Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Ghusse ki haalat me koi faisla na kare Hadees: Abd al-Rahman bin Abi Bakrah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Faisla karne wala 2 (Aadmiyon ya 2 fareeqon) ke darmiyan gusse ki halat me faisla na kare." 📕 Abu Dawood, Hadees 3589
Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ? ✦ Hadees: Biwiyon ke Huqooq ✦ Muawiyah al-Qushayri (R.A.) se riwayat hai ki,Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur pucha ki 'Hum par Apne Biwiyon ke kya huquq hain.'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Jo tum khud khatey ho unko (Apni biwiyon ko) bhi Khilao aur jaisey (Achchey) Kapdey tum pehantey ho unko bhi pehnao aur unko maaro nahi aur unko bura na kaho (yani unki insult na karo, gaali na do)." 📕 Sunan Abi Dawud 2144-Sahih ✦ हदिस :…
Apni Tazeem Karwana Jahannamiyon Ka Kaam Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke - "Jiski Ye Khushi Ho Ke Log Uski Tazeem Ke Liye Khadey Rahey Wo Apna Thikana Jahannum Me Banaye.." - (Tirmizi Sharif) » Sabaq: Doosro'n Se Apni Taarif-wa-Tazeem Karwaana Ya Uski Ummid Rakhna Insan Ke Ghuroormand Hone Ki Alaamat Hai, Lihaja Emaanwalo Ke Liye Itrana Jayej Nahi ,.
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho "Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo." 📕 Surah An-Nisa 4:19
Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam ۞ HADEES ۞ Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam Abdullah bin umro (R.A) se riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Ta'ala us Aurat ki taraf (Rehmat ki nazar se) nahi dekhega, jo apne Shohar ki Shukr-guzari nahi karti, halan ke wo uske bagair reh bhi nahi sakti." 📕 Silsila Ahadees-e-Sahiha 2018
Momino me se Kamil tareen Momin woh hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummeha-tul-Momineen Aayesha (RaziAllahu Anha) Riwayat Karti Hain Ki, Rasool'Allah (ﷺ) Ne Farmaya - "Momino Me Se Kamil Tareen Momin Woh Hai Jo Behtareen Akhlaaq Ka Maalik Hai. Aur Apne Ahl-O-Ayal Ke Saath Nihayat Narm Hai.” - (Tirmidhi As-Sunan, 05/09, Raqam-2612) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: उम्मेहातुल मोमिनीन आयेशा (रजीअल्लाहु अन्हा) रिवायत करती है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया - "मोमिनो में से कामिल तरीन मोमिन वो है जो बेहतरीन अखलाख का मालिक है, और अपने अहलो अयाल के साथ निहायत नर्म…
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai ❝ Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey hai.❞ Roman Urdu: Hadis-e-Nabwi ﷺ Tirmizi, Jild: 1, Page: 595 ❝ बेहतरीन अखलाख वाला सबसे कामिल मोमिन है और तुम में बेहतर वो है जो अपनी औरतों के हक़ में अच्छे है।❞ हिंदी: हदीस-ऐ-नबवी ﷺ - तिरमिज़ी ; जिल्द १, पेज ५९५ ❝ The most complete of the believers in faith, is the one with the best character among…
Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai? ۞ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) ka ibtedayi dour tha, Aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Meri Itni-Itni Zakat banti hai , Mai kis ko du, koun jyada Mustahik hai ?" Jab wo Aap (ﷺ) se Mas'ala daryaft kar rahi thi tabhi Abdullah Ibn Masood (R.A) piche se aaye aur kaha ke "Ya Rasool'Allah (ﷺ)! aisi Biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat tou deti hai…
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Apne Aapko aur Apni Aulad ko Boot Parasti se bachane ki Dua ✦ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ✦ " Rabbi ij'al Hadha Al-Balada Aaminan, Waujnubnee WaBaniyya Aan Na-buda Alasnama " - (Al Quran, Surah Ibrahim 14:35) ✦ Tarjuma : Roman Urdu ✦ Aye Mere Rab! is Shahar ko Aman wala bana de aur mujhe aur meri Aulad ko Boot-parasti se bacha. ✦ तर्जुमा: हिंदी ✦ ऐ मेरे रब्ब! इस शहर को अमन वाला बना दे और मुझे और मेरी औलाद को बूत परस्ती से बचा. For more Islamic messages kindly download our Mobile App [post-content id="46102"]
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti,1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq." 📕 Tirmizi, Hadees 1962