Hoti ,.. - Agar Aisa Hota Tou Hum Sabko "Buthparast" Ban Jana Chahiye ,..…
Kya Yusuf (Alahi Salam) aur Zulkha ka Nikah hua tha ? Kya Yusuf (Alahi Salam) aur Zulkha ka Nikah hua tha ? Aksar Dekha Jata Hai Ke Shadiyo me Dulha-Dulhan ko aisi Dua di jati hai ke "Aapki Jodi Yusuf (Alahi Salam) Aur Zulekha Jaise Kamiyab Rahe. (Nauzubillah)" Jabki Aisi Dua Denewale Log Andaza bhi Nahi Lagatey Ke Hakikat me Dua Ke Naam par Badduwa dey rahe hai. # Sabse Pehli Baat Ke -Yusuf (Alahi Salam) ka Nikah Zulekha se nahi hua tha. aur Qurano Hadees me bhi Iska kahi bhi…
Muharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat Ulema Muharram ka bayan Audio by Ahle Sunnat Ulema ♫ Karbala ka Zimmehdaar kaun ♫ Ashura Ka Paighaam ~ Hafiz Javeed Usman Rabbani Related audio: Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat Karbala ka Waqia: Sunni Ulemao ki Roshni me (Battle of Karbala) Muharram Ki Haqeeqat by Adv. Faiz Syed ताजियों का इस्लाम से नहीं कोई रिश्ता People also serch as: Tariq Masood bayan mp3 download, Mp3 bayan download, Maulana tariq jameel bayan…
Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ? Aayiye Iski Hakikat Jan'ne ki koshish karte hai: Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di.…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Biwi ke Huqooq Qurano Sunnat ki Roshni me Biwi ke Huqooq ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho. 📕 Al Quran; Surah Nisa 4:19 ❝ Aurto ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai. 📕 Al Quran; Surah Baqrah 2:228 Isi Tarha Allah ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me Aata hai ke: ❝ Aurato se behtar Sulook karo…
Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Kaafir ya Mushrik se Nikah karna kaisa ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me farmata hai: "Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo imaan na laaye, imaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe acchi hi lagti ho, Aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo imaan na laye, imaan wala…
Sunnat Ki Ahmiyat : Part 14 Sunnat-e-Rasool ko Tark karne Waley ka Duniyawi Anjaam: » Aayiye Aagey aur Kya Nuqsaan Hoga Duniyawi Aitbaar se Agar Sunnat-e-Rasool Ko Hum Chorr Dengey … • Allah Rabbul Izzat Surah Anfal ki Ayat Number 46 me Farmata Hai: ۞ Al-Quran ۞ "Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! Ita'at Karo Allah ki aur Ita'at karo Uskey Rasool ki aur Aapas me Ikhtelaf Paida na Karna! Agar tum aisa karoge tou Tum Buzdil bana diye jaoge aur Tumhara Iqbaal jata rahega…
Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bewah Aurato ka Nikah: Quran Hadees ki roshni mein Kuch Aisi Rasam’en bhi Musalman me Raaij hai ke Bewah Aurat ka Nikah ko Bura aur aar Samjhte hai, Balke Isko Aib Samajhne me Kufr ka khauf hai, Kyunke Shariyat ke kisi Hukm ko Aib Samajhnaaur Iske karne waale ko Zaleel Jan'na Kufr hai. Allah Ta'ala ne Quraan me Irshaad farmaya hai : Al-QURAN "Aur Nikah kardo Apno me Inn ka Jo Benikah ho aur Apne Layaq Ghulamao…