Jo Log Rasool'Allah Ki Mukhalifat Karte Hai .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Ta'ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke - "(Aye EmaanWalo!) Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai".. Isi Ayat Me Allah Ta'ala Aagey Farmata Hai - "Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna…
Hadees: Chaar baato par Iman Lana Farz hai Hadees: Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jabtak koi banda in 4 baaton par imaan naa laye, to woh Momin nahi ho sakta: (1) is baat ki Gawahi de ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi, (2) (is ki bhi gawahi de ke) Main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hu, usne mujhe Haq ke saath bheja hai. (3) Marne aur dobara Zinda hone ka yakin rakhe. (4) Taqdeer par imaan…
Qurani Dua-12 - Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene… Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene walo me likh le Bismillah-Hirrahman-Nirrahim رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَتْ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَِ Rabbana amanna bima anzalta wattaba 'nar-Rusula fak-tubna ma'ash-Shahideen ‟ Aye Humare Rab! Jo kuch tuney nazil kiya hum us par iman laye aur humne tere Rasool ki pairvi ikhteyar kar li, bas tu hume (haq ki) Gawahi dene walo me likh le [3:53] ‟ हमारे रब! तूने जो कुछ उतारा है, हम उसपर ईमान लाए और इस रसूल का…
Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta ... Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye. 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5660
Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho." 📕 Quran; Al-Humaza 104:1
Akhirat Ki Kamiyabi - Iman aur Nek Amal Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai "Zamane Ki Qasam ! Insan Dar-Haqikat Ghate Me Hai, Siway Unn Logon Ke Jo Imaan Laye Aur Nek Aamal Karte Rahe Aur Ek Dusre Ko Haq Ki Naseehat Aur Sabr Ki Talkin Karte Rahe." – (Surah Asr: Ayat 1-3) is Surah me Allah Ta'ala apne bando ko jis baat par Nasihat kar raha hai wo ye ke Imaan aur Nek Amal dono hi aham hai un logo ke liye Jo Kamiyabi Chahte…
Hum Aisi Harkatey Karte Kyu Hai Pehle ? ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! *Aye Wo Logon Jo Iman Laye Ho! *Ita’at Karo Allah Ki Aur Ita’at Karo Uskey Rasool Ki ,.. *Aur Aapas Me Ikhtelaf Paida Na Karna ! *Agar Tum Aisa Karoge, *Tou Tum Buzdil Bana Diye Jaoge, *Aur Tumhara Iqbaal Jata Rahega ,.. Aur Sabr Se Kaam Lo ,.. Ke Allah Sabr Karne Walo Ke Sath Hai,.. – [Surah (8) Ayat 46] *Aaj Ikhtelaaf Me Kis Hadd Tak Hum Log Mulawwis Hai Beharhaal Bataney Ki Jarurt Bhi…
Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Iman par Isteqamat ki Dua (Qurani Dua) رَبَّنَا لاَ تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ "Rabbana la tuzigh quloobana ba'da idh hadaytana wa hab lana milladunka rahmah innaka antal Wahhab" - (Surah Aale Imran; 3:8) ✦ इमांन पर इस्तेक़ामत की दुआ (हिंदी तर्जुमा) ✦ "हमारे रब! जब तू हमें सीधे मार्ग पर लगा चुका है, तो इसके पश्चात हमारे दिलों में टेढ़ न पैदा कर और हमें अपने पास से…
Usne Iman ki Mithaas ko paa liya (Hadees) Usne Iman ki Mithaas ko paa liya Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya : Teen (3) Khaslate Aesi hai ki Jisme ye Paida ho jaye Uss ne Emaan ki Mithaas ko paya. ∗1. Pehli ye ki Allah aur Uske Rasool (ﷺ) ke Nazdeeq sab se Ziyada Mehboob ban jaye. ∗2. Doosri ye ki woh Kisi Insan se Mahaz Allah ki Raza ke liye Mohabbat rakhe. ∗3. Teesri ye ki woh Kufr me wapis Loute Jane ko…
Sood khane walo ka Anjam - The Punishment for… ✦ Hadith Roman Urdu: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne irshaad farmaaya ke: ❝Jis Raat mujhe Meraj hui mera guzar ek aise giroh par huwa jin ke pait Gharon ki tarah hain aur un mein Saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, Mai ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise Azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh Sood khor log hain.❞ (Sunan Ibn Majah 2273) ✦ Hadith English:…
Ashab-e-Feel ka Waqia (Hathi walo ka Wakia) Ashab-e-Feel ka Waqia Huzoor Akkadas RasoolAllah (ﷺ) ki Paidaish se kuch hi din pehle yaman ka badshah “Abraha” Hathiyon ki fouz lekar Kaaba dhane ke liye makka par hamla aawar hua tha. Abraha ne yaman ke Darool Saltanat “San’aa” me ek bahut hi Shandar aur Aalishan “Girja Ghar” banaya aur yeh koshish karne laga ki Arab ke log bajay Kaaba Sharif ke yaman aakar uss Girja Ghar ka Hajj kare. Jab Makka walo ko yeh maloom hua toh Kabila-e-Kinana ka shakhs…
Kya Allah iman walo ko bagair Aazmaye Chor dega ? Kya Allah imanwalo ko bagair Aazmaye Chor dega? Allah Taala Quran me farmata hai: "Kya logon ne ye samajh liya hai ki (sirf) itna keh dene se ki hum emaan laye chor diye jayenge aur unka imtehan na liya jayega, aur humne tou unn logon ka bhi imtihaan liya jo unse pehle guzar gaye. garaz Allah un logon ko jo sachche (Dil se Emaan laye) hain yaqeenan alahaeda dekhega aur jhoothon ko bhi (alahaeda) zarur dekhega. 📕 Surah Al-Ankabut 29:2
Hadees: Iman ka Sabse kam Darja Iman ka Sabse kam Darja Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse…
Har Haal Me Insaaf Par Qayam Raho Allah Ta'ala Ne Apne Bando Ko Insaaf Ke Muamle Me Sakht Hidayat Ki,.. Aur Gour Se Dekha Jaye Tou Quraan Ka Paigaam Hi Insaaf Par Madani hai ,.. Tou Aayiye Iske Talluk Se Bus Ek hi Aayat Par Hum Gour Karte Hai Ki Insaaf ki Kitni Ahmyat Aur Wusat Hai Islam Me ,.. Allah Rabbul Izzat Isi Taaluk Se Ek Aayat me Farmata Hai - ♥ Al-Quran: Aye Emaan Walo! Insaaf Par Qayam Raho, Aur Allah Ki Taraf Gawahii Do,…