♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Meri Tamaam Ummat Ko Muaf Kiya Jayega Siwa Gunaaho Ko Khullam-Khulla Karne Walo Ke
Aur Ismey Ye Bhi Shamil Hai Ki, Ek Shakhs Raat Ko Koi (Gunaah Ka) Kaam Kare
Aur Iskey Bawjud Allah Ta’ala Ne Usko Chupa Diya Hai
Magar Subah Uth Kar Wo Kahney Lagey Ke –
Aye Falah! Maine Kal Raat Ko Ye Bura Kaam Kiya Tha !!
Raat Guzar Gayee Thi Aur Uske Rab Ne Uska Gunaah Chupaye Rakha
Lekin Jab Subah Huyee Tou Wo Khud Allah Ke Pardey Ko Kholney Laga”.
– (Sahih Bukhari Sharif)
• Sabaq: Apne Gunaaho Ko Awam me Jaahir Na Kare ,..
Jabki Allah Rabbul Izzat Ne Uski Parda Poshi Kar Di ho ,..