♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya : “Momin Apne Bhai Ka Aa’ina Hai,
Jab Woh Uss Me Koi Burayi Dekhta Hai Tou Uss Buraayi Ki Islah Kar Leta Hai.” – [Bukhari As-Sahih, 01/93, Raqam-238]
[Ibn Mubarak Az-Zuhad, 01/485, Raqam-1378]
[Asqalani Tahdhib-ut-Tahdhib, 05/181, Raqam-357]
[Mizzi Tahdhib-ul-Kamal, 11/428, Raqam-2515, 3256]
[Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-105, Raqam-21]
♥ In sha Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki taufik Dey ,..
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Aye Allah Ke Bando! Bhai-Bhai ho kar Raho Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke,Nabi (ﷺ) farmate hai, "Aapas me Ek Doosre se Bugz-o-Dushmani na rakho aur na hi Ek Doosre se Hasad karo aur na ek doosre se talluk todo aur Aye Allah ke bando! bhai bhai ho kar raho. aur kisi musalman ke liye ye jayaz nahi ke 3 din se jyaza apne kisi bhai se rishta tode rakhe (baat band rakhe)." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees…
Momin aur Badkaar ki Misaal Momin aur Badkaar ki Misaal Roman Urdu ۞ Hadees: Ka'ab (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Momin ki Misaal paudhey (Plant) ki pehli nikli hui hari Shaakh jaisi hai ke jab bhi hawaa chalti hai usey jhukaa deti hai phir wo seedha ho kar Musibat bardasht karne me kamiyab ko jata hai aur Badkaar (hypocrite) ki Misaal Sanobar ke Darakht (pine tree) jaisi hai ke sakht hota hai aur seedha khada rehta hai, yahan tak ke Allah…
Momin Ka Sab se Bhaari Aamal Husn Akhlaq ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai: “Qayamat Ke Din Jab Tarazu Me Amaal Toley Jayenge Tou (Momin Ka) Sab Se Bhari Aamal Husn Akhlaq Hoga.” - (Ibn Haban, 876) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी ऐ करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है: "क़यामत के दिन जब तराजू में अमाल तोले जायेंगे तो (मोमिन का) सब से भारी अमल हुस्ने अख्लाख होगा." - (इब्ने हब्बान, 876) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah Apne Raham Dil Bandon par Raham farmata hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'ala Apne Raham Dil Bandon par hi Raham farmata hai” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 1284, 5655
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,... Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: "Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai" - [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] - Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai, Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”. – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486) # Subhan'Allah!! - - Kya Wakay me Aaj Hum Me…
Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they. Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they. Aur Allah Ta'ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke -…
Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai ❝ Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey hai.❞ Roman Urdu: Hadis-e-Nabwi ﷺ Tirmizi, Jild: 1, Page: 595 ❝ बेहतरीन अखलाख वाला सबसे कामिल मोमिन है और तुम में बेहतर वो है जो अपनी औरतों के हक़ में अच्छे है।❞ हिंदी: हदीस-ऐ-नबवी ﷺ - तिरमिज़ी ; जिल्द १, पेज ५९५ ❝ The most complete of the believers in faith, is the one with the best character among…
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Gunaah karna apne Nafs pe Zulm karna hai Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai? Kya koi apne Maa Baap ko bhi Gaali de sakta hai Hadees: Sahaaba (R.A) ne arz kiya : Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! kya koi aadami apne maa baap ko bhi gaali deta hai? Aap (ﷺ) ne farmaaya : "Haan! aadmi kisi ke baap ko gaali deta hai to woh us ke baap ko gaali deta hai, aur kisi ki maa ko gaali deta hai to woh us ki maa ko gaali deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 1902
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai…